3
Rab ke Ghar kī Tāmīr
1 Sulemān ne Rab ke ghar ko Yarūshalam kī pahāṛī Moriyāh par tāmīr kiyā. Us kā bāp Dāūd yih maqām muqarrar kar chukā thā. Yihīṅ jahāṅ pahle urnān yānī Araunāh Yabūsī apnā anāj gāhtā thā Rab Dāūd par zāhir huā thā. 2 Tāmīr kā yih kām Sulemān kī hukūmat ke chauthe sāl ke dūsre māh aur us ke dūsre din shurū huā.
3 Makān kī lambāī 90 fuṭ aur chauṛāī 30 fuṭ thī. 4 Sāmne ek barāmdā banāyā gayā jo imārat jitnā chauṛā yānī 30 fuṭ aur 30 fuṭ ūṅchā thā. Us kī andarūnī dīwāroṅ par us ne ḳhālis sonā chaṛhāyā. 5 Baṛe hāl kī dīwāroṅ par us ne ūpar se le kar nīche tak jūnīpar kī lakaṛī ke taḳhte lagāe, phir taḳhtoṅ par ḳhālis sonā manḍhwā kar unheṅ khajūr ke daraḳhtoṅ aur zanjīroṅ kī taswīroṅ se ārāstā kiyā. 6 Sulemān ne Rab ke ghar ko jawāhar se bhī sajāyā. Jo sonā istemāl huā wuh parwāym se mangwāyā gayā thā. 7 Sonā makān, tamām shahtīroṅ, dahlīzoṅ, dīwāroṅ aur darwāzoṅ par manḍhā gayā. Dīwāroṅ par karūbī farishtoṅ kī taswīreṅ bhī kandā kī gaīṅ.
Muqaddastarīn Kamrā
8 Imārat kā sab se andarūnī kamrā banām Muqaddastarīn Kamrā imārat jaisā chauṛā yānī 30 fuṭ thā. Us kī lambāī bhī 30 fuṭ thī. Is kamre kī tamām dīwāroṅ par 20,000 kilogrām se zāyd sonā manḍhā gayā. 9 Sone kī kīloṅ kā wazn taqrīban 600 grām thā. Bālāḳhānoṅ kī dīwāroṅ par bhī sonā manḍhā gayā.
10 Phir Sulemān ne karūbī farishtoṅ ke do mujassame banwāe jinheṅ Muqaddastarīn Kamre meṅ rakhā gayā. Un par bhī sonā chaṛhāyā gayā. 11-13 Jab donoṅ farishtoṅ ko ek dūsre ke sāth Muqaddastarīn Kamre meṅ khaṛā kiyā gayā to un ke chār paroṅ kī mil kar lambāī 30 fuṭ thī. Har ek ke do par the, aur har par kī lambāī sāṛhe sāt sāt fuṭ thī. Unheṅ Muqaddastarīn Kamre meṅ yoṅ ek dūsre ke sāth khaṛā kiyā gayā ki har farishte kā ek par dūsre ke par se lagtā jabki dāīṅ aur bāīṅ taraf har ek kā dūsrā par dīwār ke sāth lagtā thā. Wuh apne pāṅwoṅ par khaṛe baṛe hāl kī taraf deḳhte the. 14 Muqaddastarīn Kamre ke darwāze par Sulemān ne bārīk katān se bunā huā pardā lagwāyā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se sajā huā thā, aur us par karūbī farishtoṅ kī taswīreṅ thīṅ.
Rab ke Ghar ke Darwāze par Do Satūn
15 Sulemān ne do satūn ḍhalwā kar Rab ke ghar ke darwāze ke sāmne khaṛe kie. Har ek 27 fuṭ lambā thā, aur har ek par ek bālāī hissā rakhā gayā jis kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ thī. 16 In bālāī hissoṅ ko zanjīroṅ se sajāyā gayā jin se sau anār laṭke hue the. 17 Donoṅ satūnoṅ ko Sulemān ne Rab ke ghar ke darwāze ke dāīṅ aur bāīṅ taraf khaṛā kiyā. Dahne hāth ke satūn kā nām us ne ‘Yakīn’ aur bāeṅ hāth ke satūn kā nām ‘Boaz’ rakhā.