4
Miṭṭī ke Bartanoṅ meṅ Ruhānī Ḳhazānā
1 Pas chūṅki hameṅ Allāh ke rahm se yih ḳhidmat sauṅpī gaī hai is lie ham bedil nahīṅ ho jāte. 2 Ham ne chhupī huī sharmnāk bāteṅ mustarad kar dī haiṅ. Na ham chālākī se kām karte, na Allāh ke kalām meṅ tahrīf karte haiṅ. Balki hameṅ apnī sifārish kī zarūrat bhī nahīṅ, kyoṅki jab ham Allāh ke huzūr logoṅ par haqīqat ko zāhir karte haiṅ to hamārī neknāmī ḳhud baḳhud har ek ke zamīr par zāhir ho jātī hai. 3 Aur agar hamārī ḳhushḳhabrī niqāb tale chhupī huī bhī ho to wuh sirf un ke lie chhupī huī hai jo halāk ho rahe haiṅ. 4 Is jahān ke sharīr Ḳhudā ne un ke zahnoṅ ko andhā kar diyā hai jo īmān nahīṅ rakhte. Is lie wuh Allāh kī ḳhushḳhabrī kī jalālī raushnī nahīṅ dekh sakte. Wuh yih paiġhām nahīṅ samajh sakte jo Masīh ke jalāl ke bāre meṅ hai, us ke bāre meṅ jo Allāh kī sūrat hai. 5 Kyoṅki ham apnā prachār nahīṅ karte balki Īsā Masīh kā paiġhām sunāte haiṅ ki wuh Ḳhudāwand hai. Apne āp ko ham Īsā kī ḳhātir āp ke ḳhādim qarār dete haiṅ. 6 Kyoṅki jis Ḳhudā ne farmāyā, “Andhere meṅ se raushnī chamke,” us ne hamāre diloṅ meṅ apnī raushnī chamakne dī tāki ham Allāh kā wuh jalāl jān leṅ jo Īsā Masīh ke chehre se chamaktā hai.
7 Lekin ham jin ke andar yih ḳhazānā hai ām miṭṭī ke bartanoṅ kī mānind haiṅ tāki zāhir ho ki yih zabardast quwwat hamārī taraf se nahīṅ balki Allāh kī taraf se hai. 8 Log hameṅ chāroṅ taraf se dabāte haiṅ, lekin koī hameṅ kuchal kar ḳhatm nahīṅ kar saktā. Ham uljhan meṅ paṛ jāte haiṅ, lekin ummīd kā dāman hāth se jāne nahīṅ dete. 9 Log hameṅ īzā dete haiṅ, lekin hameṅ akelā nahīṅ chhoṛā jātā. Logoṅ ke dhakkoṅ se ham zamīn par gir jāte haiṅ, lekin ham tabāh nahīṅ hote. 10 Har waqt ham apne badan meṅ Īsā kī maut lie phirte haiṅ tāki Īsā kī zindagī bhī hamāre badan meṅ zāhir ho jāe. 11 Kyoṅki har waqt hameṅ zindā hālat meṅ Īsā kī ḳhātir maut ke hawāle kar diyā jātā hai tāki us kī zindagī hamāre fānī badan meṅ zāhir ho jāe. 12 Yoṅ ham meṅ maut kā asar kām kartā hai jabki āp meṅ zindagī kā asar.
13 Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Maiṅ īmān lāyā aur is lie bolā.” Hameṅ īmān kā yihī Rūh hāsil hai is lie ham bhī īmān lāne kī wajah se bolte haiṅ. 14 Kyoṅki ham jānte haiṅ ki jis ne Ḳhudāwand Īsā ko murdoṅ meṅ se zindā kar diyā hai wuh Īsā ke sāth hameṅ bhī zindā karke āp logoṅ samet apne huzūr khaṛā karegā. 15 Yih sab kuchh āp ke fāyde ke lie hai. Yoṅ Allāh kā fazl āge baṛhte baṛhte mazīd bahut-se logoṅ tak pahuṅch rahā hai aur natīje meṅ wuh Allāh ko jalāl de kar shukrguzārī kī duāoṅ meṅ bahut izāfā kar rahe haiṅ.
Īmān kī Zindagī
16 Isī wajah se ham bedil nahīṅ ho jāte. Beshak zāhirī taur par ham ḳhatm ho rahe haiṅ, lekin andar hī andar roz baroz hamārī tajdīd hotī jā rahī hai. 17 Kyoṅki hamārī maujūdā musībat halkī aur pal-bhar kī hai, aur wuh hamāre lie ek aisā abadī jalāl paidā kar rahī hai jis kī nisbat maujūdā musībat kuchh bhī nahīṅ. 18 Is lie ham dekhī huī chīzoṅ par ġhaur nahīṅ karte balki andekhī chīzoṅ par. Kyoṅki dekhī huī chīzeṅ ārizī haiṅ, jabki andekhī chīzeṅ abadī haiṅ.