125
Chāroṅ Taraf se Qaum kī Hifāzat
1 Ziyārat kā gīt.
Jo Rab par bharosā rakhte haiṅ wuh Koh-e-Siyyūn kī mānind haiṅ jo kabhī nahīṅ ḍagmagātā balki abad tak qāym rahtā hai.
2 Jis tarah Yarūshalam pahāṛoṅ se ghirā rahtā hai usī tarah Rab apnī qaum ko ab se abad tak chāroṅ taraf se mahfūz rakhtā hai.
3 Kyoṅki bedīnoṅ kī rāstbāzoṅ kī mīrās par hukūmat nahīṅ rahegī, aisā na ho ki rāstbāz badkārī karne kī āzmāish meṅ paṛ jāeṅ.
4 Ai Rab, un se bhalāī kar jo nek haiṅ, jo dil se sīdhī rāh par chalte haiṅ.
5 Lekin jo bhaṭak kar apnī ṭeṛhī-meṛhī rāhoṅ par chalte haiṅ unheṅ Rab badkāroṅ ke sāth ḳhārij kar de. Isrāīl kī salāmatī ho!