1 Tawārīḳh
1
Ādam se Ibrāhīm tak kā Nasabnāmā
1 Nūh tak Ādam kī aulād Set, Anūs, 2 Qīnān, Mahalalel, Yārid, 3 Hanūk, Matūsilah, Lamak, 4 aur Nūh thī.
Nūh ke tīn beṭe Sim, Hām aur Yāfat the. 5 Yāfat ke beṭe Jumar, Mājūj, Mādī, Yāwān, Tūbal, Masak aur Tīrās the. 6 Jumar ke beṭe Ashkanāz, Rīfat aur Tujarmā the. 7 Yāwān ke beṭe Ilīsā aur Tarsīs the. Kittī aur Rodānī bhī us kī aulād haiṅ.
8 Hām ke beṭe Kūsh, Misr, Fūt aur Kanān the. 9 Kūsh ke beṭe Sibā, Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakā the. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadān the. 10 Namrūd bhī Kūsh kā beṭā thā. Wuh zamīn par pahlā sūrmā thā. 11 Misr zail kī qaumoṅ kā bāp thā: Lūdī, Anāmī, Lihābī, Naftūhī, 12 Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī. 13 Kanān kā pahlauṭhā Saidā thā. Kanān in qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī 14 Yabūsī, Amorī, Jirjāsī, 15 Hiwwī, Arqī, Sīnī, 16 Arwādī, Samārī aur Hamātī.
17 Sim ke beṭe Ailām, Asūr, Arfaksad, Lūd aur Arām the. Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Masak the. 18 Arfaksad kā beṭā Silah aur Silah kā beṭā Ibar thā. 19 Ibar ke do beṭe paidā hue. Ek kā nām Falaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki un aiyām meṅ duniyā taqsīm huī. Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā. 20 Yuqtān ke beṭe Almūdād, Salaf, Hasarmāwat, Irāḳh, 21 Hadūrām, Ūzāl, Diqlā, 22 Ūbāl, Abīmāel, Sabā, 23 Ofīr, Hawīlā aur Yūbāb the. Yih sab us ke beṭe the.
24 Sim kā yih nasabnāmā hai: Sim, Arfaksad, Silah, 25 Ibar, Falaj, Raū, 26 Sarūj, Nahūr, Tārah 27 aur Abrām yānī Ibrāhīm.
Ibrāhīm kā Nasabnāmā
28 Ibrāhīm ke beṭe Is'hāq aur Ismāīl the. 29 Un kī darj-e-zail aulād thī:
Ismāīl kā pahlauṭhā Nabāyot thā. Us ke bāqī beṭe Qīdār, Adbiyel, Mibsām, 30 Mishmā, Dūmā, Massā, Hadad, Taimā, 31 Yatūr, Nafīs aur Qidmā the. Sab Ismāīl ke hāṅ paidā hue.
32 Ibrāhīm kī dāshtā Qatūrā ke beṭe Zimrān, Yuqsān, Midān, Midiyān, Isbāq aur Sūḳh the. Yuqsān ke do beṭe Sabā aur Dadān paidā hue 33 jabki Midiyān ke beṭe Aifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda'ā the. Sab Qatūrā kī aulād the.
34 Ibrāhīm ke beṭe Is'hāq ke do beṭe paidā hue, Esau aur Isrāīl. 35 Esau ke beṭe Ilīfaz, Raūel, Yaūs, Yālām aur Qorah the. 36 Ilīfaz ke beṭe Temān, Omar, Safī, Jātām, Qanaz aur Amālīq the. Amālīq kī māṅ Timnā thī. 37 Raūel ke beṭe Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā the.
Saīr Yānī Adom kā Nasabnāmā
38 Saīr ke beṭe Lotān, Sobal, Sibaon, Anā, Dīson, Esar aur Dīsān the. 39 Lotān ke do beṭe Horī aur Homām the. (Timnā Lotān kī bahan thī.) 40 Sobal ke beṭe Alyān, Mānahat, Aibāl, Safī aur Onām the. Sibaon ke beṭe Aiyāh aur Anā the. 41 Anā ke ek beṭā Dīson paidā huā. Dīson ke chār beṭe Hamrān, Ishbān, Yitrān aur Kirān the. 42 Esar ke tīn beṭe Bilhān, Zāwān aur Aqān the. Dīsān ke do beṭe Ūz aur Arān the.
Adom ke Bādshāh
43 Is se pahle ki Isrāīliyoṅ kā koī bādshāh thā zail ke bādshāh yake bād dīgare Mulk-e-Adom meṅ hukūmat karte the: Bālā bin Baor jo Dinhābā Shahr kā thā.
44 Us kī maut par Yūbāb bin Zārah jo Busrā Shahr kā thā.
45 Us kī maut par Hushām jo Temāniyoṅ ke mulk kā thā.
46 Us kī maut par Hadad bin Bidad jis ne Mulk-e-Moāb meṅ Midiyāniyoṅ ko shikast dī. Wuh Awīt Shahr kā thā.
47 Us kī maut par Samlā jo Masriqā Shahr kā thā.
48 Us kī maut par Sāūl jo Dariyā-e-Furāt par Rahobot Shahr kā thā.
49 Us kī maut par Bāl-hanān bin Akbor.
50 Us kī maut par Hadad jo Fāū Shahr kā thā. (Bīwī kā nām Mahetabel bint Matrid bint Mezāhāb thā.) 51 Phir Hadad mar gayā.
Adomī qabīloṅ ke sardār Timnā, Alyā, Yatet, 52 Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, 53 Qanaz, Temān, Mibsār, 54 Majdiyel aur Irām the. Yihī Adom ke sardār the.