12
Shimālī Qabīle Alag Ho Jāte Haiṅ
1 Rahubiyām Sikam gayā, kyoṅki wahāṅ tamām Isrāīlī use bādshāh muqarrar karne ke lie jamā ho gae the. 2 Yarubiyām bin Nabāt yih ḳhabar sunte hī Misr se jahāṅ us ne Sulemān Bādshāh se bhāg kar panāh lī thī Isrāīl wāpas āyā. 3 Isrāīliyoṅ ne use bulāyā tāki us ke sāth Sikam jāeṅ. Jab pahuṅchā to Isrāīl kī pūrī jamāt Yarubiyām ke sāth mil kar Rahubiyām se milne gaī. Unhoṅ ne bādshāh se kahā, 4 “Jo juā āp ke bāp ne ham par ḍāl diyā thā use uṭhānā mushkil thā, aur jo waqt aur paise hameṅ bādshāh kī ḳhidmat meṅ sarf karne the wuh nāqābil-e-bardāsht the. Ab donoṅ ko kam kar deṅ. Phir ham ḳhushī se āp kī ḳhidmat kareṅge.”
5 Rahubiyām ne jawāb diyā, “Mujhe tīn din kī muhlat deṅ, phir dubārā mere pās āeṅ.” Chunāṅche log chale gae.
6 Phir Rahubiyām Bādshāh ne un buzurgoṅ se mashwarā kiyā jo Sulemān ke jīte-jī bādshāh kī ḳhidmat karte rahe the. Us ne pūchhā, “Āp kā kyā ḳhayāl hai? Maiṅ in logoṅ ko kyā jawāb dūṅ?” 7 Buzurgoṅ ne jawāb diyā, “Hamārā mashwarā hai ki is waqt un kā ḳhādim ban kar un kī ḳhidmat kareṅ aur unheṅ narm jawāb deṅ. Agar āp aisā kareṅ to wuh hameshā āp ke wafādār ḳhādim bane raheṅge.”
8 Lekin Rahubiyām ne buzurgoṅ kā mashwarā radd karke us kī ḳhidmat meṅ hāzir un jawānoṅ se mashwarā kiyā jo us ke sāth parwān chaṛhe the. 9 Us ne pūchhā, “Maiṅ is qaum ko kyā jawāb dūṅ? Yih taqāzā kar rahe haiṅ ki maiṅ wuh juā halkā kar dūṅ jo mere bāp ne un par ḍāl diyā.” 10 Jo jawān us ke sāth parwān chaṛhe the unhoṅ ne kahā, “Achchhā, yih log taqāzā kar rahe haiṅ ki āp ke bāp kā juā halkā kiyā jāe? Unheṅ batā denā, ‘Merī chhoṭī unglī mere bāp kī kamr se zyādā moṭī hai! 11 Beshak jo juā us ne āp par ḍāl diyā use uṭhānā mushkil thā, lekin merā juā aur bhī bhārī hogā. Jahāṅ mere bāp ne āp ko koṛe lagāe wahāṅ maiṅ āp kī bichchhuoṅ se tādīb karūṅga’!”
12 Tīn din ke bād jab Yarubiyām tamām Isrāīliyoṅ ke sāth Rahubiyām kā faislā sunane ke lie wāpas āyā 13 to bādshāh ne unheṅ saḳht jawāb diyā. Buzurgoṅ kā mashwarā radd karke 14 us ne unheṅ jawānoṅ kā jawāb diyā, “Beshak jo juā mere bāp ne āp par ḍāl diyā use uṭhānā mushkil thā, lekin merā juā aur bhī bhārī hogā. Jahāṅ mere bāp ne āp ko koṛe lagāe wahāṅ maiṅ āp kī bichchhuoṅ se tādīb karūṅga!” 15 Yoṅ Rab kī marzī pūrī huī ki Rahubiyām logoṅ kī bāt nahīṅ mānegā. Kyoṅki ab Rab kī wuh peshgoī pūrī huī jo Sailā ke nabī Aḳhiyāh ne Yarubiyām bin Nabāt ko batāī thī.
16 Jab Isrāīliyoṅ ne dekhā ki bādshāh hamārī bāt sunane ke lie taiyār nahīṅ hai to unhoṅ ne us se kahā, “Na hameṅ Dāūd se mīrās meṅ kuchh milegā, na Yassī ke beṭe se kuchh milne kī ummīd hai. Ai Isrāīl, sab apne apne ghar wāpas chaleṅ! Ai Dāūd, ab apnā ghar ḳhud saṅbhāl lo!” Yih kah kar wuh sab chale gae.
