9
Sāūl Bāp kī Gadhiyāṅ Talāsh Kartā Hai
1 Binyamīn ke qabāylī ilāqe meṅ ek Binyamīnī banām Qīs rahtā thā jis kā achchhā-ḳhāsā asar-o-rasūḳh thā. Bāp kā nām Abiyel bin Saror bin Bakūrat bin Afīḳh thā. 2 Qīs kā beṭā Sāūl jawān aur ḳhūbsūrat thā balki Isrāīl meṅ koī aur itnā ḳhūbsūrat nahīṅ thā. Sāth sāth wuh itnā lambā thā ki bāqī sab log sirf us ke kandhoṅ tak āte the.
3 Ek din Sāūl ke bāp Qīs kī gadhiyāṅ gum ho gaīṅ. Yih dekh kar us ne apne beṭe Sāūl ko hukm diyā, “Naukar ko apne sāth le kar gadhiyoṅ ko ḍhūnḍ lāeṅ.” 4 Donoṅ ādmī Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe aur Salīsā ke ilāqe meṅ se guzare, lekin besūd. Phir unhoṅ ne Sālīm ke ilāqe meṅ khoj lagāyā, lekin wahāṅ bhī gadhiyāṅ na milīṅ. Is ke bād wuh Binyamīn ke ilāqe meṅ ghūmte phire, lekin befāydā. 5 Chalte chalte wuh Sūf ke qarīb pahuṅch gae. Sāūl ne naukar se kahā, “Āo, ham ghar wāpas chaleṅ, aisā na ho ki wālid gadhiyoṅ kī nahīṅ balki hamārī fikr kareṅ.”
6 Lekin naukar ne kahā, “Is shahr meṅ ek mard-e-Ḳhudā hai. Log us kī baṛī izzat karte haiṅ, kyoṅki jo kuchh bhī wuh kahtā hai wuh pūrā ho jātā hai. Kyoṅ na ham us ke pās jāeṅ? Shāyad wuh hameṅ batāe ki gadhiyoṅ ko kahāṅ ḍhūṅḍnā chāhie.”
7 Sāūl ne pūchhā, “Lekin ham use kyā deṅ? Hamārā khānā ḳhatm ho gayā hai, aur hamāre pās us ke lie tohfā nahīṅ hai.”
8 Naukar ne jawāb diyā, “Koī bāt nahīṅ, mere pās chāṅdī kā chhoṭā sikkā * Lafzī tarjumā: chāṅdī ke sikke kī ek chauthāī. hai. Yih maiṅ mard-e-Ḳhudā ko de dūṅgā tāki batāe ki ham kis taraf ḍhūnḍeṅ.”
9-11 Sāūl ne kahā, “Ṭhīk hai, chaleṅ.” Wuh shahr kī taraf chal paṛe tāki mard-e-Ḳhudā se bāt kareṅ. Jab pahāṛī ḍhalān par shahr kī taraf chaṛh rahe the to kuchh laṛkiyāṅ pānī bharne ke lie niklīṅ. Ādmiyoṅ ne un se pūchhā, “Kyā ġhaibbīn shahr meṅ hai?” (Purāne zamāne meṅ nabī ġhaibbīn kahlātā thā. Agar koī Allāh se kuchh mālūm karnā chāhtā to kahtā, “Āo, ham ġhaibbīn ke pās chaleṅ.”)
12-13 Laṛkiyoṅ ne jawāb diyā, “Jī, wuh abhī abhī pahuṅchā hai, kyoṅki shahr ke log āj pahāṛī par qurbāniyāṅ chaṛhā kar īd manā rahe haiṅ. Agar jaldī kareṅ to pahāṛī par chaṛhnī se pahle us se mulāqāt ho jāegī. Us waqt tak ziyāfat shurū nahīṅ hogī jab tak ġhaibbīn pahuṅch na jāe. Kyoṅki use pahle khāne ko barkat denā hai, phir hī mehmānoṅ ko khānā khāne kī ijāzat hai. Ab jāeṅ, kyoṅki isī waqt āp us se bāt kar sakte haiṅ.”
