4
Daborā Nabiyā aur Lashkar kā Sardār Baraq
1 Jab Ahūd faut huā to Isrāīlī dubārā aisī harkateṅ karne lage jo Rab ke nazdīk burī thīṅ. 2-3 Is lie Rab ne unheṅ Kanān ke bādshāh Yābīn ke hawāle kar diyā. Yābīn kā dārul-hukūmat Hasūr thā, aur us ke pās 900 lohe ke rath the. Us ke lashkar kā sardār Sīsarā thā jo Harūsat-hagoim meṅ rahtā thā. Yābīn ne 20 sāl Isrāīliyoṅ par bahut zulm kiyā, is lie unhoṅ ne madad ke lie Rab ko pukārā.
4 Un dinoṅ meṅ Daborā Nabiyā Isrāīl kī qāzī thī. Us kā shauhar Lafīdot thā, 5 aur wuh ‘Daborā ke Khajūr’ ke pās rahtī thī jo Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe meṅ Rāmā aur Baitel ke darmiyān thā. Is daraḳht ke sāye meṅ wuh Isrāīliyoṅ ke muāmalāt ke faisle kiyā kartī thī. 6 Ek din Daborā ne Baraq bin Abīnūsam ko bulāyā. Baraq Naftālī ke qabāylī ilāqe ke shahr Qādis meṅ rahtā thā. Daborā ne Baraq se kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā āp ko hukm detā hai, ‘Naftālī aur Zabūlūn ke qabīloṅ meṅ se 10,000 mardoṅ ko jamā karke un ke sāth Tabūr Pahāṛ par chaṛh jā! 7 Maiṅ Yābīn ke lashkar ke sardār Sīsarā ko us ke rathoṅ aur fauj samet tere qarīb kī Qaison Nadī ke pās khīṅch lāūṅgā. Wahāṅ maiṅ use tere hāth meṅ kar dūṅgā.’ ”
8 Baraq ne jawāb diyā, “Maiṅ sirf is sūrat meṅ jāūṅgā ki āp bhī sāth jāeṅ. Āp ke baġhair maiṅ nahīṅ jāūṅgā.” 9 Daborā ne kahā, “Ṭhīk hai, maiṅ zarūr āp ke sāth jāūṅgī. Lekin is sūrat meṅ āp ko Sīsarā par ġhālib āne kī izzat hāsil nahīṅ hogī balki ek aurat ko. Kyoṅki Rab Sīsarā ko ek aurat ke hawāle kar degā.”
Chunāṅche Daborā Baraq ke sāth Qādis gaī. 10 Wahāṅ Baraq ne Zabūlūn aur Naftālī ke qabīloṅ ko apne pās bulā liyā. 10,000 ādmī us kī rāhnumāī meṅ Tabūr Pahāṛ par chale gae. Daborā bhī sāth gaī.
11 Un dinoṅ meṅ ek Qīnī banām Hibar ne apnā ḳhaimā Qādis ke qarīb Ailon-zānanīm meṅ lagāyā huā thā. Qīnī Mūsā ke sāle Hobāb kī aulād meṅ se thā. Lekin Hibar dūsre Qīniyoṅ se alag rahtā thā.
12 Ab Sīsarā ko ittalā dī gaī ki Baraq bin Abīnūsam fauj le kar pahāṛ Tabūr par chaṛh gayā hai. 13 Yih sun kar wuh Harūsat-hagoim se rawānā ho kar apne 900 rathoṅ aur bāqī lashkar ke sāth Qaison Nadī par pahuṅch gayā.
14 Tab Daborā ne Baraq se bāt kī, “Hamlā ke lie taiyār ho jāeṅ, kyoṅki Rab ne āj hī Sīsarā ko āp ke qābū meṅ kar diyā hai. Rab āp ke āge āge chal rahā hai.” Chunāṅche Baraq apne 10,000 ādmiyoṅ ke sāth Tabūr Pahāṛ se utar āyā. 15 Jab unhoṅ ne dushman par hamlā kiyā to Rab ne Kanāniyoṅ ke pūre lashkar meṅ rathoṅ samet afrā-tafrī paidā kar dī. Sīsarā apne rath se utar kar paidal hī farār ho gayā.
16 Baraq ke ādmiyoṅ ne bhāgne wāle faujiyoṅ aur un ke rathoṅ kā tāqqub karke un ko Harūsat-hagoim tak mārte gae. Ek bhī na bachā.
Sīsarā kā Anjām
17 Itne meṅ Sīsarā paidal chal kar Qīnī ādmī Hibar kī bīwī Yāel ke ḳhaime ke pās bhāg āyā thā. Wajah yih thī ki Hasūr ke bādshāh Yābīn ke Hibar ke gharāne ke sāth achchhe tālluqāt the. 18 Yāel ḳhaime se nikal kar Sīsarā se milne gaī. Us ne kahā, “Āeṅ mere āqā, andar āeṅ aur na ḍareṅ.” Chunāṅche wuh andar ā kar leṭ gayā, aur Yāel ne us par kambal ḍāl diyā.
19 Sīsarā ne kahā, “Mujhe pyās lagī hai, kuchh pānī pilā do.” Yāel ne dūdh kā mashkīzā khol kar use pilā diyā aur use dubārā chhupā diyā. 20 Sīsarā ne darḳhāst kī, “Darwāze meṅ khaṛī ho jāo! Agar koī āe aur pūchhe ki kyā ḳhaime meṅ koī hai to bolo ki nahīṅ, koī nahīṅ hai.”
21 Yih kah kar Sīsarā gahrī nīnd so gayā, kyoṅki wuh nihāyat thakā huā thā. Tab Yāel ne meḳh aur hathoṛā pakaṛ liyā aur dabe pāṅw Sīsarā ke pās jā kar meḳh ko itne zor se us kī kanpaṭī meṅ ṭhoṅk diyā ki meḳh zamīn meṅ dhaṅs gaī aur wuh mar gayā.
22 Kuchh der ke bād Baraq Sīsarā ke tāqqub meṅ wahāṅ se guzarā. Yāel ḳhaime se nikal kar us se milne āī aur bolī, “Āeṅ, maiṅ āp ko wuh ādmī dikhātī hūṅ jise āp ḍhūnḍ rahe haiṅ.” Baraq us ke sāth ḳhaime meṅ dāḳhil huā to kyā dekhā ki Sīsarā kī lāsh zamīn par paṛī hai aur meḳh us kī kanpaṭī meṅ se guzar kar zamīn meṅ gaṛ gaī hai.
23 Us din Allāh ne Kanānī bādshāh Yābīn ko Isrāīliyoṅ ke sāmne zer kar diyā. 24 Is ke bād un kī tāqat baṛhtī gaī jabki Yābīn kamzor hotā gayā aur āḳhirkār Isrāīliyoṅ ke hāthoṅ tabāh ho gayā.