144
Najāt aur Ḳhushhālī kī Duā
1 Dāūd kā zabūr.
Rab merī chaṭān kī hamd ho, jo mere hāthoṅ ko laṛne aur merī ungliyoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai.
2 Wuh merī shafqat, merā qilā, merā najātdahindā aur merī ḍhāl hai. Usī meṅ maiṅ panāh letā hūṅ, aur wuhī dīgar aqwām ko mere tābe kar detā hai.
3 Ai Rab, insān kaun hai ki tū us kā ḳhayāl rakhe? Ādamzād kaun hai ki tū us kā lihāz kare?
4 Insān dam-bhar kā hī hai, us ke din tezī se guzarne wāle sāye kī mānind haiṅ.
5 Ai Rab, apne āsmān ko jhukā kar utar ā! Pahāṛoṅ ko chhū tāki wuh dhuāṅ chhoṛeṅ.
6 Bijlī bhej kar unheṅ muntashir kar, apne tīr chalā kar unheṅ darham-barham kar.
7 Apnā hāth bulandiyoṅ se nīche baṛhā aur mujhe chhuṛā kar pānī kī gahrāiyoṅ aur pardesiyoṅ ke hāth se bachā,
8 jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahnā hāth fareb detā hai.
9 Ai Allāh, maiṅ terī tamjīd meṅ nayā gīt gāūṅgā, das tāroṅ kā sitār bajā kar terī madahsarāī karūṅga.
10 Kyoṅki tū bādshāhoṅ ko najāt detā aur apne ḳhādim Dāūd ko mohlak talwār se bachātā hai.
11 Mujhe chhuṛā kar pardesiyoṅ ke hāth se bachā, jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahnā hāth fareb detā hai.
12 Hamāre beṭe jawānī meṅ phalne-phūlne wāle paudoṅ kī mānind hoṅ, hamārī beṭiyāṅ mahal ko sajāne ke lie tarāshe hue kone ke satūn kī mānind hoṅ.
13 Hamāre godām bhare raheṅ aur har qism kī ḳhurāk muhaiyā kareṅ. Hamārī bheṛ-bakriyāṅ hamāre maidānoṅ meṅ hazāroṅ balki beshumār bachche janm deṅ.
14 Hamāre gāy-bail moṭe-tāze hoṅ, aur na koī zāe ho jāe, na kisī ko nuqsān pahuṅche. Hamāre chaukoṅ meṅ āh-o-zārī kī āwāz sunāī na de.
15 Mubārak hai wuh qaum jis par yih sab kuchh sādiq ātā hai, mubārak hai wuh qaum jis kā Ḳhudā Rab hai!