15
Masīh kā Jī Uṭhnā
1 Bhāiyo, maiṅ āp kī tawajjuh us ḳhushḳhabrī kī taraf dilātā hūṅ jo maiṅ ne āp ko sunāī, wuhī ḳhushḳhabrī jise āp ne qabūl kiyā aur jis par āp qāym bhī haiṅ. 2 Isī paiġhām ke wasīle se āp ko najāt miltī hai. Shart yih hai ki āp wuh bāteṅ jyoṅ kī tyoṅ thāme rakheṅ jis tarah maiṅ ne āp tak pahuṅchāī haiṅ. Beshak yih bāt is par munhasir hai ki āp kā īmān lānā bemaqsad nahīṅ thā.
3 Kyoṅki maiṅ ne is par ḳhās zor diyā ki wuhī kuchh āp ke sapurd karūṅ jo mujhe bhī milā hai. Yih ki Masīh ne pāk nawishtoṅ ke mutābiq hamāre gunāhoṅ kī ḳhātir apnī jān dī, 4 phir wuh dafn huā aur tīsre din pāk nawishtoṅ ke mutābiq jī uṭhā. 5 Wuh Patras ko dikhāī diyā, phir bārah shāgirdoṅ ko. 6 Is ke bād wuh ek hī waqt pāṅch sau se zyādā bhāiyoṅ par zāhir huā. Un meṅ se beshtar ab tak zindā haiṅ agarche chand ek intaqāl kar chuke haiṅ. 7 Phir Yāqūb ne use dekhā, phir tamām rasūloṅ ne.
8 Aur sab ke bād wuh mujh par bhī zāhir huā, mujh par jo goyā qabl az waqt paidā huā. 9 Kyoṅki rasūloṅ meṅ merā darjā sab se chhoṭā hai, balki maiṅ to rasūl kahlāne ke bhī lāyq nahīṅ, is lie ki maiṅ ne Allāh kī jamāt ko īzā pahuṅchāī. 10 Lekin maiṅ jo kuchh hūṅ Allāh ke fazl hī se hūṅ. Aur jo fazl us ne mujh par kiyā wuh beasar na rahā, kyoṅki maiṅ ne un sab se zyādā jāṅfishānī se kām kiyā hai. Albattā yih kām maiṅ ne ḳhud nahīṅ balki Allāh ke fazl ne kiyā hai jo mere sāth thā. 11 Ḳhair, yih kām maiṅ ne kiyā yā unhoṅ ne, ham sab usī paiġhām kī munādī karte haiṅ jis par āp īmān lāe haiṅ.
Jī Uṭhne par Etirāz
12 Ab mujhe yih batāeṅ, ham to munādī karte haiṅ ki Masīh murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai. To phir āp meṅ se kuchh log kaise kah sakte haiṅ ki murde jī nahīṅ uṭhte? 13 Agar murde jī nahīṅ uṭhte to matlab yih huā ki Masīh bhī nahīṅ jī uṭhā. 14 Aur agar Masīh jī nahīṅ uṭhā to phir hamārī munādī abas hotī aur āp kā īmān lānā bhī befāydā hotā. 15 Nīz ham Allāh ke bāre meṅ jhūṭe gawāh sābit hote. Kyoṅki ham gawāhī dete haiṅ ki Allāh ne Masīh ko zindā kiyā jabki agar wāqaī murde nahīṅ jī uṭhte to wuh bhī zindā nahīṅ huā. 16 Ġharz agar murde jī nahīṅ uṭhte to phir Masīh bhī nahīṅ jī uṭhā. 17 Aur agar Masīh nahīṅ jī uṭhā to āp kā īmān befāydā hai aur āp ab tak apne gunāhoṅ meṅ giriftār haiṅ. 18 Hāṅ, is ke mutābiq jinhoṅ ne Masīh meṅ hote hue intaqāl kiyā hai wuh sab halāk ho gae haiṅ. 19 Chunāṅche agar Masīh par hamārī ummīd sirf isī zindagī tak mahdūd hai to ham insānoṅ meṅ sab se zyādā qābil-e-rahm haiṅ.
