22
1 Is lie Dāūd ne faislā kiyā, “Rab hamāre Ḳhudā kā ghar gāhne kī is jagah par hogā, aur yahāṅ wuh qurbāngāh bhī hogī jis par Isrāīl ke lie bhasm hone wālī qurbānī jalāī jātī hai.”
Dāūd Rab kā Ghar Banāne kī Taiyāriyāṅ Kartā Hai
2 Chunāṅche us ne Isrāīl meṅ rahne wāle pardesiyoṅ ko bulā kar unheṅ Allāh ke ghar ke lie darkār tarāshe hue patthar taiyār karne kī zimmedārī dī. 3 Is ke alāwā Dāūd ne darwāzoṅ ke kiwāṛoṅ kī kīloṅ aur kaṛoṅ ke lie lohe ke baṛe ḍher lagāe. Sāth sāth itnā pītal ikaṭṭhā kiyā gayā ki āḳhirkār use tolā na jā sakā. 4 Isī tarah deodār kī bahut zyādā lakaṛī Yarūshalam lāī gaī. Saidā aur Sūr ke bāshindoṅ ne use Dāūd tak pahuṅchāyā. 5 Yih sāmān jamā karne ke pīchhe Dāūd kā yih ḳhayāl thā, “Merā beṭā Sulemān jawān hai, aur us kā abhī itnā tajrabā nahīṅ hai, hālāṅki jo ghar Rab ke lie banwānā hai use itnā baṛā aur shāndār hone kī zarūrat hai ki tamām duniyā hakkā-bakkā rah kar us kī tārīf kare. Is lie maiṅ ḳhud jahāṅ tak ho sake use banwāne kī taiyāriyāṅ karūṅga.” Yihī wajah thī ki Dāūd ne apnī maut se pahle itnā sāmān jamā karāyā.
Dāūd Sulemān ko Rab kā Ghar Banwāne kī Zimmedārī Detā Hai
6 Phir Dāūd ne apne beṭe Sulemān ko bulā kar use Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie sukūnatgāh banwāne kī zimmedārī de kar 7 kahā, “Mere beṭe, maiṅ ḳhud Rab apne Ḳhudā ke nām ke lie ghar banānā chāhtā thā. 8 Lekin mujhe ijāzat nahīṅ milī, kyoṅki Rab mujh se hamkalām huā, ‘Tū ne shadīd qism kī jangeṅ laṛ kar beshumār logoṅ ko mār diyā hai. Nahīṅ, tū mere nām ke lie ghar tāmīr nahīṅ karegā, kyoṅki mere deḳhte deḳhte tū bahut ḳhūṅrezī kā sabab banā hai. 9 Lekin tere ek beṭā paidā hogā jo amnpasand hogā. Use maiṅ amn-o-amān muhaiyā karūṅga, use chāroṅ taraf ke dushmanoṅ se laṛnā nahīṅ paṛegā. Us kā nām Sulemān hogā, aur us kī hukūmat ke daurān maiṅ Isrāīl ko amn-o-amān atā karūṅga. 10 Wuhī mere nām ke lie ghar banāegā. Wuh merā beṭā hogā aur maiṅ us kā bāp hūṅgā. Aur maiṅ Isrāīl par us kī bādshāhī kā taḳht hameshā tak qāym rakhūṅgā.’ ”
11 Dāūd ne bāt jārī rakh kar kahā, “Mere beṭe, Rab āp ke sāth ho tāki āp ko kāmyābī hāsil ho aur āp Rab apne Ḳhudā kā ghar us ke wāde ke mutābiq tāmīr kar sakeṅ. 12 Āp ko Isrāīl par muqarrar karte waqt Rab āp ko hikmat aur samajh atā kare tāki āp Rab apne Ḳhudā kī sharīat par amal kar sakeṅ. 13 Agar āp ehtiyāt se un hidāyāt aur ahkām par amal kareṅ jo Rab ne Mūsā kī mārifat Isrāīl ko de die to āp ko zarūr kāmyābī hāsil hogī. Mazbūt aur diler hoṅ. Ḍareṅ mat aur himmat na hāreṅ. 14 Dekheṅ, maiṅ ne baṛī jidd-o-jahd ke sāth Rab ke ghar ke lie sone ke 34,00,000 kilogrām aur chāṅdī ke 3,40,00,000 kilogrām taiyār kar rakhe haiṅ. Is ke alāwā maiṅ ne itnā pītal aur lohā ikaṭṭhā kiyā ki use tolā nahīṅ jā saktā, nīz lakaṛī aur patthar kā ḍher lagāyā, agarche āp aur bhī jamā kareṅge. 15 Āp kī madad karne wāle kārīgar bahut haiṅ. Un meṅ patthar ko tarāshne wāle, rāj, baṛhaī aur aise kārīgar shāmil haiṅ jo mahārat se har qism kī chīz banā sakte haiṅ, 16 ḳhāh wuh sone, chāṅdī, pītal yā lohe kī kyoṅ na ho. Beshumār aise log taiyār khaṛe haiṅ. Ab kām shurū kareṅ, aur Rab āp ke sāth ho!”
17 Phir Dāūd ne Isrāīl ke tamām rāhnumāoṅ ko apne beṭe Sulemān kī madad karne kā hukm diyā. 18 Us ne un se kahā, “Rab āp kā Ḳhudā āp ke sāth hai. Us ne āp ko paṛosī qaumoṅ se mahfūz rakh kar amn-o-amān atā kiyā hai. Mulk ke bāshindoṅ ko us ne mere hawāle kar diyā, aur ab yih mulk Rab aur us kī qaum ke tābe ho gayā hai. 19 Ab dil-o-jān se Rab apne Ḳhudā ke tālib raheṅ. Rab apne Ḳhudā ke maqdis kī tāmīr shurū kareṅ tāki āp jaldī se ahd kā sandūq aur muqaddas ḳhaime ke sāmān ko us ghar meṅ lā sakeṅ jo Rab ke nām kī tāzīm meṅ tāmīr hogā.”