4
Pāṅchwīṅ Royā: Sone kā Shamādān aur Zaitūn ke Daraḳht
1 Jis farishte ne mujh se bāt kī thī wuh ab mere pās wāpas āyā. Us ne mujhe yoṅ jagā diyā jis tarah gahrī nīnd sone wāle ko jagāyā jātā hai. 2 Us ne pūchhā, “Tujhe kyā nazar ātā hai?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Ḳhālis sone kā shamādān jis par tel kā pyālā aur sāt charāġh haiṅ. Har charāġh ke sāt muṅh haiṅ. 3 Zaitūn ke do daraḳht bhī dikhāī dete haiṅ. Ek daraḳht tel ke pyāle ke dāīṅ taraf aur dūsrā us ke bāīṅ taraf hai. 4 Lekin mere āqā, in chīzoṅ kā matlab kyā hai?”
5 Farishtā bolā, “Kyā yih tujhe mālūm nahīṅ?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Nahīṅ, mere āqā.”
6 Farishte ne mujh se kahā, “Zarubbābal ke lie Rab kā yih paiġhām hai,
‘Rabbul-afwāj farmātā hai ki tū na apnī tāqat, na apnī quwwat se balki mere Rūh se hī kāmyāb hogā.’ 7 Kyā rāste meṅ baṛā pahāṛ hāyl hai? Zarubbābal ke sāmne wuh hamwār maidān ban jāegā. Aur jab Zarubbābal Rab ke ghar kā āḳhirī patthar lagāegā to hāzirīn pukār uṭheṅge, ‘Mubārak ho! Mubārak ho’!”
8 Rab kā kalām ek bār phir mujh par nāzil huā, 9 “Zarubbābal ke hāthoṅ ne is ghar kī buniyād ḍālī, aur usī ke hāth use takmīl tak pahuṅchāeṅge. Tab tū jān legā ki Rabbul-afwāj ne mujhe tumhāre pās bhejā hai. 10 Go tāmīr ke āġhāz meṅ bahut kam nazar ātā hai to bhī us par hiqārat kī nigāh na ḍālo. Kyoṅki log ḳhushī manāeṅge jab Zarubbābal ke hāth meṅ sāhūl dekheṅge. (Mazkūrā sāt charāġh Rab kī āṅkheṅ haiṅ jo pūrī duniyā kī gasht lagātī rahtī haiṅ.)”
11 Maiṅ ne mazīd pūchhā, “Shamādān ke dāeṅ bāeṅ ke zaitūn ke do daraḳhtoṅ se kyā murād hai? 12 Yahāṅ sone ke do pāyp bhī nazar āte haiṅ jin se zaitūn kā sunahrā tel bah nikaltā hai. Zaitūn kī jo do ṭahniyāṅ un ke sāth haiṅ un kā matlab kyā hai?”
13 Farishte ne kahā, “Kyā tū yih nahīṅ jāntā?” Maiṅ bolā, “Nahīṅ, mere āqā.” 14 Tab us ne farmāyā, “Yih wuh do masah kie hue ādmī haiṅ jo pūrī duniyā ke mālik ke huzūr khaṛe hote haiṅ.”