3
Subah ko Madad ke lie Duā
1 Dāūd kā zabūr. Us waqt jab use apne beṭe Abīsalūm se bhāgnā paṛā.
Ai Rab, mere dushman kitne zyādā haiṅ, kitne log mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ!
2 Mere bāre meṅ bahutere kah rahe haiṅ, “Allāh ise chhuṭkārā nahīṅ degā.” (Silāh) * Silāh ġhāliban gāne bajāne ke bāre meṅ koī hidāyat hai. Mufassirīn meṅ is ke matlab ke bāre meṅ ittafāq-e-rāy nahīṅ hotī.
3 Lekin tū ai Rab, chāroṅ taraf merī hifāzat karne wālī ḍhāl hai. Tū merī izzat hai jo mere sar ko uṭhāe rakhtā hai.
4 Maiṅ buland āwāz se Rab ko pukārtā hūṅ, aur wuh apne muqaddas pahāṛ se merī suntā hai. (Silāh)
5 Maiṅ ārām se leṭ kar so gayā, phir jāg uṭhā, kyoṅki Rab ḳhud mujhe saṅbhāle rakhtā hai.
6 Un hazāroṅ se maiṅ nahīṅ ḍartā jo mujhe ghere rakhte haiṅ.
7 Ai Rab, uṭh. Ai mere Ḳhudā, mujhe rihā kar! Kyoṅki tū ne mere tamām dushmanoṅ ke muṅh par thappaṛ mārā, tū ne bedīnoṅ ke dāṅtoṅ ko toṛ diyā hai.
8 Rab ke pās najāt hai. Terī barkat terī qaum par āe. (Silāh)
*3:2 Silāh ġhāliban gāne bajāne ke bāre meṅ koī hidāyat hai. Mufassirīn meṅ is ke matlab ke bāre meṅ ittafāq-e-rāy nahīṅ hotī.