19
Rab Hizqiyāh ko Tasallī Detā Hai
1 Yih bāteṅ sun kar Hizqiyāh ne apne kapṛe phāṛe aur ṭāṭ kā mātamī libās pahan kar Rab ke ghar meṅ gayā. 2 Sāth sāth us ne mahal ke inchārj Iliyāqīm, mīrmunshī Shibnāh aur imāmoṅ ke buzurgoṅ ko Āmūs ke beṭe Yasāyāh Nabī ke pās bhejā. Sab ṭāṭ ke mātamī libās pahne hue the. 3 Nabī ke pās pahuṅch kar unhoṅ ne Hizqiyāh kā paiġhām sunāyā, “Āj ham baṛī musībat meṅ haiṅ. Sazā ke is din Asūriyoṅ ne hamārī saḳht be'izzatī kī hai. Hamārā hāl dard-e-zah meṅ mubtalā us aurat kā-sā hai jis ke peṭ se bachchā nikalne ko hai, lekin jo is lie nahīṅ nikal saktā ki māṅ kī tāqat jātī rahī hai. 4 Lekin shāyad Rab āp ke Ḳhudā ne Rabshāqī kī wuh tamām bāteṅ sunī hoṅ jo us ke āqā Asūr ke bādshāh ne zindā Ḳhudā kī tauhīn meṅ bhejī haiṅ. Ho saktā hai Rab āp kā Ḳhudā us kī bāteṅ sun kar use sazā de. Barāh-e-karm hamāre lie jo ab tak bache hue haiṅ duā kareṅ.”
5 Jab Hizqiyāh ke afsaroṅ ne Yasāyāh ko bādshāh kā paiġhām pahuṅchāyā 6 to nabī ne jawāb diyā, “Apne āqā ko batā denā ki Rab farmātā hai, ‘Un dhamkiyoṅ se ḳhauf mat khā jo Asūrī bādshāh ke mulāzimoṅ ne merī ihānat karke dī haiṅ. 7 Dekh, maiṅ us kā irādā badal dūṅgā. Wuh afwāh sun kar itnā muztarib ho jāegā ki apne hī mulk wāpas chalā jāegā. Wahāṅ maiṅ use talwār se marwā dūṅgā.’ ”
Sanherib kī Dhamkiyāṅ aur Hizqiyāh kī Duā
8 Rabshāqī Yarūshalam ko chhoṛ kar Asūr ke bādshāh ke pās wāpas chalā gayā jo us waqt Lakīs se rawānā ho kar Libnā par chaṛhāī kar rahā thā.
9 Phir Sanherib ko ittalā milī, “Ethopiyā kā bādshāh Tirhāqā āp se laṛne ā rahā hai.” Tab us ne apne qāsidoṅ ko dubārā Yarūshalam bhej diyā tāki Hizqiyāh ko paiġhām pahuṅchāeṅ, 10 “Jis dewatā par tum bharosā rakhte ho us se fareb na khāo jab wuh kahtā hai ki Yarūshalam kabhī Asūrī bādshāh ke qabze meṅ nahīṅ āegā. 11 Tum to sun chuke ho ki Asūr ke bādshāhoṅ ne jahāṅ bhī gae kyā kuchh kiyā hai. Har mulk ko unhoṅ ne mukammal taur par tabāh kar diyā hai. To phir tum kis tarah bach jāoge? 12 Kyā Jauzān, Hārān aur Rasaf ke dewatā un kī hifāzat kar pāe? Kyā Mulk-e-Adan meṅ Tilassār ke bāshinde bach sake? Nahīṅ, koī bhī dewatā un kī madad na kar sakā jab mere bāpdādā ne unheṅ tabāh kiyā. 13 Dhyān do, ab Hamāt, Arfād, Sifarwāym Shahr, Henā aur Iwwā ke bādshāh kahāṅ haiṅ?”
14 Ḳhat milne par Hizqiyāh ne use paṛh liyā aur phir Rab ke ghar ke sahan meṅ gayā. Ḳhat ko Rab ke sāmne bichhā kar 15 us ne Rab se duā kī,
“Ai Rab Isrāīl ke Ḳhudā jo karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai, tū akelā hī duniyā ke tamām mamālik kā Ḳhudā hai. Tū hī ne āsmān-o-zamīn ko ḳhalaq kiyā hai. 16 Ai Rab, merī sun! Apnī āṅkheṅ khol kar deḳh! Sanherib kī un bātoṅ par dhyān de jo us ne is maqsad se ham tak pahuṅchāī haiṅ ki zindā Ḳhudā kī ihānat kare. 17 Ai Rab, yih bāt sach hai ki Asūrī bādshāhoṅ ne in qaumoṅ ko un ke mulkoṅ samet tabāh kar diyā hai. 18 Wuh to un ke butoṅ ko āg meṅ phaiṅk kar bhasm kar sakte the, kyoṅki wuh zindā nahīṅ balki sirf insān ke hāthoṅ se bane hue lakaṛī aur patthar ke but the. 19 Ai Rab hamāre Ḳhudā, ab maiṅ tujh se iltamās kartā hūṅ ki hameṅ Asūrī bādshāh ke hāth se bachā tāki duniyā ke tamām mamālik jān leṅ ki tū ai Rab, wāhid Ḳhudā hai.”
