133
Bhāiyoṅ kī Yagāngat kī Barkat
1 Dāūd kā zabūr. Ziyārat kā gīt.
Jab bhāī mil kar aur yagāngat se rahte haiṅ yih kitnā achchhā aur pyārā hai.
2 Yih us nafīs tel kī mānind hai jo Hārūn Imām ke sar par unḍelā jātā hai aur ṭapak ṭapak kar us kī dāṛhī aur libās ke garebān par ā jātā hai.
3 Yih us os kī mānind hai jo Koh-e-Harmūn se Siyyūn ke pahāṛoṅ par paṛtī hai. Kyoṅki Rab ne farmāyā hai, “Wahīṅ hameshā tak barkat aur zindagī milegī.”