19
Ek Lāwī kī Apnī Dāshtā ke sāth Sulah
1 Us zamāne meṅ jab Isrāīl kā koī bādshāh nahīṅ thā ek Lāwī ne apne ghar meṅ dāshtā rakhī jo Yahūdāh ke shahr Bait-laham kī rahne wālī thī. Ādmī Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke kisī dūr-darāz kone meṅ ābād thā. 2 Lekin ek din aurat mard se nārāz huī aur maike wāpas chalī gaī. Chār māh ke bād 3 Lāwī do gadhe aur apne naukar ko le kar Bait-laham ke lie rawānā huā tāki dāshtā kā ġhussā ṭhanḍā karke use wāpas āne par āmādā kare.
Jab us kī mulāqāt dāshtā se huī to wuh use apne bāp ke ghar meṅ le gaī. Use dekh kar susar itnā ḳhush huā 4 ki us ne use jāne na diyā. Dāmād ko tīn din wahāṅ ṭhaharnā paṛā jis daurān susar ne us kī ḳhūb mehmān-nawāzī kī. 5 Chauthe din Lāwī subah-sawere uṭh kar apnī dāshtā ke sāth rawānā hone kī taiyāriyāṅ karne lagā. Lekin susar use rok kar bolā, “Pahle thoṛā-bahut khā kar tāzādam ho jāeṅ, phir chale jānā.” 6 Donoṅ dubārā khāne-pīne ke lie baiṭh gae.
Susar ne kahā, “Barāh-e-karm ek aur rāt yahāṅ ṭhahar kar apnā dil bahlāeṅ.” 7 Mehmān jāne kī taiyāriyāṅ karne to lagā, lekin susar ne use ek aur rāt ṭhaharne par majbūr kiyā. Chunāṅche wuh hār mān kar ruk gayā.
8 Pāṅchweṅ din ādmī subah-sawere uṭhā aur jāne ke lie taiyār huā. Susar ne zor diyā, “Pahle kuchh khānā khā kar tāzādam ho jāeṅ. Āp dopahar ke waqt bhī jā sakte haiṅ.” Chunāṅche donoṅ khāne ke lie baiṭh gae.
9 Dopahar ke waqt Lāwī apnī bīwī aur naukar ke sāth jāne ke lie uṭhā. Susar etarāz karne lagā, “Ab dekheṅ, din ḍhalne wālā hai. Rāt ṭhahar kar apnā dil bahlāeṅ. Behtar hai ki āp kal subah-sawere hī uṭh kar ghar ke lie rawānā ho jāeṅ.” 10-11 Lekin ab Lāwī kisī bhī sūrat meṅ ek aur rāt ṭhaharnā nahīṅ chāhtā thā. Wuh apne gadhoṅ par zīn kas kar apnī bīwī aur naukar ke sāth rawānā huā.
Chalte chalte din ḍhalne lagā. Wuh Yabūs yānī Yarūshalam ke qarīb pahuṅch gae the. Shahr ko dekh kar naukar ne mālik se kahā, “Āeṅ, ham Yabūsiyoṅ ke is shahr meṅ jā kar wahāṅ rāt guzāreṅ.” 12 Lekin Lāwī ne etarāz kiyā, “Nahīṅ, yih ajnabiyoṅ kā shahr hai. Hameṅ aisī jagah rāt nahīṅ guzārnā chāhie jo Isrāīlī nahīṅ hai. Behtar hai ki ham āge jā kar Jibiyā kī taraf baṛheṅ. 13 Agar ham jaldī kareṅ to ho saktā hai ki Jibiyā yā us se āge Rāmā tak pahuṅch sakeṅ. Wahāṅ ārām se rāt guzār sakeṅge.”
14 Chunāṅche wuh āge nikle. Jab sūraj ġhurūb hone lagā to wuh Binyamīn ke qabīle ke shahr Jibiyā ke qarīb pahuṅch gae 15 aur rāste se haṭ kar shahr meṅ dāḳhil hue. Lekin koī un kī mehmān-nawāzī nahīṅ karnā chāhtā thā, is lie wuh shahr ke chauk meṅ ruk gae.
