14
Ikuniyum Meṅ
1 Ikuniyum meṅ Paulus aur Barnabās Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar itne iḳhtiyār se bole ki Yahūdiyoṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ kī baṛī tādād īmān le āī. 2 Lekin jin Yahūdiyoṅ ne īmān lāne se inkār kiyā unhoṅ ne Ġhairyahūdiyoṅ ko uksā kar bhāiyoṅ ke bāre meṅ un ke ḳhayālāt ḳharāb kar die. 3 To bhī rasūl kāfī der tak wahāṅ ṭhahre. Unhoṅ ne dilerī se Ḳhudāwand ke bāre meṅ tālīm dī aur Ḳhudāwand ne apne fazl ke paiġhām kī tasdīq kī. Us ne un ke hāthoṅ ilāhī nishān aur mojize rūnumā hone die. 4 Lekin shahr meṅ ābād log do gurohoṅ meṅ baṭ gae. Kuchh Yahūdiyoṅ ke haq meṅ the aur kuchh rasūloṅ ke haq meṅ.
5 Phir kuchh Ġhairyahūdiyoṅ aur Yahūdiyoṅ meṅ josh ā gayā. Unhoṅ ne apne līḍaroṅ samet faislā kiyā ki ham Paulus aur Barnabās kī tazlīl karke unheṅ sangsār kareṅge. 6 Lekin jab rasūloṅ ko patā chalā to wuh hijrat karke lukāuniyā ke shahroṅ Lustrā, Dirbe aur irdgird ke ilāqe meṅ 7 Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte rahe.
Lustrā aur Dirbe
8 Lustrā meṅ Paulus aur Barnabās kī mulāqāt ek ādmī se huī jis ke pāṅwoṅ meṅ tāqat nahīṅ thī. Wuh paidāish hī se langaṛā thā aur kabhī bhī chal-phir na sakā thā. Wuh wahāṅ baiṭhā 9 un kī bāteṅ sun rahā thā ki Paulus ne ġhaur se us kī taraf dekhā. Us ne jān liyā ki us ādmī meṅ rihāī pāne ke lāyq īmān hai. 10 Is lie wuh ūṅchī āwāz se bolā, “Apne pāṅwoṅ par khaṛe ho jāeṅ!” Wuh uchhal kar khaṛā huā aur chalne-phirne lagā. 11 Paulus kā yih kām dekh kar hujūm apnī maqāmī zabān meṅ chillā uṭhā, “In ādmiyoṅ kī shakl meṅ dewatā hamāre pās utar āe haiṅ.” 12 Unhoṅ ne Barnabās ko Yūnānī dewatā Ziyūs qarār diyā aur Paulus ko dewatā Hirmes, kyoṅki kalām sunāne kī ḳhidmat zyādātar wuh anjām detā thā. 13 Is par shahr se bāhar wāqe Ziyūs ke mandir kā pujārī shahr ke darwāze par bail aur phūloṅ ke hār le āyā aur hujūm ke sāth qurbāniyāṅ chaṛhāne kī taiyāriyāṅ karne lagā.
14 Yih sun kar Barnabās aur Sāūl rasūl apne kapṛoṅ ko phāṛ kar hujūm meṅ jā ghuse aur chillāne lage, 15 “Mardo, yih āp kyā kar rahe haiṅ? Ham bhī āp jaise insān haiṅ. Ham to āp ko Allāh kī yih ḳhushḳhabrī sunāne āe haiṅ ki āp in bekār chīzoṅ ko chhoṛ kar zindā Ḳhudā kī taraf rujū farmāeṅ jis ne āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai paidā kiyā hai. 16 Māzī meṅ us ne tamām Ġhairyahūdī qaumoṅ ko khulā chhoṛ diyā thā ki wuh apnī apnī rāh par chaleṅ. 17 To bhī us ne aisī chīzeṅ āp ke pās rahne dī haiṅ jo us kī gawāhī detī haiṅ. Us kī mehrbānī is se zāhir hotī hai ki wuh āp ko bārish bhej kar har mausam kī fasleṅ muhaiyā kartā hai aur āp ser ho kar ḳhushī se bhar jāte haiṅ.” 18 In alfāz ke bāwujūd Paulus aur Barnabās ne baṛī mushkil se hujūm ko unheṅ qurbāniyāṅ chaṛhāne se rokā.
19 Phir kuchh Yahūdī Pisidiyā ke Antākiyā aur Ikuniyum se wahāṅ āe aur hujūm ko apnī taraf māyl kiyā. Unhoṅ ne Paulus ko sangsār kiyā aur shahr se bāhar ghasīṭ kar le gae. Un kā ḳhayāl thā ki wuh mar gayā hai, 20 lekin jab shāgird us ke gird jamā hue to wuh uṭh kar shahr kī taraf wāpas chal paṛā. Agle din wuh Barnabās samet Dirbe chalā gayā.
Shām ke Antākiyā meṅ Wāpasī
21 Dirbe meṅ unhoṅ ne Allāh kī ḳhushḳhabrī sunā kar bahut-se shāgird banāe. Phir wuh muṛ kar Lustrā, Ikuniyum aur Pisidiyā ke Antākiyā wāpas āe. 22 Har jagah unhoṅ ne shāgirdoṅ ke dil mazbūt karke un kī hauslā-afzāī kī ki wuh īmān meṅ sābitqadam raheṅ. Unhoṅ ne kahā, “Lāzim hai ki ham bahut-sī musībatoṅ meṅ se guzar kar Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hoṅ.” 23 Paulus aur Barnabās ne har jamāt meṅ buzurg bhī muqarrar kie. Unhoṅ ne roze rakh kar duā kī aur unheṅ us Ḳhudāwand ke sapurd kiyā jis par wuh īmān lāe the.
24 Yoṅ Pisidiyā ke ilāqe meṅ se safr karte karte wuh Pamfīliyā pahuṅche. 25 Unhoṅ ne Pirgā meṅ kalām-e-muqaddas sunāyā aur phir utar kar Attaliyā pahuṅche. 26 Wahāṅ se wuh jahāz meṅ baiṭh kar Shām ke shahr Antākiyā ke lie rawānā hue, us shahr ke lie jahāṅ īmāndāroṅ ne unheṅ is tablīġhī safr ke lie Allāh ke fazl ke sapurd kiyā thā. Yoṅ unhoṅ ne apnī is ḳhidmat ko pūrā kiyā.
27 Antākiyā pahuṅch kar unhoṅ ne īmāndāroṅ ko jamā karke un tamām kāmoṅ kā bayān kiyā jo Allāh ne un ke wasīle se kie the. Sāth sāth unhoṅ ne yih bhī batāyā ki Allāh ne kis tarah Ġhairyahūdiyoṅ ke lie bhī īmān kā darwāzā khol diyā hai. 28 Aur wuh kāfī der tak wahāṅ ke shāgirdoṅ ke pās ṭhahre rahe.