6
Bachchoṅ aur Wālidain kā Tālluq
1 Bachcho, Ḳhudāwand meṅ apne māṅ-bāp ke tābe raheṅ, kyoṅki yihī rāstbāzī kā taqāzā hai. 2 Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā.” Yih pahlā hukm hai jis ke sāth ek wādā bhī kiyā gayā hai, 3 “Phir tū ḳhushhāl aur zamīn par der tak jītā rahegā.”
4 Ai wālido, apne bachchoṅ se aisā sulūk mat kareṅ ki wuh ġhusse ho jāeṅ balki unheṅ Ḳhudāwand kī taraf se tarbiyat aur hidāyat de kar pāleṅ.
Ġhulām aur Mālik
5 Ġhulāmo, ḍarte aur kāṅpte hue apne insānī mālikoṅ ke tābe raheṅ. Ḳhulūsdilī se un kī ḳhidmat yoṅ kareṅ jaise Masīh kī. 6 Na sirf un ke sāmne hī aur unheṅ ḳhush rakhne ke lie ḳhidmat kareṅ balki Masīh ke ġhulāmoṅ kī haisiyat se jo pūrī lagan se Allāh kī marzī pūrī karnā chāhte haiṅ. 7 Ḳhushī se ḳhidmat kareṅ, is tarah jaisā ki āp na sirf insānoṅ kī balki Ḳhudāwand kī ḳhidmat kar rahe hoṅ. 8 Āp to jānte haiṅ ki jo bhī achchhā kām ham ne kiyā us kā ajr Ḳhudāwand degā, ḳhāh ham ġhulām hoṅ yā āzād. 9 Aur māliko, āp bhī apne ġhulāmoṅ se aisā hī sulūk kareṅ. Unheṅ dhamkiyāṅ na deṅ. Āp ko to mālūm hai ki āsmān par āp kā bhī mālik hai aur ki wuh jānibdār nahīṅ hotā.
Ruhānī Zirābaktar
10 Ek āḳhirī bāt, Ḳhudāwand aur us kī zabardast quwwat meṅ tāqatwar ban jāeṅ. 11 Allāh kā pūrā zirābaktar pahan leṅ tāki Iblīs kī chāloṅ kā sāmnā kar sakeṅ. 12 Kyoṅki hamārī jang insān ke sāth nahīṅ hai balki hukmrānoṅ aur iḳhtiyār wāloṅ ke sāth, is tārīk duniyā ke hākimoṅ ke sāth aur āsmānī duniyā kī shaitānī kuwwatoṅ ke sāth hai. 13 Chunāṅche Allāh kā pūrā zirābaktar pahan leṅ tāki āp musībat ke din Iblīs ke hamloṅ kā sāmnā kar sakeṅ balki sab kuchh saranjām dene ke bād qāym rah sakeṅ.
14 Ab yoṅ khaṛe ho jāeṅ ki āp kī kamr meṅ sachchāī kā paṭkā bandhā huā ho, āp ke sīne par rāstbāzī kā sīnāband lagā ho 15 aur āp ke pāṅwoṅ meṅ aise jūte hoṅ jo sulah-salāmatī kī ḳhushḳhabrī sunāne ke lie taiyār raheṅ. 16 Is ke alāwā īmān kī ḍhāl bhī uṭhāe rakheṅ, kyoṅki is se āp Iblīs ke jalte hue tīr bujhā sakte haiṅ. 17 Apne sar par najāt kā ḳhod pahan kar hāth meṅ Rūh kī talwār jo Allāh kā kalām hai thāme rakheṅ. 18 Aur har mauqe par Rūh meṅ har tarah kī duā aur minnat karte raheṅ. Jāgte aur sābitqadmī se tamām muqaddasīn ke lie duā karte raheṅ. 19 Mere lie bhī duā kareṅ ki jab bhī maiṅ apnā muṅh kholūṅ Allāh mujhe aise alfāz atā kare ki pūrī dilerī se us kī ḳhushḳhabrī kā rāz sunā sakūṅ. 20 Kyoṅki maiṅ isī paiġhām kī ḳhātir qaidī, hāṅ zanjīroṅ meṅ jakaṛā huā Masīh kā elchī hūṅ. Duā kareṅ ki maiṅ Masīh meṅ utnī dilerī se yih paiġhām sunāūṅ jitnā mujhe karnā chāhie.
Āḳhirī Salām
21 Āp mere hāl aur kām ke bāre meṅ bhī jānanā chāheṅge. Ḳhudāwand meṅ hamārā azīz bhāī aur wafādār ḳhādim Tuḳhikus āp ko yih sab kuchh batā degā. 22 Maiṅ ne use isī lie āp ke pās bhej diyā ki āp ko hamāre hāl kā patā chale aur āp ko tasallī mile.
23 Ḳhudā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp bhāiyoṅ ko salāmatī aur īmān ke sāth muhabbat atā kareṅ. 24 Allāh kā fazl un sab ke sāth ho jo anmiṭ muhabbat ke sāth hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ko pyār karte haiṅ.