16 Phir andhere meṅ ek būṛhā ādmī wahāṅ se guzarā. Asal meṅ wuh Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kā rahne wālā thā aur Jibiyā meṅ ajnabī thā, kyoṅki bāqī bāshinde Binyamīnī the. Ab wuh khet meṅ apne kām se fāriġh ho kar shahr meṅ wāpas āyā thā. 17 Musāfiroṅ ko chauk meṅ dekh kar us ne pūchhā, “Āp kahāṅ se āe aur kahāṅ jā rahe haiṅ?” 18 Lāwī ne jawāb diyā, “Ham Yahūdāh ke Bait-laham se āe haiṅ aur Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke ek dūr-darāz kone tak safr kar rahe haiṅ. Wahāṅ merā ghar hai aur wahīṅ se maiṅ rawānā ho kar Bait-laham chalā gayā thā. Is waqt maiṅ Rab ke ghar jā rahā hūṅ. Lekin yahāṅ Jibiyā meṅ koī nahīṅ jo hamārī mehmān-nawāzī karne ke lie taiyār ho, 19 hālāṅki hamāre pās khāne kī tamām chīzeṅ maujūd haiṅ. Gadhoṅ ke lie bhūsā aur chārā hai, aur hamāre lie bhī kāfī roṭī aur mai hai. Hameṅ kisī bhī chīz kī zarūrat nahīṅ hai.”
20 Būṛhe ne kahā, “Phir maiṅ āp ko apne ghar meṅ ḳhushāmdīd kahtā hūṅ. Agar āp ko koī chīz darkār ho to maiṅ use muhaiyā karūṅga. Har sūrat meṅ chauk meṅ rāt mat guzārnā.” 21 Wuh musāfiroṅ ko apne ghar le gayā aur gadhoṅ ko chārā khilāyā. Mehmānoṅ ne apne pāṅw dho kar khānā khāyā aur mai pī.
Jibiyā ke Logoṅ kā Jurm
22 Wuh yoṅ khāne kī rifāqat se lutfandoz ho rahe the ki Jibiyā ke kuchh sharīr mard ghar ko gher kar darwāze ko zor se khaṭkhaṭāne lage. Wuh chillāe, “Us ādmī ko bāhar lā jo tere ghar meṅ ṭhahrā huā hai tāki ham us se ziyādatī kareṅ!” 23 Būṛhā ādmī bāhar gayā tāki unheṅ samjhāe, “Nahīṅ, bhāiyo, aisā shaitānī amal mat karnā. Yih ajnabī merā mehmān hai. Aisī sharmnāk harkat mat karnā! 24 Is se pahle maiṅ apnī kuṅwārī beṭī aur mehmān kī dāshtā ko bāhar le ātā hūṅ. Unhīṅ se ziyādatī kareṅ. Jo jī chāhe un ke sāth kareṅ, lekin ādmī ke sāth aisī sharmnāk harkat na kareṅ.”
25 Lekin bāhar ke mardoṅ ne us kī na sunī. Tab Lāwī apnī dāshtā ko pakaṛ kar bāhar le gayā aur us ke pīchhe darwāzā band kar diyā. Shahr ke ādmī pūrī rāt us kī behurmatī karte rahe. Jab pau phaṭne lagī to unhoṅ ne use fāriġh kar diyā. 26 Sūraj ke tulū hone se pahle aurat us ghar ke pās wāpas āī jis meṅ shauhar ṭhahrā huā thā. Darwāze tak to wuh pahuṅch gaī lekin phir gir kar wahīṅ kī wahīṅ paṛī rahī.
Jab din chaṛh gayā 27 to Lāwī jāg uṭhā aur safr karne kī taiyāriyāṅ karne lagā. Jab darwāzā kholā to kyā deḳhtā hai ki dāshtā sāmne zamīn par paṛī hai aur hāth dahlīz par rakhe haiṅ. 28 Wuh bolā, “Uṭho, ham chalte haiṅ.” Lekin dāshtā ne jawāb na diyā. Yih dekh kar ādmī ne use gadhe par lād liyā aur apne ghar chalā gayā.
29 Jab pahuṅchā to us ne chhurī le kar aurat kī lāsh ko 12 ṭukṛoṅ meṅ kāṭ liyā, phir unheṅ Isrāīl kī har jagah bhej diyā. 30 Jis ne bhī yih dekhā us ne ghabrā kar kahā, “Aisā jurm hamāre darmiyān kabhī nahīṅ huā. Jab se ham Misr se nikal kar āe haiṅ aisī harkat deḳhne meṅ nahīṅ āī. Ab lāzim hai ki ham ġhaur se socheṅ aur ek dūsre se mashwarā karke agle qadam ke bāre meṅ faislā kareṅ.”