2
Yagāngat kī Zarūrat
1 Kyā āp ke darmiyān Masīh meṅ hauslā-afzāī, muhabbat kī tasallī, Rūhul-quds kī rifāqat, narmdilī aur rahmat pāī jātī hai? 2 Agar aisā hai to merī ḳhushī is meṅ pūrī kareṅ ki āp ek jaisī soch rakheṅ aur ek jaisī muhabbat rakheṅ, ek jān aur ek zahan ho jāeṅ. 3 Ḳhudġharz na hoṅ, na bātil izzat ke pīchhe paṛeṅ balki farotanī se dūsroṅ ko apne se behtar samjheṅ. 4 Har ek na sirf apnā fāydā soche balki dūsroṅ kā bhī.
Masīh kī Rāh-e-Salīb
5 Wuhī soch rakheṅ jo Masīh Īsā kī bhī thī.
6 Wuh jo Allāh kī sūrat par thā
nahīṅ samajhtā thā ki merā Allāh ke barābar honā
koī aisī chīz hai
jis ke sāth zabardastī chimṭe rahne kī zarūrat hai.
7 Nahīṅ, us ne apne āp ko is se mahrūm karke
ġhulām kī sūrat apnāī
aur insānoṅ kī mānind ban gayā.
Shakl-o-sūrat meṅ wuh insān pāyā gayā.
8 Us ne apne āp ko past kar diyā
aur maut tak tābe rahā,
balki salībī maut tak.
9 Is lie Allāh ne use sab se ālā maqām par sarfarāz kar diyā
aur use wuh nām baḳhshā jo har nām se ālā hai,
10 tāki Īsā ke is nām ke sāmne har ghuṭnā jhuke,
ḳhāh wuh ghuṭnā āsmān par, zamīn par yā is ke nīche ho,
11 aur har zabān taslīm kare ki Īsā Masīh Ḳhudāwand hai.
Yoṅ Ḳhudā Bāp ko jalāl diyā jāegā.
Ruhānī Taraqqī kā Rāz
12 Mere azīzo, jab maiṅ āp ke pās thā to āp hameshā farmāṅbardār rahe. Ab jab maiṅ ġhairhāzir hūṅ to is kī kahīṅ zyādā zarūrat hai. Chunāṅche ḍarte aur kāṅpte hue jāṅfishānī karte raheṅ tāki āp kī najāt takmīl tak pahuṅche. 13 Kyoṅki Ḳhudā hī āp meṅ wuh kuchh karne kī ḳhāhish paidā kartā hai jo use pasand hai, aur wuhī āp ko yih pūrā karne kī tāqat detā hai.
14 Sab kuchh buṛbuṛāe aur bahs-mubāhasā kie baġhair kareṅ 15 tāki āp be'ilzām aur pāk ho kar Allāh ke bedāġh farzand sābit ho jāeṅ, aise log jo ek ṭeṛhī aur ulṭī nasl ke darmiyān hī āsmān ke sitāroṅ kī tarah chamakte-damakte 16 aur zindagī kā kalām thāme rakhte haiṅ. Phir maiṅ Masīh kī āmad ke din faḳhr kar sakūṅgā ki na maiṅ rāygāṅ dauṛā, na befāydā jidd-o-jahd kī.
17 Dekheṅ, jo ḳhidmat āp īmān se saranjām de rahe haiṅ wuh ek aisī qurbānī hai jo Allāh ko pasand hai. Ḳhudā kare ki jo dukh maiṅ uṭhā rahā hūṅ wuh mai kī us nazar kī mānind ho jo Baitul-muqaddas meṅ qurbānī par unḍelī jātī hai. Agar merī nazar wāqaī āp kī qurbānī yoṅ mukammal kare to maiṅ ḳhush hūṅ aur āp ke sāth ḳhushī manātā hūṅ. 18 Āp bhī isī wajah se ḳhush hoṅ aur mere sāth ḳhushī manāeṅ.
Tīmuthiyus aur Ipafruditus ko Filippiyoṅ ke pās Bhejā Jāegā
19 Mujhe ummīd hai ki agar Ḳhudāwand Īsā ne chāhā to maiṅ jald hī Tīmuthiyus ko āp ke pās bhej dūṅgā tāki āp ke bāre meṅ ḳhabar pā kar merā hauslā bhī baṛh jāe. 20 Kyoṅki mere pās koī aur nahīṅ jis kī soch bilkul merī jaisī hai aur jo itnī ḳhulūsdilī se āp kī fikr kare. 21 Dūsre sab apne mafād kī talāsh meṅ rahte haiṅ aur wuh kuchh nazarandāz karte haiṅ jo Īsā Masīh kā kām baṛhātā hai. 22 Lekin āp ko to mālūm hai ki Tīmuthiyus qābil-e-etamād sābit huā, ki us ne merā beṭā ban kar mere sāth Allāh kī ḳhushḳhabrī phailāne kī ḳhidmat saranjām dī. 23 Chunāṅche ummīd hai ki jyoṅ hī mujhe patā chale ki merā kyā banegā maiṅ use āp ke pās bhej dūṅgā. 24 Aur merā Ḳhudāwand meṅ īmān hai ki maiṅ bhī jald hī āp ke pās āūṅgā.
25 Lekin maiṅ ne zarūrī samjhā ki itne meṅ Ipafruditus ko āp ke pās wāpas bhej dūṅ jise āp ne qāsid ke taur par merī zarūriyāt pūrī karne ke lie mere pās bhej diyā thā. Wuh merā sachchā bhāī, hamḳhidmat aur sāthī sipāhī sābit huā. 26 Maiṅ use is lie bhej rahā hūṅ kyoṅki wuh āp sab kā nihāyat ārzūmand hai aur is lie bechain hai ki āp ko us ke bīmār hone kī ḳhabar mil gaī thī. 27 Aur wuh thā bhī bīmār balki marne ko thā. Lekin Allāh ne us par rahm kiyā, aur na sirf us par balki mujh par bhī tāki mere dukh meṅ izāfā na ho jāe. 28 Is lie maiṅ use aur jaldī se āp ke pās bhejūṅgā tāki āp use dekh kar ḳhush ho jāeṅ aur merī pareshānī bhī dūr ho jāe. 29 Chunāṅche Ḳhudāwand meṅ baṛī ḳhushī se us kā istiqbāl kareṅ. Us jaise logoṅ kī izzat kareṅ, 30 kyoṅki wuh Masīh ke kām ke bāis marne kī naubat tak pahuṅch gayā thā. Us ne apnī jān ḳhatre meṅ ḍāl dī tāki āp kī jagah merī wuh ḳhidmat kare jo āp na kar sake.