16
Hājirā aur Ismāīl
1 Ab tak Abrām kī bīwī Sāray ke koī bachchā nahīṅ huā thā. Lekin unhoṅ ne ek Misrī launḍī rakhī thī jis kā nām Hājirā thā, 2 aur ek din Sāray ne Abrām se kahā, “Rab ne mujhe bachche paidā karne se mahrūm rakhā hai, is lie merī launḍī ke sāth hambistar hoṅ. Shāyad mujhe us kī mārifat bachchā mil jāe.”
Abrām ne Sāray kī bāt mān lī. 3 Chunāṅche Sāray ne apnī Misrī launḍī Hājirā ko apne shauhar Abrām ko de diyā tāki wuh us kī bīwī ban jāe us waqt Abrām ko Kanān meṅ baste hue das sāl ho gae the. 4 Abrām Hājirā se hambistar huā to wuh ummīd se ho gaī. Jab Hājirā ko yih mālūm huā to wuh apnī mālikan ko haqīr jānane lagī. 5 Tab Sāray ne Abrām se kahā, “Jo zulm mujh par kiyā jā rahā hai wuh āp hī par āe. Maiṅ ne ḳhud ise āp ke bāzuoṅ meṅ de diyā thā. Ab jab ise mālūm huā hai ki ummīd se hai to mujhe haqīr jānane lagī hai. Rab mere aur āp ke darmiyān faislā kare.” 6 Abrām ne jawāb diyā, “Dekho, yih tumhārī launḍī hai aur tumhāre iḳhtiyār meṅ hai. Jo tumhārā jī chāhe us ke sāth karo.”
Is par Sāray us se itnā burā sulūk karne lagī ki Hājirā farār ho gaī. 7 Rab ke farishte ko Hājirā registān ke us chashme ke qarīb milī jo Shūr ke rāste par hai. 8 Us ne kahā, “Sāray kī launḍī Hājirā, tū kahāṅ se ā rahī hai aur kahāṅ jā rahī hai?” Hājirā ne jawāb diyā, “Maiṅ apnī mālikan Sāray se farār ho rahī hūṅ.” 9 Rab ke farishte ne us se kahā, “Apnī mālikan ke pās wāpas chalī jā aur us ke tābe rah. 10 Maiṅ terī aulād itnī baṛhāūṅgā ki use ginā nahīṅ jā sakegā.” 11 Rab ke farishte ne mazīd kahā, “Tū ummīd se hai. Ek beṭā paidā hogā. Us kā nām Ismāīl yānī ‘Allāh Suntā Hai’ rakh, kyoṅki Rab ne musībat meṅ terī āwāz sunī. 12 Wuh janglī gadhe kī mānind hogā. Us kā hāth har ek ke ḳhilāf aur har ek kā hāth us ke ḳhilāf hogā. To bhī wuh apne tamām bhāiyoṅ ke sāmne ābād rahegā.”
13 Rab ke us ke sāth bāt karne ke bād Hājirā ne us kā nām Attā-el-roī yānī ‘Tū Ek Mābūd Hai Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ rakhā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ ne wāqaī us ke pīchhe dekhā hai jis ne mujhe dekhā hai?” 14 Is lie us jagah ke kueṅ kā nām ‘Bair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai.
15 Hājirā wāpas gaī, aur us ke beṭā paidā huā. Abrām ne us kā nām Ismāīl rakhā. 16 Us waqt Abrām 86 sāl kā thā.