4
1 Dekheṅ, ab tak Allāh kā yih wādā qāym hai, aur ab tak ham sukūn ke mulk meṅ dāḳhil ho sakte haiṅ. Is lie āeṅ, ham ḳhabardār raheṅ. Aisā na ho ki āp meṅ se koī pīchhe rah kar us meṅ dāḳhil na hone pāe. 2 Kyoṅki hameṅ bhī un kī tarah ek ḳhushḳhabrī sunāī gaī. Lekin yih paiġhām un ke lie befāydā thā, kyoṅki wuh use sun kar īmān na lāe. 3 Un kī nisbat ham jo īmān lāe haiṅ sukūn ke is mulk meṅ dāḳhil ho sakte haiṅ.
Ġharz, yih aisā hī hai jis tarah Allāh ne farmāyā,
“Apne ġhazab meṅ maiṅ ne qasam khāī,
‘Yih kabhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hoṅge
jahāṅ maiṅ unheṅ sukūn detā.’ ”
Ab ġhaur kareṅ ki us ne yih kahā agarche us kā kām duniyā kī taḳhlīq par iḳhtitām tak pahuṅch gayā thā. 4 Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ sātweṅ din ke bāre meṅ likhā hai, “Sātweṅ din Allāh kā sārā kām takmīl tak pahuṅch gayā. Is se fāriġh ho kar us ne ārām kiyā.” 5 Ab is kā muqābalā mazkūrā āyat se kareṅ,
“Yih kabhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hoṅge
jahāṅ maiṅ unheṅ sukūn detā.”
6 Jinhoṅ ne pahle Allāh kī ḳhushḳhabrī sunī unheṅ nāfarmān hone kī wajah se yih sukūn na milā. To bhī yih bāt qāym rahī ki kuchh to sukūn ke is mulk meṅ dāḳhil ho jāeṅge. 7 Yih madd-e-nazar rakh kar Allāh ne ek aur din muqarrar kiyā, mazkūrā “Āj” kā din. Kaī sāloṅ ke bād hī us ne Dāūd kī mārifat wuh bāt kī jis par ham ġhaur kar rahe haiṅ,
“Agar tum āj Allāh kī āwāz suno
to apne diloṅ ko saḳht na karo.”
8 Jab Yashua unheṅ Mulk-e-Kanān meṅ lāyā tab us ne Isrāīliyoṅ ko yih sukūn na diyā, warnā Allāh is ke bād ke kisī aur din kā zikr na kartā. 9 Chunāṅche Allāh kī qaum ke lie ek ḳhās sukūn bāqī rah gayā hai, aisā sukūn jo Allāh ke sātweṅ din ārām karne se mutābiqat rakhtā hai. 10 Kyoṅki jo bhī wuh sukūn pātā hai jis kā wādā Allāh ne kiyā wuh Allāh kī tarah apne kāmoṅ se fāriġh ho kar ārām karegā. 11 Is lie āeṅ, ham is sukūn meṅ dāḳhil hone kī pūrī koshish kareṅ tāki ham meṅ se koī bhī bāpdādā ke nāfarmān namūne par chal kar gunāh meṅ na gir jāe.
12 Kyoṅki Allāh kā kalām zindā, muassir aur har dodhārī talwār se zyādā tez hai. Wuh insān meṅ se guzar kar us kī jān rūh se aur us ke joṛoṅ ko gūde se alag kar letā hai. Wuhī dil ke ḳhayālāt aur soch ko jāṅch kar un par faislā karne ke qābil hai. 13 Koī maḳhlūq bhī Allāh kī nazar se nahīṅ chhup saktī. Us kī āṅkhoṅ ke sāmne jis ke jawābdeh ham hote haiṅ sab kuchh ayāṅ aur beniqāb hai.
Īsā Hamārā Imām-e-Āzam Hai
14 Ġharz āeṅ, ham us īmān se lipṭe raheṅ jis kā iqrār ham karte haiṅ. Kyoṅki hamārā aisā azīm imām-e-āzam hai jo āsmānoṅ meṅ se guzar gayā yānī Īsā Allāh kā Farzand. 15 Aur wuh aisā imām-e-āzam nahīṅ hai jo hamārī kamzoriyoṅ ko dekh kar hamdardī na dikhāe balki agarche wuh begunāh rahā to bhī hamārī tarah use har qism kī āzmāish kā sāmnā karnā paṛā. 16 Ab āeṅ, ham pūre etamād ke sāth Allāh ke taḳht ke sāmne hāzir ho jāeṅ jahāṅ fazl pāyā jātā hai. Kyoṅki wahīṅ ham wuh rahm aur fazl pāeṅge jo zarūrat ke waqt hamārī madad kar saktā hai.