Asūrī kī Lān-tān par Allāh kā Jawāb
20 Phir Yasāyāh bin Āmūs ne Hizqiyāh ko paiġhām bhejā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai ki maiṅ ne Asūrī bādshāh Sanherib ke bāre meṅ terī duā sunī hai. 21 Ab Rab kā us ke ḳhilāf farmān sun,
Kuṅwārī Siyyūn Beṭī tujhe haqīr jāntī hai, hāṅ Yarūshalam Beṭī apnā sar hilā hilā kar hiqāratāmez nazar se tere pīchhe deḳhtī hai. 22 Kyā tū nahīṅ jāntā ki kis ko gāliyāṅ dīṅ aur kis kī ihānat kī hai? Kyā tujhe nahīṅ mālūm ki tū ne kis ke ḳhilāf āwāz buland kī hai? Jis kī taraf tū ġhurūr kī nazar se dekh rahā hai wuh Isrāīl kā Quddūs hai!
23 Apne qāsidoṅ ke zariye tū ne Rab kī ihānat kī hai. Tū ḍīṅgeṅ mār kar kahtā hai, ‘Maiṅ apne beshumār rathoṅ se pahāṛoṅ kī choṭiyoṅ aur Lubnān kī intahā tak chaṛh gayā hūṅ. Maiṅ deodār ke baṛe baṛe aur jūnīpar ke behtarīn daraḳhtoṅ ko kāṭ kar Lubnān ke dūrtarīn konoṅ tak, us ke sab se ghane jangal tak pahuṅch gayā hūṅ. 24 Maiṅ ne ġhairmulkoṅ meṅ kueṅ khudwā kar un kā pānī pī liyā hai. Mere talwoṅ tale Misr kī tamām nadiyāṅ ḳhushk ho gaīṅ.’
25 Ai Asūrī bādshāh, kyā tū ne nahīṅ sunā ki baṛī der se maiṅ ne yih sab kuchh muqarrar kiyā? Qadīm zamāne meṅ hī maiṅ ne is kā mansūbā bāndh liyā, aur ab maiṅ ise wujūd meṅ lāyā. Merī marzī thī ki tū qilāband shahroṅ ko ḳhāk meṅ milā kar patthar ke ḍheroṅ meṅ badal de. 26 Isī lie un ke bāshindoṅ kī tāqat jātī rahī, wuh ghabrāe aur sharmindā hue. Wuh ghās kī tarah kamzor the, chhat par ugne wālī us hariyālī kī mānind jo thoṛī der ke lie phaltī-phūltī to hai, lekin lū chalte waqt ek dam murjhā jātī hai. 27 Maiṅ to tujh se ḳhūb wāqif hūṅ. Mujhe mālūm hai ki tū kahāṅ ṭhahrā huā hai, aur terā ānā jānā mujh se poshīdā nahīṅ rahtā. Mujhe patā hai ki tū mere ḳhilāf kitne taish meṅ ā gayā hai. 28 Terā taish aur ġhurūr dekh kar maiṅ terī nāk meṅ nakel aur tere muṅh meṅ lagām ḍāl kar tujhe us rāste par se wāpas ghasīṭ le jāūṅgā jis par se tū yahāṅ ā pahuṅchā hai.
29 Ai Hizqiyāh, maiṅ is nishān se tujhe tasallī dilāūṅgā ki is sāl aur āne wāle sāl tum wuh kuchh khāoge jo khetoṅ meṅ ḳhud baḳhud ugegā. Lekin tīsre sāl tum bīj bo kar fasleṅ kāṭoge aur angūr ke bāġh lagā kar un kā phal khāoge. 30 Yahūdāh ke bache hue bāshinde ek bār phir jaṛ pakaṛ kar phal lāeṅge. 31 Kyoṅki Yarūshalam se qaum kā baqiyā nikal āegā, aur Koh-e-Siyyūn kā bachā-khuchā hissā dubārā mulk meṅ phail jāegā. Rabbul-afwāj kī ġhairat yih kuchh saranjām degī.
32 Jahāṅ tak Asūrī bādshāh kā tālluq hai Rab farmātā hai ki wuh is shahr meṅ dāḳhil nahīṅ hogā. Wuh ek tīr tak us meṅ nahīṅ chalāegā. Na wuh ḍhāl le kar us par hamlā karegā, na shahr kī fasīl ke sāth miṭṭī kā ḍher lagāegā. 33 Jis rāste se bādshāh yahāṅ āyā usī rāste par se wuh apne mulk wāpas chalā jāegā. Is shahr meṅ wuh ghusne nahīṅ pāegā. Yih Rab kā farmān hai. 34 Kyoṅki maiṅ apnī aur apne ḳhādim Dāūd kī ḳhātir is shahr kā difā karke ise bachāūṅgā.”
35 Usī rāt Rab kā farishtā nikal āyā aur Asūrī lashkargāh meṅ se guzar kar 1,85,000 faujiyoṅ ko mār ḍālā. Jab log subah-sawere uṭhe to chāroṅ taraf lāsheṅ hī lāsheṅ nazar āīṅ.
36 Yih dekh kar Sanherib apne ḳhaime ukhāṛ kar apne mulk wāpas chalā gayā. Nīnwā Shahr pahuṅch kar wuh wahāṅ ṭhahar gayā. 37 Ek din jab wuh apne dewatā Nisrūk ke mandir meṅ pūjā kar rahā thā to us ke beṭoṅ Adrammalik aur Sharāzar ne use talwār se qatl kar diyā aur farār ho kar Mulk-e-Arārāt meṅ panāh lī. Phir us kā beṭā Asarhaddon taḳhtnashīn huā.