Masīh Wāqaī Jī Uṭhā Hai
20 Lekin Masīh wāqaī murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai. Wuh intaqāl kie huoṅ kī fasal kā pahlā phal hai. 21 Chūṅki insān ke wasīle se maut āī, is lie insān hī ke wasīle se murdoṅ ke jī uṭhne kī bhī rāh khulī. 22 Jis tarah sab is lie marte haiṅ ki wuh Ādam ke farzand haiṅ usī tarah sab zindā kie jāeṅge jo Masīh ke haiṅ. 23 Lekin jī uṭhne kī ek tartīb hai. Masīh to fasal ke pahle phal kī haisiyat se jī uṭh chukā hai jabki us ke log us waqt jī uṭheṅge jab wuh wāpas āegā. 24 Is ke bād ḳhātmā hogā. Tab har hukūmat, iḳhtiyār aur quwwat ko nest karke wuh bādshāhī ko Ḳhudā Bāp ke hawāle kar degā. 25 Kyoṅki lāzim hai ki Masīh us waqt tak hukūmat kare jab tak Allāh tamām dushmanoṅ ko us ke pāṅwoṅ ke nīche na kar de. 26 Āḳhirī dushman jise nest kiyā jāegā maut hogī. 27 Kyoṅki Allāh ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Us ne sab kuchh us (yānī Masīh) ke pāṅwoṅ ke nīche kar diyā.” Jab kahā gayā hai ki sab kuchh Masīh ke mātaht kar diyā gayā hai, to zāhir hai ki is meṅ Allāh shāmil nahīṅ jis ne sab kuchh Masīh ke mātaht kiyā hai. 28 Jab sab kuchh Masīh ke mātaht kar diyā gayā tab Farzand ḳhud bhī usī ke mātaht ho jāegā jis ne sab kuchh us ke mātaht kiyā. Yoṅ Allāh sab meṅ sab kuchh hogā.
Jī Uṭhne ke Pesh-e-Nazar Zindagī Guzārnā
29 Agar murde wāqaī jī nahīṅ uṭhte to phir wuh log kyā kareṅge jo murdoṅ kī ḳhātir baptismā lete haiṅ? Agar murde jī nahīṅ uṭheṅge to phir wuh un kī ḳhātir kyoṅ baptismā lete haiṅ? 30 Aur ham bhī har waqt apnī jān ḳhatre meṅ kyoṅ ḍāle hue haiṅ? 31 Bhāiyo, maiṅ rozānā martā hūṅ. Yih bāt utnī hī yaqīnī hai jitnī yih ki āp hamāre Ḳhudāwand Masīh Īsā meṅ merā faḳhr haiṅ. 32 Agar maiṅ sirf isī zindagī kī ummīd rakhte hue Ifisus meṅ wahshī darindoṅ se laṛā to mujhe kyā fāydā huā? Agar murde jī nahīṅ uṭhte to is qaul ke mutābiq zindagī guzārnā behtar hogā ki “Āo, ham khāeṅ pieṅ, kyoṅki kal to mar hī jānā hai.”
33 Fareb na khāeṅ, burī sohbat achchhī ādatoṅ ko bigāṛ detī hai. 34 Pūre taur par hosh meṅ āeṅ aur gunāh na kareṅ. Āp meṅ se bāz aise haiṅ jo Allāh ke bāre meṅ kuchh nahīṅ jānte. Yih bāt maiṅ āp ko sharm dilāne ke lie kahtā hūṅ.
Murde Kis Tarah Jī Uṭheṅge
35 Shāyad koī sawāl uṭhāe, “Murde kis tarah jī uṭhte haiṅ? Aur jī uṭhne ke bād un kā jism kaisā hogā?” 36 Bhaī, aql se kām leṅ. Jo bīj āp bote haiṅ wuh us waqt tak nahīṅ ugtā jab tak ki mar na jāe. 37 Jo āp bote haiṅ wuh wuhī paudā nahīṅ hai jo bād meṅ ugegā balki mahz ek nangā-sā dānā hai, ḳhāh gandum kā ho yā kisī aur chīz kā. 38 Lekin Allāh use aisā jism detā hai jaisā wuh munāsib samajhtā hai. Har qism ke bīj ko wuh us kā ḳhās jism atā kartā hai.
