1 Kurinthiyoṅ
1
Salām
1 Yih ḳhat Paulus kī taraf se hai, jo Allāh ke irāde se Masīh Īsā kā bulāyā huā rasūl hai, aur hamāre bhāī Sosthines kī taraf se.
2 Maiṅ Kurinthus meṅ maujūd Allāh kī jamāt ko likh rahā hūṅ, āp ko jinheṅ Masīh Īsā meṅ muqaddas kiyā gayā hai, jinheṅ muqaddas hone ke lie bulāyā gayā hai. Sāth hī yih ḳhat un tamām logoṅ ke nām bhī hai jo har jagah hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā nām lete haiṅ jo un kā aur hamārā Ḳhudāwand hai.
3 Hamārā Ḳhudā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.
Shukr
4 Maiṅ hameshā āp ke lie Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ ki us ne āp ko Masīh Īsā meṅ itnā fazl baḳhshā hai. 5 Āp ko us meṅ har lihāz se daulatmand kiyā gayā hai, har qism kī taqrīr aur ilm-o-irfān meṅ. 6 Kyoṅki Masīh kī gawāhī ne āp ke darmiyān zor pakaṛ liyā hai, 7 is lie āp ko hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke zuhūr kā intazār karte karte kisī bhī barkat meṅ kamī nahīṅ. 8 Wuhī āp ko āḳhir tak mazbūt banāe rakhegā, is lie āp hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī dūsrī āmad ke din be'ilzām ṭhahreṅge. 9 Allāh par pūrā etamād kiyā jā saktā hai jis ne āp ko bulā kar apne Farzand hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī rifāqat meṅ sharīk kiyā hai.
Kurinthiyoṅ kī Pārṭībāzī
10 Bhāiyo, maiṅ apne Ḳhudāwand Īsā Masīh ke nām meṅ āp ko tākīd kartā hūṅ ki āp sab ek hī bāt kaheṅ. Āp ke darmiyān pārṭībāzī nahīṅ balki ek hī soch aur ek hī rāy honī chāhie. 11 Kyoṅki mere bhāiyo, āp ke bāre meṅ mujhe Ḳhaloe ke ghar wāloṅ se mālūm huā hai ki āp jhagaṛoṅ meṅ ulajh gae haiṅ. 12 Matlab yih hai ki āp meṅ se koī kahtā hai, “Maiṅ Paulus kī pārṭī kā hūṅ,” koī “Maiṅ Apullos kī pārṭī kā hūṅ,” koī “Maiṅ Kaifā kī pārṭī kā hūṅ” aur koī ki “Maiṅ Masīh kī pārṭī kā hūṅ.” 13 Kyā Masīh baṭ gayā? Kyā āp kī ḳhātir Paulus ko salīb par chaṛhāyā gayā? Yā kyā āp ko Paulus ke nām se baptismā diyā gayā?
14 Ḳhudā kā shukr hai ki maiṅ ne āp meṅ se kisī ko baptismā nahīṅ diyā siwāe Krispus aur Gayus ke. 15 Is lie koī nahīṅ kah saktā ki maiṅ ne Paulus ke nām se baptismā pāyā hai. 16 Hāṅ maiṅ ne Stifanās ke gharāne ko bhī baptismā diyā. Lekin jahāṅ tak merā ḳhayāl hai is ke alāwā kisī aur ko baptismā nahīṅ diyā. 17 Masīh ne mujhe baptismā dene ke lie rasūl banā kar nahīṅ bhejā balki is lie ki Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāūṅ. Aur yih kām mujhe duniyāwī hikmat se ārāstā taqrīr se nahīṅ karnā hai tāki Masīh kī salīb kī tāqat beasar na ho jāe.
Salīb kā Paiġhām
18 Kyoṅki salīb kā paiġhām un ke lie jin kā anjām halākat hai bewuqūfī hai jabki hamāre lie jin kā anjām najāt hai yih Allāh kī qudrat hai. 19 Chunāṅche pāk nawishtoṅ meṅ likhā hai,
“Maiṅ dānishmandoṅ kī dānish ko tabāh karūṅga
aur samajhdāroṅ kī samajh ko radd karūṅga.”
20 Ab dānishmand shaḳhs kahāṅ hai? Ālim kahāṅ hai? Is jahān kā munāzare kā māhir kahāṅ hai? Kyā Allāh ne duniyā kī hikmat-o-dānāī ko bewuqūfī sābit nahīṅ kiyā?
21 Kyoṅki agarche duniyā Allāh kī dānāī se ghirī huī hai to bhī duniyā ne apnī dānāī kī badaulat Allāh ko na pahchānā. Is lie Allāh ko pasand āyā ki wuh salīb ke paiġhām kī bewuqūfī ke zariye hī īmān rakhne wāloṅ ko najāt de. 22 Yahūdī taqāzā karte haiṅ ki ilāhī bātoṅ kī tasdīq ilāhī nishānoṅ se kī jāe jabki Yūnānī dānāī ke wasīle se in kī tasdīq ke ḳhāhāṅ haiṅ. 23 Is ke muqābale meṅ ham Masīh-e-maslūb kī munādī karte haiṅ. Yahūdī is se ṭhokar khā kar nārāz ho jāte haiṅ jabki Ġhairyahūdī ise bewuqūfī qarār dete haiṅ. 24 Lekin jo Allāh ke bulāe hue haiṅ, ḳhāh wuh Yahūdī hoṅ ḳhāh Yūnānī, un ke lie Masīh Allāh kī qudrat aur Allāh kī dānāī hotā hai. 25 Kyoṅki Allāh kī jo bāt bewuqūfī lagtī hai wuh insān kī dānāī se zyādā dānishmand hai. Aur Allāh kī jo bāt kamzor lagtī hai wuh insān kī tāqat se zyādā tāqatwar hai.
26 Bhāiyo, is par ġhaur kareṅ ki āp kā kyā hāl thā jab Ḳhudā ne āp ko bulāyā. Āp meṅ se kam haiṅ jo duniyā ke meyār ke mutābiq dānā haiṅ, kam haiṅ jo tāqatwar haiṅ, kam haiṅ jo ālī ḳhāndān se haiṅ. 27 Balki jo duniyā kī nigāh meṅ bewuqūf hai use Allāh ne chun liyā tāki dānāoṅ ko sharmindā kare. Aur jo duniyā meṅ kamzor hai use Allāh ne chun liyā tāki tāqatwaroṅ ko sharmindā kare. 28 Isī tarah jo duniyā ke nazdīk zalīl aur haqīr hai use Allāh ne chun liyā. Hāṅ, jo kuchh bhī nahīṅ hai use us ne chun liyā tāki use nest kare jo bazāhir kuchh hai. 29 Chunāṅche koī bhī Allāh ke sāmne apne par faḳhr nahīṅ kar saktā. 30 Yih Allāh kī taraf se hai ki āp Masīh Īsā meṅ haiṅ. Allāh kī baḳhshish se Īsā ḳhud hamārī dānāī, hamārī rāstbāzī, hamārī taqdīs aur hamārī maḳhlasī ban gayā hai. 31 Is lie jis tarah kalām-e-muqaddas farmātā hai, “Faḳhr karne wālā Ḳhudāwand hī par faḳhr kare.”