17 Sirf Yahūdāh ke qabīle ke shahroṅ meṅ rahne wāle Isrāīlī Rahubiyām ke taht rahe. 18 Phir Rahubiyām Bādshāh ne begāriyoṅ par muqarrar afsar Adūnīrām ko shimālī qabīloṅ ke pās bhej diyā, lekin use dekh kar tamām logoṅ ne use sangsār kiyā. Tab Rahubiyām jaldī se apne rath par sawār huā aur bhāg kar Yarūshalam pahuṅch gayā. 19 Yoṅ Isrāīl ke shimālī qabīle Dāūd ke shāhī gharāne se alag ho gae aur āj tak us kī hukūmat nahīṅ mānte.
20 Jab ḳhabar shimālī Isrāīl meṅ phailī ki Yarubiyām Misr se wāpas ā gayā hai to logoṅ ne qaumī ijlās mun'aqid karke use bulāyā aur wahāṅ use apnā bādshāh banā liyā. Sirf Yahūdāh kā qabīlā Rahubiyām aur us ke gharāne kā wafādār rahā.
Rahubiyām ko Isrāīl se Jang Karne kī Ijāzat Nahīṅ Miltī
21 Jab Rahubiyām Yarūshalam pahuṅchā to us ne Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke chīdā chīdā faujiyoṅ ko Isrāīl se jang karne ke lie bulāyā. 1,80,000 mard jamā hue tāki Rahubiyām bin Sulemān ke lie Isrāīl par dubārā qābū pāeṅ. 22 Lekin ain us waqt mard-e-Ḳhudā Samāyāh ko Allāh kī taraf se paiġhām milā, 23 “Yahūdāh ke bādshāh Rahubiyām bin Sulemān, Yahūdāh aur Binyamīn ke tamām afrād aur bāqī logoṅ ko ittalā de, 24 ‘Rab farmātā hai ki apne Isrāīlī bhāiyoṅ se jang mat karnā. Har ek apne apne ghar wāpas chalā jāe, kyoṅki jo kuchh huā hai wuh mere hukm par huā hai.’ ”
Tab wuh Rab kī sun kar apne apne ghar wāpas chale gae.
Yarubiyām ke Sone ke Bachhṛe
25 Yarubiyām Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe ke shahr Sikam ko mazbūt karke wahāṅ ābād huā. Bād meṅ us ne Fanuel Shahr kī bhī qilābandī kī aur wahāṅ muntaqil huā. 26 Lekin dil meṅ andeshā rahā ki kahīṅ Isrāīl dubārā Dāūd ke gharāne ke hāth meṅ na ā jāe. 27 Us ne sochā, “Log bāqāydagī se Yarūshalam āte jāte haiṅ tāki wahāṅ Rab ke ghar meṅ apnī qurbāniyāṅ pesh kareṅ. Agar yih silsilā toṛā na jāe to āhistā āhistā un ke dil dubārā Yahūdāh ke bādshāh Rahubiyām kī taraf māyl ho jāeṅge. Āḳhirkār wuh mujhe qatl karke Rahubiyām ko apnā bādshāh banā leṅge.”
28 Apne afsaroṅ ke mashware par us ne sone ke do bachhṛe banwāe. Logoṅ ke sāmne us ne elān kiyā, “Har qurbānī ke lie Yarūshalam jānā mushkil hai! Ai Isrāīl dekh, yih tere dewatā haiṅ jo tujhe Misr se nikāl lāe.” 29 Ek but us ne junūbī shahr Baitel meṅ khaṛā kiyā aur dūsrā shimālī shahr Dān meṅ. 30 Yoṅ Yarubiyām ne Isrāīliyoṅ ko gunāh karne par uksāyā. Log Dān tak safr kiyā karte the tāki wahāṅ ke but kī pūjā kareṅ.
31 Is ke alāwā Yarubiyām ne bahut-sī ūṅchī jaghoṅ par mandir banwāe. Unheṅ saṅbhālne ke lie us ne aise log muqarrar kie jo Lāwī ke qabīle ke nahīṅ balki ām log the. 32 Us ne ek naī īd bhī rāyj kī jo Yahūdāh meṅ manāne wālī Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd kī mānind thī. Yih īd āṭhweṅ māh * Aktūbar tā Nawambar. ke pandrahweṅ din manāī jātī thī. Baitel meṅ us ne ḳhud qurbāngāh par jā kar apne banwāe hue bachhṛoṅ ko qurbāniyāṅ pesh kīṅ, aur wahīṅ us ne apne un mandiroṅ ke imāmoṅ ko muqarrar kiyā jo us ne ūṅchī jaghoṅ par tāmīr kie the.
Nabī Yarubiyām ko Burī Ḳhabar Pahuṅchātā Hai
33 Chunāṅche Yarubiyām ke muqarrarkardā din yānī āṭhweṅ mahīne ke pandrahweṅ din Isrāīliyoṅ ne Baitel meṅ īd manāī. Tamām mehmānoṅ ke sāmne Yarubiyām qurbāngāh par chaṛh gayā tāki qurbāniyāṅ pesh kare.