10
Ṭiḍḍiyāṅ
1 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā, kyoṅki maiṅ ne us kā aur us ke darbāriyoṅ kā dil saḳht kar diyā hai tāki un ke darmiyān apne mojizoṅ aur apnī qudrat kā izhār kar sakūṅ 2 aur tum apne beṭe-beṭiyoṅ aur pote-potiyoṅ ko sunā sako ki maiṅ ne Misriyoṅ ke sāth kyā sulūk kiyā hai aur un ke darmiyān kis tarah ke mojize karke apnī qudrat kā izhār kiyā hai. Yoṅ tum jān loge ki maiṅ Rab hūṅ.”
3 Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne us se kahā, “Rab Ibrāniyoṅ ke Ḳhudā kā farmān hai, ‘Tū kab tak mere sāmne hathiyār ḍālne se inkār karegā? Merī qaum ko merī ibādat karne ke lie jāne de, 4 warnā maiṅ kal tere mulk meṅ ṭiḍḍiyāṅ lāūṅgā. 5 Un ke ġhol zamīn par yoṅ chhā jāeṅge ki zamīn nazar hī nahīṅ āegī. Jo kuchh oloṅ ne tabāh nahīṅ kiyā use wuh chaṭ kar jāeṅgī. Bache hue daraḳhtoṅ ke patte bhī ḳhatm ho jāeṅge. 6 Tere mahal, tere ohdedāroṅ aur bāqī logoṅ ke ghar un se bhar jāeṅge. Jab se Misrī is mulk meṅ ābād hue haiṅ tum ne kabhī ṭiḍḍiyoṅ kā aisā saḳht hamlā nahīṅ dekhā hogā.’ ” Yih kah kar Mūsā palaṭ kar wahāṅ se chalā gayā.
7 Is par darbāriyoṅ ne Firaun se bāt kī, “Ham kab tak is mard ke jāl meṅ phaṅse raheṅ? Isrāīliyoṅ ko Rab apne Ḳhudā kī ibādat karne ke lie jāne deṅ. Kyā āp ko abhī tak mālūm nahīṅ ki Misr barbād ho gayā hai?”
8 Tab Mūsā aur Hārūn ko Firaun ke pās bulāyā gayā. Us ne un se kahā, “Jāo, apne Ḳhudā kī ibādat karo. Lekin yih batāo ki kaun kaun sāth jāegā?” 9 Mūsā ne jawāb diyā, “Hamāre jawān aur būṛhe sāth jāeṅge. Ham apne beṭe-beṭiyoṅ, bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ ko bhī sāth le kar jāeṅge. Ham sab ke sab jāeṅge, kyoṅki hameṅ Rab kī Īd manānī hai.”
10 Firaun ne tanzan kahā, “Ṭhīk hai, jāo aur Rab tumhāre sāth ho. Nahīṅ, maiṅ kis tarah tum sab ko bāl-bachchoṅ samet jāne de saktā hūṅ? Tum ne koī burā mansūbā banāyā hai. 11 Nahīṅ, sirf mard jā kar Rab kī ibādat kar sakte haiṅ. Tum ne to yihī darḳhāst kī thī.” Tab Mūsā aur Hārūn ko Firaun ke sāmne se nikāl diyā gayā.
12 Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Misr par apnā hāth uṭhā tāki ṭiḍḍiyāṅ ā kar Misr kī sarzamīn par phail jāeṅ. Jo kuchh bhī khetoṅ meṅ oloṅ se bach gayā hai use wuh khā jāeṅgī.”
13 Mūsā ne apnī lāṭhī Misr par uṭhāī to Rab ne mashriq se āṅdhī chalāī jo sārā din aur sārī rāt chaltī rahī aur aglī subah tak Misr meṅ ṭiḍḍiyāṅ pahuṅchāīṅ. 14 Beshumār ṭiḍḍiyāṅ pūre mulk par hamlā karke har jagah baiṭh gaīṅ. Is se pahle yā bād meṅ kabhī bhī ṭiḍḍiyoṅ kā itnā saḳht hamlā na huā thā. 15 Unhoṅ ne zamīn ko yoṅ ḍhāṅk liyā ki wuh kālī nazar āne lagī. Jo kuchh bhī oloṅ se bach gayā thā chāhe khetoṅ ke paude yā daraḳhtoṅ ke phal the unhoṅ ne khā liyā. Misr meṅ ek bhī daraḳht yā paudā na rahā jis ke patte bach gae hoṅ.
16 Tab Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko jaldī se bulwāyā. Us ne kahā, “Maiṅ ne tumhāre Ḳhudā kā aur tumhārā gunāh kiyā hai. 17 Ab ek aur martabā merā gunāh muāf karo aur Rab apne Ḳhudā se duā karo tāki maut kī yih hālat mujh se dūr ho jāe.”
18 Mūsā ne mahal se nikal kar Rab se duā kī. 19 Jawāb meṅ Rab ne hawā kā ruḳh badal diyā. Us ne maġhrib se tez āṅdhī chalāī jis ne ṭiḍḍiyoṅ ko uṛā kar Bahr-e-Qulzum meṅ ḍāl diyā. Misr meṅ ek bhī ṭiḍḍī na rahī. 20 Lekin Rab ne hone diyā ki Firaun phir aṛ gayā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.
Andherā
21 Is ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Apnā hāth āsmān kī taraf uṭhā to Misr par andherā chhā jāegā. Itnā andherā hogā ki bandā use chhū sakegā.” 22 Mūsā ne apnā hāth āsmān kī taraf uṭhāyā to tīn din tak Misr par gahrā andherā chhāyā rahā. 23 Tīn din tak log na ek dūsre ko dekh sake, na kahīṅ jā sake. Lekin jahāṅ Isrāīlī rahte the wahāṅ raushnī thī.
24 Tab Firaun ne Mūsā ko phir bulwāyā aur kahā, “Jāo, Rab kī ibādat karo! Tum apne sāth bāl-bachchoṅ ko bhī le jā sakte ho. Sirf apnī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail pīchhe chhoṛ denā.” 25 Mūsā ne jawāb diyā, “Kyā āp hī hameṅ qurbāniyoṅ ke lie jānwar deṅge tāki unheṅ Rab apne Ḳhudā ko pesh kareṅ? 26 Yaqīnan nahīṅ. Is lie lāzim hai ki ham apne jānwaroṅ ko sāth le kar jāeṅ. Ek khur bhī pīchhe nahīṅ chhoṛā jāegā, kyoṅki abhī tak hameṅ mālūm nahīṅ ki Rab kī ibādat ke lie kin kin jānwaroṅ kī zarūrat hogī. Yih us waqt hī patā chalegā jab ham manzil-e-maqsūd par pahuṅcheṅge. Is lie zarūrī hai ki ham sab ko apne sāth le kar jāeṅ.”
27 Lekin Rab kī marzī ke mutābiq Firaun aṛ gayā. Us ne unheṅ jāne na diyā. 28 Us ne Mūsā se kahā, “Dafā ho jā. Ḳhabardār! Phir kabhī apnī shakl na dikhānā, warnā tujhe maut ke hawāle kar diyā jāegā.” 29 Mūsā ne kahā, “Ṭhīk hai, āp kī marzī. Maiṅ phir kabhī āp ke sāmne nahīṅ āūṅgā.”