148
Āsmān-o-Zamīn par Allāh kī Tamjīd
1 Rab kī hamd ho! Āsmān se Rab kī satāish karo, bulandiyoṅ par us kī tamjīd karo!
2 Ai us ke tamām farishto, us kī hamd karo! Ai us ke tamām lashkaro, us kī tārīf karo!
3 Ai sūraj aur chāṅd, us kī hamd karo! Ai tamām chamakdār sitāro, us kī satāish karo!
4 Ai bulandtarīn āsmāno aur āsmān ke ūpar ke pānī, us kī hamd karo!
5 Wuh Rab ke nām kī satāish kareṅ, kyoṅki us ne farmāyā to wuh wujūd meṅ āe.
6 Us ne nāqābil-e-mansūḳh farmān jārī karke unheṅ hameshā ke lie qāym kiyā hai.
7 Ai samundar ke azhdahāo aur tamām gahrāiyo, zamīn se Rab kī tamjīd karo!
8 Ai āg, olo, barf, dhund aur us ke hukm par chalne wālī āṅdhiyo, us kī hamd karo!
9 Ai pahāṛo aur pahāṛiyo, phaldār daraḳhto aur tamām deodāro, us kī tārīf karo!
10 Ai janglī jānwaro, mawīshiyo, reṅgne wālī maḳhlūqāt aur parindo, us kī hamd karo!
11 Ai zamīn ke bādshāho aur tamām qaumo, sardāro aur zamīn ke tamām hukmrāno, us kī tamjīd karo!
12 Ai naujawāno aur kuṅwāriyo, buzurgo aur bachcho, us kī hamd karo!
13 Sab Rab ke nām kī satāish kareṅ, kyoṅki sirf usī kā nām azīm hai, us kī azmat āsmān-o-zamīn se ālā hai.
14 Us ne apnī qaum ko sarfarāz karke * Lafzī tarjumā: apnī qaum kā sīṅg buland karke. apne tamām īmāndāroṅ kī shohrat baṛhāī hai, yānī Isrāīliyoṅ kī shohrat, us qaum kī jo us ke qarīb rahtī hai. Rab kī hamd ho!