14 Chunāṅche Sāūl aur naukar shahr kī taraf baṛhe. Shahr ke darwāze par hī Samuel se mulāqāt ho gaī jo wahāṅ se nikal kar qurbāngāh kī pahāṛī par chaṛhnī ko thā.
Samuel Sāūl kī Mehmān-nawāzī Kartā Hai
15 Rab Samuel ko ek din pahle paiġhām de chukā thā, 16 “Kal maiṅ isī waqt Mulk-e-Binyamīn kā ek ādmī tere pās bhej dūṅgā. Use masah karke merī qaum Isrāīl par bādshāh muqarrar kar. Wuh merī qaum ko Filistiyoṅ se bachāegā. Kyoṅki maiṅ ne apnī qaum kī musībat par dhyān diyā hai, aur madad ke lie us kī chīḳheṅ mujh tak pahuṅch gaī haiṅ.” 17 Ab jab Samuel ne shahr ke darwāze se nikalte hue Sāūl ko dekhā to Rab Samuel se hamkalām huā, “Dekh, yihī wuh ādmī hai jis kā zikr maiṅ ne kal kiyā thā. Yihī merī qaum par hukūmat karegā.”
18 Wahīṅ shahr ke darwāze par Sāūl Samuel se muḳhātib huā, “Mehrbānī karke mujhe batāie ki ġhaibbīn kā ghar kahāṅ hai?” 19 Samuel ne jawāb diyā, “Maiṅ hī ġhaibbīn hūṅ. Āeṅ, us pahāṛī par chaleṅ jis par ziyāfat ho rahī hai, kyoṅki āj āp mere mehmān haiṅ. Kal maiṅ subah-sawere āp ko āp ke dil kī bāt batā dūṅgā. 20 Jahāṅ tak tīn din se gumshudā gadhiyoṅ kā tālluq hai, un kī fikr na kareṅ. Wuh to mil gaī haiṅ. Waise āp aur āp ke bāp ke gharāne ko Isrāīl kī har qīmtī chīz hāsil hai.” 21 Sāūl ne pūchhā, “Yih kis tarah? Maiṅ to Isrāīl ke sab se chhoṭe qabīle Binyamīn kā hūṅ, aur merā ḳhāndān qabīle meṅ sab se chhoṭā hai.”
22 Samuel Sāūl ko naukar samet us hāl meṅ le gayā jis meṅ ziyāfat ho rahī thī. Taqrīban 30 mehmān the, lekin Samuel ne donoṅ ādmiyoṅ ko sab se izzat kī jagah par biṭhā diyā. 23 Ḳhānsāme ko us ne hukm diyā, “Ab gosht kā wuh ṭukṛā le āo jo maiṅ ne tumheṅ de kar kahā thā ki use alag rakhnā hai.” 24 Ḳhānsāme ne qurbānī kī rān lā kar use Sāūl ke sāmne rakh diyā. Samuel bolā, “Yih āp ke lie mahfūz rakhā gayā hai. Ab khāeṅ, kyoṅki dūsroṅ ko dāwat dete waqt maiṅ ne yih gosht āp ke lie aur is mauqe ke lie alag kar liyā thā.” Chunāṅche Sāūl ne us din Samuel ke sāth khānā khāyā.
25 Ziyāfat ke bād wuh pahāṛī se utar kar shahr wāpas āe, aur Samuel apne ghar kī chhat par Sāūl se bātchīt karne lagā. 26 Agle din jab pau phaṭne lagī to Samuel ne nīche se Sāūl ko jo chhat par so rahā thā āwāz dī, “Uṭheṅ! Maiṅ āp ko ruḳhsat karūṅ.” Sāūl jāg uṭhā aur wuh mil kar rawānā hue. 27 Jab wuh shahr ke kināre par pahuṅche to Samuel ne Sāūl se kahā, “Apne naukar ko āge bhejeṅ.” Jab naukar chalā gayā to Samuel bolā, “Ṭhahar jāeṅ, kyoṅki mujhe āp ko Allāh kā ek paiġhām sunānā hai.”