50
Yāqūb ko Dafn Kiyā Jātā Hai
1 Yūsuf apne bāp ke chehre se lipaṭ gayā. Us ne rote hue use bosā diyā. 2 Us ke mulāzimoṅ meṅ se kuchh ḍākṭar the. Us ne unheṅ hidāyat dī ki mere bāp Isrāīl kī lāsh ko hanūt kareṅ tāki wuh gal na jāe. Unhoṅ ne aisā hī kiyā. 3 Is meṅ 40 din lag gae. Ām taur par hanūt karne ke lie itne hī din lagte haiṅ. Misriyoṅ ne 70 din tak Yāqūb kā mātam kiyā.
4 Jab mātam kā waqt ḳhatm huā to Yūsuf ne bādshāh ke darbāriyoṅ se kahā, “Mehrbānī karke yih ḳhabar bādshāh tak pahuṅchā deṅ 5 ki mere bāp ne mujhe qasam dilā kar kahā thā, ‘Maiṅ marne wālā hūṅ. Mujhe us qabr meṅ dafn karnā jo maiṅ ne Mulk-e-Kanān meṅ apne lie banwāī.’ Ab mujhe ijāzat deṅ ki maiṅ wahāṅ jāūṅ aur apne bāp ko dafn karke wāpas āūṅ.” 6 Firaun ne jawāb diyā, “Jā, apne bāp ko dafn kar jis tarah us ne tujhe qasam dilāī thī.”
7 Chunāṅche Yūsuf apne bāp ko dafnāne ke lie Kanān rawānā huā. Bādshāh ke tamām mulāzim, mahal ke buzurg aur pūre Misr ke buzurg us ke sāth the. 8 Yūsuf ke gharāne ke afrād, us ke bhāī aur us ke bāp ke gharāne ke log bhī sāth gae. Sirf un ke bachche, un kī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail Jushan meṅ rahe. 9 Rath aur ghuṛsawār bhī sāth gae. Sab mil kar baṛā lashkar ban gae.
10 Jab wuh Yardan ke qarīb Atad ke khaliyān par pahuṅche to unhoṅ ne nihāyat dilsoz nohā kiyā. Wahāṅ Yūsuf ne sāt din tak apne bāp kā mātam kiyā. 11 Jab maqāmī Kanāniyoṅ ne Atad ke khaliyān par mātam kā yih nazārā dekhā to unhoṅ ne kahā, “Yih to mātam kā bahut baṛā intazām hai jo Misrī karwā rahe haiṅ.” Is lie us jagah kā nām Abīl-misrīm yānī ‘Misriyoṅ kā Mātam’ paṛ gayā. 12 Yoṅ Yāqūb ke beṭoṅ ne apne bāp kā hukm pūrā kiyā. 13 Unhoṅ ne use Mulk-e-Kanān meṅ le jā kar Makfīlā ke khet ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī khet hai jo Ibrāhīm ne Ifron Hittī se apne logoṅ ko dafnāne ke lie ḳharīdā thā.
14 Is ke bād Yūsuf, us ke bhāī aur bāqī tamām log jo janāze ke lie sāth gae the Misr ko lauṭ āe.
Yūsuf Apne Bhāiyoṅ ko Tasallī Detā Hai
15 Jab Yāqūb intaqāl kar gayā to Yūsuf ke bhāī ḍar gae. Unhoṅ ne kahā, “Ḳhatrā hai ki ab Yūsuf hamārā tāqqub karke us ġhalat kām kā badlā le jo ham ne us ke sāth kiyā thā. Phir kyā hogā?” 16 Yih soch kar unhoṅ ne Yūsuf ko ḳhabar bhejī, “Āp ke bāp ne marne se peshtar hidāyat dī 17 ki Yūsuf ko batānā, ‘Apne bhāiyoṅ ke us ġhalat kām ko muāf kar denā jo unhoṅ ne tumhāre sāth kiyā.’ Ab hameṅ jo āp ke bāp ke Ḳhudā ke pairokār haiṅ muāf kar deṅ.”
Yih ḳhabar sun kar Yūsuf ro paṛā. 18 Phir us ke bhāī ḳhud āe aur us ke sāmne gir gae. Unhoṅ ne kahā, “Ham āp ke ḳhādim haiṅ.” 19 Lekin Yūsuf ne kahā, “Mat ḍaro. Kyā maiṅ Allāh kī jagah hūṅ? Hargiz nahīṅ! 20 Tum ne mujhe nuqsān pahuṅchāne kā irādā kiyā thā, lekin Allāh ne us se bhalāī paidā kī. Aur ab is kā maqsad pūrā ho rahā hai. Bahut-se log maut se bach rahe haiṅ. 21 Chunāṅche ab ḍarne kī zarūrat nahīṅ hai. Maiṅ tumheṅ aur tumhāre bachchoṅ ko ḳhurāk muhaiyā kartā rahūṅgā.”
Yoṅ Yūsuf ne unheṅ tasallī dī aur un se narmī se bāt kī.
Yūsuf kā Intaqāl
22 Yūsuf apne bāp ke ḳhāndān samet Misr meṅ rahā. Wuh 110 sāl zindā rahā. 23 Maut se pahle us ne na sirf Ifrāīm ke bachchoṅ ko balki us ke potoṅ ko bhī dekhā. Manassī ke beṭe Makīr ke bachche bhī us kī maujūdagī meṅ paidā ho kar us kī god meṅ rakhe gae. * Ġhāliban is kā matlab yih hai ki us ne unheṅ lepālak banāyā.
24 Phir ek waqt āyā ki Yūsuf ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ marne wālā hūṅ. Lekin Allāh zarūr āp kī dekh-bhāl karke āp ko is mulk se us mulk meṅ le jāegā jis kā us ne Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se qasam khā kar wādā kiyā hai.” 25 Phir Yūsuf ne Isrāīliyoṅ ko qasam dilā kar kahā, “Allāh yaqīnan tumhārī dekh-bhāl karke wahāṅ le jāegā. Us waqt merī haḍḍiyoṅ ko bhī uṭhā kar sāth le jānā.”
26 Phir Yūsuf faut ho gayā. Wuh 110 sāl kā thā. Use hanūt karke Misr meṅ ek tābūt meṅ rakhā gayā.