5
Zinākārī
Yih bāt hamāre kānoṅ tak pahuṅchī hai ki āp ke darmiyān zinākārī ho rahī hai, balki aisī zinākārī jise Ġhairyahūdī bhī rawā nahīṅ samajhte. Kahte haiṅ ki āp meṅ se kisī ne apnī sautelī māṅ * Lafzī tarjumā: bāp kī bīwī, lekin ġhāliban is se murād sautelī māṅ hai. se shādī kar rakhī hai. Kamāl hai ki āp is fel par nādim nahīṅ balki phūle phir rahe haiṅ! Kyā munāsib na hotā ki āp dukh mahsūs karke is badī ke murtakib ko apne darmiyān se ḳhārij kar dete? Go maiṅ jism ke lihāz se āp ke pās nahīṅ, lekin Rūh ke lihāz se zarūr hūṅ. Aur maiṅ us shaḳhs par fatwā is tarah de chukā hūṅ jaise ki maiṅ āp ke darmiyān maujūd hūṅ. Jab āp hamāre Ḳhudāwand Īsā ke nām meṅ jamā hoṅge to maiṅ Rūh meṅ āp ke sāth hūṅgā aur hamāre Ḳhudāwand Īsā kī qudrat bhī. Us waqt aise shaḳhs ko Iblīs ke hawāle kareṅ tāki sirf us kā jism halāk ho jāe, lekin us kī rūh Ḳhudāwand ke din rihāī pāe.
Āp kā faḳhr karnā achchhā nahīṅ. Kyā āp ko mālūm nahīṅ ki jab ham thoṛā-sā ḳhamīr tāzā gundhe hue āṭe meṅ milāte haiṅ to wuh sāre āṭe ko ḳhamīr kar detā hai? Apne āp ko ḳhamīr se pāk-sāf karke tāzā gundhā huā āṭā ban jāeṅ. Darhaqīqat āp haiṅ bhī pāk, kyoṅki hamārā Īd-e-Fasah kā lelā Masīh hamāre lie zabah ho chukā hai. Is lie āie ham purāne ḳhamīrī āṭe yānī burāī aur badī ko dūr karke tāzā gundhe hue āṭe yānī ḳhulūs aur sachchāī kī roṭiyāṅ banā kar Fasah kī Īd manāeṅ.
Maiṅ ne ḳhat meṅ likhā thā ki āp zinākāroṅ se tālluq na rakheṅ. 10 Merā matlab yih nahīṅ thā ki āp is duniyā ke zinākāroṅ se tālluq munqate kar leṅ yā is duniyā ke lālchiyoṅ, luṭeroṅ aur butparastoṅ se. Agar āp aisā karte to lāzim hotā ki āp duniyā hī se kūch kar jāte. 11 Nahīṅ, merā matlab yih thā ki āp aise shaḳhs se tālluq na rakheṅ jo Masīh meṅ to bhāī kahlātā hai magar hai wuh zinākār yā lālchī yā butparast yā gālī-galoch karne wālā yā sharābī yā luṭerā. Aise shaḳhs ke sāth khānā tak bhī na khāeṅ.
12 Maiṅ un logoṅ kī adālat kyoṅ kartā phirūṅ jo īmāndāroṅ kī jamāt se bāhar haiṅ? Kyā āp ḳhud bhī sirf un kī adālat nahīṅ karte jo jamāt ke andar haiṅ? 13 Bāhar wāloṅ kī adālat to Ḳhudā hī karegā. Kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, ‘Sharīr ko apne darmiyān se nikāl do.’

*5:1 Lafzī tarjumā: bāp kī bīwī, lekin ġhāliban is se murād sautelī māṅ hai.