39 Tamām jāndāroṅ ko ek jaisā jism nahīṅ milā balki insānoṅ ko aur qism kā, maweshiyoṅ ko aur qism kā, parindoṅ ko aur qism kā, aur machhliyoṅ ko aur qism kā.
40 Is ke alāwā āsmānī jism bhī haiṅ aur zamīnī jism bhī. Āsmānī jismoṅ kī shān aur hai aur zamīnī jismoṅ kī shān aur. 41 Sūraj kī shān aur hai, chāṅd kī shān aur, aur sitāroṅ kī shān aur, balki ek sitārā shān meṅ dūsre sitāre se farq hai.
42 Murdoṅ kā jī uṭhnā bhī aisā hī hai. Jism fānī hālat meṅ boyā jātā hai aur lāfānī hālat meṅ jī uṭhtā hai. 43 Wuh zalīl hālat meṅ boyā jātā hai aur jalālī hālat meṅ jī uṭhtā hai. Wuh kamzor hālat meṅ boyā jātā hai aur qawī hālat meṅ jī uṭhtā hai. 44 Fitratī jism boyā jātā hai aur ruhānī jism jī uṭhtā hai. Jahāṅ fitratī jism hai wahāṅ ruhānī jism bhī hotā hai. 45 Pāk nawishtoṅ meṅ bhī likhā hai ki pahle insān Ādam meṅ jān ā gaī. Lekin āḳhirī Ādam zindā karne wālī rūh banā. 46 Ruhānī jism pahle nahīṅ thā balki fitratī jism, phir ruhānī jism huā. 47 Pahlā insān zamīn kī miṭṭī se banā thā, lekin dūsrā āsmān se āyā. 48 Jaisā pahlā ḳhākī insān thā waise hī dīgar ḳhākī insān bhī haiṅ, aur jaisā āsmān se āyā huā insān hai waise hī dīgar āsmānī insān bhī haiṅ. 49 Yoṅ ham is waqt ḳhākī insān kī shakl-o-sūrat rakhte haiṅ jabki ham us waqt āsmānī insān kī shakl-o-sūrat rakheṅge.
Maut par Fatah
50 Bhāiyo, maiṅ yih kahnā chāhtā hūṅ ki ḳhākī insān kā maujūdā jism Allāh kī bādshāhī ko mīrās meṅ nahīṅ pā saktā. Jo kuchh fānī hai wuh lāfānī chīzoṅ ko mīrās meṅ nahīṅ pā saktā.
51 Dekho maiṅ āp ko ek bhed batātā hūṅ. Ham sab wafāt nahīṅ pāeṅge, lekin sab hī badal jāeṅge. 52 Aur yih achānak, āṅkh jhapakte meṅ, āḳhirī bigul bajte hī rūnumā hogā. Kyoṅki bigul bajne par murde lāfānī hālat meṅ jī uṭheṅge aur ham badal jāeṅge. 53 Kyoṅki lāzim hai ki yih fānī jism baqā kā libās pahan le aur marne wālā jism abadī zindagī kā. 54 Jab is fānī aur marne wāle jism ne baqā aur abadī zindagī kā libās pahan liyā hogā to phir wuh kalām pūrā hogā jo pāk nawishtoṅ meṅ likhā hai ki
“Maut ilāhī fatah kā luqmā ho gaī hai.
55 Ai Maut, terī fatah kahāṅ rahī?
Ai Maut, terā ḍanak kahāṅ rahā?”
56 Maut kā ḍanak gunāh hai aur gunāh sharīat se taqwiyat pātā hai. 57 Lekin Ḳhudā kā shukr hai jo hameṅ hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke wasīle se fatah baḳhshtā hai.
58 Ġharz, mere pyāre bhāiyo, mazbūt bane raheṅ. Koī chīz āp ko ḍāṅwāṅḍol na kar de. Hameshā Ḳhudāwand kī ḳhidmat jāṅfishānī se kareṅ, yih jānte hue ki Ḳhudāwand ke lie āp kī mehnat-mashaqqat rāygāṅ nahīṅ jāegī.