136
Taḳhlīq aur Qaum kī Tārīḳh meṅ Allāh ke Mojize
1 Rab kā shukr karo, kyoṅki wuh bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai.
2 Ḳhudāoṅ ke Ḳhudā kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
3 Mālikoṅ ke mālik kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
4 Jo akelā hī azīm mojize kartā hai us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
5 Jis ne hikmat ke sāth āsmān banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
6 Jis ne zamīn ko mazbūtī se pānī ke ūpar lagā diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
7 Jis ne āsmān kī raushniyoṅ ko ḳhalaq kiyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
8 Jis ne sūraj ko din ke waqt hukūmat karne ke lie banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
9 Jis ne chāṅd aur sitāroṅ ko rāt ke waqt hukūmat karne ke lie banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
10 Jis ne Misr meṅ pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
11 Jo Isrāīl ko Misriyoṅ meṅ se nikāl lāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
12 Jis ne us waqt baṛī tāqat aur qudrat kā izhār kiyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
13 Jis ne Bahr-e-Qulzum ko do hissoṅ meṅ taqsīm kar diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
14 Jis ne Isrāīl ko us ke bīch meṅ se guzarne diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
15 Jis ne Firaun aur us kī fauj ko Bahr-e-Qulzum meṅ bahā kar ġharq kar diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
16 Jis ne registān meṅ apnī qaum kī qiyādat kī us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
17 Jis ne baṛe bādshāhoṅ ko shikast dī us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
18 Jis ne tāqatwar bādshāhoṅ ko mār ḍālā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
19 Jis ne Amoriyoṅ ke bādshāh Sīhon ko maut ke ghāṭ utārā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
20 Jis ne Basan ke bādshāh Oj ko halāk kar diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
21 Jis ne un kā mulk Isrāīl ko mīrās meṅ diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
22 Jis ne un kā mulk apne ḳhādim Isrāīl kī maurūsī milkiyat banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
23 Jis ne hamārā ḳhayāl kiyā jab ham ḳhāk meṅ dab gae the us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
24 Jis ne hameṅ un ke qabze se chhuṛāyā jo ham par zulm kar rahe the us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
25 Jo tamām jāndāroṅ ko ḳhurāk muhaiyā kartā hai us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
26 Āsmān ke Ḳhudā kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.