6
1 Allāh ke hamḳhidmat hote hue ham āp se minnat karte haiṅ ki jo fazl āp ko milā hai wuh zāe na jāe. 2 Kyoṅki Allāh farmātā hai, “Qabūliyat ke waqt maiṅ ne terī sunī, najāt ke din terī madad kī.” Suneṅ! Ab qabūliyat kā waqt ā gayā hai, ab najāt kā din hai.
3 Ham kisī ke lie bhī ṭhokar kā bāis nahīṅ bante tāki log hamārī ḳhidmat meṅ nuqs na nikāl sakeṅ. 4 Hāṅ, hameṅ sifārish kī zarūrat hī nahīṅ, kyoṅki Allāh ke ḳhādim hote hue ham har hālat meṅ apnī neknāmī zāhir karte haiṅ: jab ham sabar se musībateṅ, mushkilāt aur āfateṅ bardāsht karte haiṅ, 5 jab log hameṅ mārte aur qaid meṅ ḍālte haiṅ, jab ham beqābū hujūmoṅ kā sāmnā karte haiṅ, jab ham mehnat-mashaqqat karte, rāt ke waqt jāgte aur bhūke rahte haiṅ, 6 jab ham apnī pākīzagī, ilm, sabar aur mehrbān sulūk kā izhār karte haiṅ, jab ham Rūhul-quds ke wasīle se haqīqī muhabbat rakhte, 7 sachchī bāteṅ karte aur Allāh kī qudrat se logoṅ kī ḳhidmat karte haiṅ. Ham apnī neknāmī is meṅ bhī zāhir karte haiṅ ki ham donoṅ hāthoṅ se rāstbāzī ke hathiyār thāme rakhte haiṅ. 8 Ham apnī ḳhidmat jārī rakhte haiṅ, chāhe log hamārī izzat kareṅ chāhe be'izzatī, chāhe wuh hamārī burī riporṭ deṅ chāhe achchhī. Agarche hamārī ḳhidmat sachchī hai, lekin log hameṅ daġhābāz qarār dete haiṅ. 9 Agarche log hameṅ jānte haiṅ to bhī hameṅ nazarandāz kiyā jātā hai. Ham marte marte zindā rahte haiṅ aur log hameṅ mār mār kar qatl nahīṅ kar sakte. 10 Ham ġham khā khā kar har waqt ḳhush rahte haiṅ, ham ġharīb hālat meṅ bahutoṅ ko daulatmand banā dete haiṅ. Hamāre pās kuchh nahīṅ hai, to bhī hameṅ sab kuchh hāsil hai.
11 Kurinthus ke azīzo, ham ne khul kar āp se bāt kī hai, hamārā dil āp ke lie kushādā ho gayā hai. 12 Jo jagah ham ne dil meṅ āp ko dī hai wuh ab tak kam nahīṅ huī. Lekin āp ke diloṅ meṅ hamāre lie koī jagah nahīṅ rahī. 13 Ab maiṅ āp se jo mere bachche haiṅ darḳhāst kartā hūṅ ki jawāb meṅ hameṅ bhī apne diloṅ meṅ jagah deṅ.
Ġhairmasīhī Asarāt se Ḳhabardār
14 Ġhairīmāndāroṅ ke sāth mil kar ek jue tale zindagī na guzāreṅ, kyoṅki rāstī kā nārāstī se kyā wāstā hai? Yā raushnī tārīkī ke sāth kyā tālluq rakh saktī hai? 15 Masīh aur Iblīs ke darmiyān kyā mutābiqat ho saktī hai? Īmāndār kā ġhairīmāndār ke sāth kyā wāstā hai? 16 Allāh ke maqdis aur butoṅ meṅ kyā ittafāq ho saktā hai? Ham to zindā Ḳhudā kā ghar haiṅ. Allāh ne yoṅ farmāyā hai,
“Maiṅ un ke darmiyān sukūnat karūṅga
aur un meṅ phirūṅga.
Maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā,
aur wuh merī qaum hoṅge.”
17 Chunāṅche Rab farmātā hai,
“Is lie un meṅ se nikal āo
aur un se alag ho jāo.
Kisī nāpāk chīz ko na chhūnā,
to phir maiṅ tumheṅ qabūl karūṅga.
18 Maiṅ tumhārā Bāp hūṅgā
aur tum mere beṭe-beṭiyāṅ hoge,
Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai.”