6
1 Mujhe sūraj tale ek aur burī bāt nazar āī jo insān ko apne bojh tale dabāe rakhtī hai.
2 Allāh kisī ādmī ko māl-o-matā aur izzat atā kartā hai. Ġharz us ke pās sab kuchh hai jo us kā dil chāhe. Lekin Allāh use in chīzoṅ se lutf uṭhāne nahīṅ detā balki koī ajnabī us kā mazā letā hai. Yih bātil aur ek baṛī musībat hai. 3 Ho saktā hai ki kisī ādmī ke sau bachche paidā hoṅ aur wuh umrrasīdā bhī ho jāe, lekin ḳhāh wuh kitnā būṛhā kyoṅ na ho jāe, agar apnī ḳhushhālī kā mazā na le sake aur āḳhirkār sahīh rusūmāt ke sāth dafnāyā na jāe to is kā kyā fāydā? Maiṅ kahtā hūṅ ki us kī nisbat māṅ ke peṭ meṅ zāe ho gae bachche kā hāl behtar hai. 4 Beshak aise bachche kā ānā bemānī hai, aur wuh andhere meṅ hī kūch karke chalā jātā balki us kā nām tak andhere meṅ chhupā rahtā hai. 5 Lekin go us ne na kabhī sūraj dekhā, na use kabhī mālūm huā ki aisī chīz hai tāham use mazkūrā ādmī se kahīṅ zyādā ārām-o-sukūn hāsil hai. 6 Aur agar wuh do hazār sāl tak jītā rahe, lekin apnī ḳhushhālī se lutfandoz na ho sake to kyā fāydā hai? Sab ko to ek hī jagah jānā hai.
7 Insān kī tamām mehnat-mashaqqat kā yih maqsad hai ki peṭ bhar jāe, to bhī us kī bhūk kabhī nahīṅ miṭtī. 8 Dānishmand ko kyā hāsil hai jis ke bāis wuh ahmaq se bartar hai? Is kā kyā fāydā hai ki ġharīb ādmī zindoṅ ke sāth munāsib sulūk karne kā fan sīkh le? 9 Dūr-darāz chīzoṅ ke ārzūmand rahne kī nisbat behtar yih hai ki insān un chīzoṅ se lutf uṭhāe jo āṅkhoṅ ke sāmne hī haiṅ. Yih bhī bātil aur hawā ko pakaṛne ke barābar hai.
Allāh kā Muqābalā Koī Nahīṅ Kar Saktā
10 Jo kuchh bhī pesh ātā hai us kā nām pahle hī rakhā gayā hai, jo bhī insān wujūd meṅ ātā hai wuh pahle hī mālūm thā. Koī bhī insān us kā muqābalā nahīṅ kar saktā jo us se tāqatwar hai. 11 Kyoṅki jitnī bhī bāteṅ insān kare utnā hī zyādā mālūm hogā ki bātil haiṅ. Insān ke lie is kā kyā fāydā?
12 Kis ko mālūm hai ki un thoṛe aur bekār dinoṅ ke daurān jo sāye kī tarah guzar jāte haiṅ insān ke lie kyā kuchh fāydāmand hai? Kaun use batā saktā hai ki us ke chale jāne par sūraj tale kyā kuchh pesh āegā?