2
Tāssub se Ḳhabardār
1 Mere bhāiyo, lāzim hai ki āp jo hamāre jalālī Ḳhudāwand Īsā Masīh par īmān rakhte haiṅ jānibdārī na dikhāeṅ. 2 Farz kareṅ ki ek ādmī sone kī angūṭhī aur shāndār kapṛe pahne hue āp kī jamāt meṅ ā jāe aur sāth sāth ek ġharīb ādmī bhī maile-kuchaile kapṛe pahne hue andar āe. 3 Aur āp shāndār kapṛe pahne hue ādmī par ḳhās dhyān de kar us se kaheṅ, “Yahāṅ is achchhī kursī par tashrīf rakheṅ,” lekin ġharīb ādmī ko kaheṅ, “Wahāṅ khaṛā ho jā” yā “Ā, mere pāṅwoṅ ke pās farsh par baiṭh jā.” 4 Kyā āp aisā karne se mujrimānā ḳhayālāt wāle munsif nahīṅ sābit hue? Kyoṅki āp ne logoṅ meṅ nārawā farq kiyā hai.
5 Mere azīz bhāiyo, suneṅ! Kyā Allāh ne unheṅ nahīṅ chunā jo duniyā kī nazar meṅ ġharīb haiṅ tāki wuh īmān meṅ daulatmand ho jāeṅ? Yihī log wuh bādshāhī mīrās meṅ pāeṅge jis kā wādā Allāh ne un se kiyā hai jo use pyār karte haiṅ. 6 Lekin āp ne zarūratmandoṅ kī be'izzatī kī hai. Zarā soch leṅ, wuh kaun haiṅ jo āp ko dabāte aur adālat meṅ ghasīṭ kar le jāte haiṅ? Kyā yih daulatmand hī nahīṅ haiṅ? 7 Wuhī to Īsā par kufr bakte haiṅ, us azīm nām par jis ke pairokār āp ban gae haiṅ.
8 Allāh chāhtā hai ki āp kalām-e-muqaddas meṅ mazkūr shāhī sharīat pūrī kareṅ, “Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.” 9 Chunāṅche jab āp jānibdārī dikhāte haiṅ to gunāh karte haiṅ aur sharīat āp ko mujrim ṭhahrātī hai. 10 Mat bhūlnā ki jis ne sharīat kā sirf ek hukm toṛā hai wuh pūrī sharīat kā qusūrwār ṭhahartā hai. 11 Kyoṅki jis ne farmāyā, “Zinā na karnā” us ne yih bhī kahā, “Qatl na karnā.” Ho saktā hai ki āp ne zinā to na kiyā ho, lekin kisī ko qatl kiyā ho. To bhī āp us ek jurm kī wajah se pūrī sharīat toṛne ke mujrim ban gae haiṅ. 12 Chunāṅche jo kuchh bhī āp kahte aur karte haiṅ yād rakheṅ ki āzād karne wālī sharīat āp kī adālat karegī. 13 Kyoṅki Allāh adālat karte waqt us par rahm nahīṅ karegā jis ne ḳhud rahm nahīṅ dikhāyā. Lekin rahm adālat par ġhālib ā jātā hai. Jab āp rahm kareṅge to Allāh āp par rahm karegā.
Īmān Nek Kāmoṅ ke Baġhair Murdā Hai
14 Mere bhāiyo, agar koī īmān rakhne kā dāwā kare, lekin us ke mutābiq zindagī na guzāre to us kā kyā fāydā hai? Kyā aisā īmān use najāt dilā saktā hai? 15 Farz kareṅ ki koī bhāī yā bahan kapṛoṅ aur rozmarrā roṭī kī zarūratmand ho. 16 Yih dekh kar āp meṅ se koī us se kahe, “Achchhā jī, Ḳhudā hāfiz. Garm kapṛe pahno aur jī bhar kar khānā khāo.” Lekin wuh ḳhud yih zarūriyāt pūrī karne meṅ madad na kare. Kyā is kā koī fāydā hai? 17 Ġharz, mahz īmān kāfī nahīṅ. Agar wuh nek kāmoṅ se amal meṅ na lāyā jāe to wuh murdā hai.
18 Ho saktā hai koī etarāz kare, “Ek shaḳhs ke pās to īmān hotā hai, dūsre ke pās nek kām.” Āeṅ, mujhe dikhāeṅ ki āp nek kāmoṅ ke baġhair kis tarah īmān rakh sakte haiṅ. Yih to nāmumkin hai. Lekin maiṅ zarūr āp ko apne nek kāmoṅ se dikhā saktā hūṅ ki maiṅ īmān rakhtā hūṅ. 19 Achchhā, āp kahte haiṅ, “Ham īmān rakhte haiṅ ki ek hī Ḳhudā hai.” Shābāsh, yih bilkul sahīh hai. Shayātīn bhī yih īmān rakhte haiṅ, go wuh yih jān kar ḳhauf ke māre thartharāte haiṅ. 20 Hosh meṅ āeṅ! Kyā āp nahīṅ samajhte ki nek āmāl ke baġhair īmān bekār hai? 21 Hamāre bāp Ibrāhīm par ġhaur kareṅ. Wuh to isī wajah se rāstbāz ṭhahrāyā gayā ki us ne apne beṭe Is'hāq ko qurbāngāh par pesh kiyā. 22 Āp ḳhud dekh sakte haiṅ ki us kā īmān aur nek kām mil kar amal kar rahe the. Us kā īmān to us se mukammal huā jo kuchh us ne kiyā 23 aur is tarah hī kalām-e-muqaddas kī yih bāt pūrī huī, “Ibrāhīm ne Allāh par bharosā rakhā. Is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā.” Isī wajah se wuh “Allāh kā dost” kahlāyā. 24 Yoṅ āp ḳhud dekh sakte haiṅ ki insān apne nek āmāl kī binā par rāstbāz qarār diyā jātā hai, na ki sirf īmān rakhne kī wajah se.
25 Rāhab fāhishā kī misāl bhī leṅ. Use bhī apne kāmoṅ kī binā par rāstbāz qarār diyā gayā jab us ne Isrāīlī jāsūsoṅ kī mehmān-nawāzī kī aur unheṅ shahr se nikalne kā dūsrā rāstā dikhā kar bachāyā.
26 Ġharz, jis tarah badan rūh ke baġhair murdā hai usī tarah īmān bhī nek āmāl ke baġhair murdā hai.