2
Jhūṭe Ustād
1 Lekin jis tarah māzī meṅ Isrāīl qaum meṅ jhūṭe nabī bhī the, usī tarah āp meṅ se bhī jhūṭe ustād khaṛe ho jāeṅge. Yih Ḳhudā kī jamātoṅ meṅ mohlak tālīmāt phailāeṅge balki apne mālik ko jānane se inkār bhī kareṅge jis ne unheṅ ḳharīd liyā thā. Aisī harkatoṅ se yih jald hī apne āp par halākat lāeṅge. 2 Bahut-se log un kī aiyāsh harkatoṅ kī pairawī kareṅge, aur is wajah se dūsre sachchāī kī rāh par kufr bakeṅge. 3 Lālach ke sabab se yih ustād āp ko farzī kahāniyāṅ sunā kar āp kī lūṭ-khasoṭ kareṅge. Lekin Allāh ne baṛī der se unheṅ mujrim ṭhahrāyā, aur us kā faislā sustraftār nahīṅ hai. Hāṅ, un kā munsif ūṅgh nahīṅ rahā balki unheṅ halāk karne ke lie taiyār khaṛā hai.
4 Dekheṅ, Allāh ne un farishtoṅ ko bachne na diyā jinhoṅ ne gunāh kiyā balki unheṅ tārīkī kī zanjīroṅ meṅ bāndh kar jahannum meṅ ḍāl diyā jahāṅ wuh adālat ke din tak mahfūz raheṅge. 5 Isī tarah us ne qadīm duniyā ko bachne na diyā balki us ke bedīn bāshindoṅ par sailāb ko āne diyā. Us ne sirf rāstbāzī ke paiġhambar Nūh ko sāt aur jānoṅ samet bachāyā. 6 Aur us ne Sadūm aur Amūrā ke shahroṅ ko mujrim qarār de kar rākh kar diyā. Yoṅ Allāh ne unheṅ ibrat banā kar dikhāyā ki bedīnoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā jāegā. 7 Sāth sāth us ne Lūt ko bachāyā jo rāstbāz thā aur be'usūl logoṅ ke gande chāl-chalan dekh dekh kar pistā rahā. 8 Kyoṅki yih rāstbāz ādmī un ke darmiyān bastā thā, aur us kī rāstbāz jān roz baroz un kī sharīr harkateṅ dekh aur sun kar saḳht azāb meṅ phaṅsī rahī. 9 Yoṅ zāhir hai ki Rab dīndār logoṅ ko āzmāish se bachānā aur bedīnoṅ ko adālat ke din tak sazā ke taht rakhnā jāntā hai, 10 ḳhāskar unheṅ jo apne jism kī gandī ḳhāhishāt ke pīchhe lage rahte aur Ḳhudāwand ke iḳhtiyār ko haqīr jānte haiṅ.
Yih log gustāḳh aur maġhrūr haiṅ aur jalālī hastiyoṅ par kufr bakne se nahīṅ ḍarte. 11 Is ke muqābale meṅ farishte bhī jo kahīṅ zyādā tāqatwar aur qawī haiṅ Rab ke huzūr aisī hastiyoṅ par buhtān aur ilzāmāt lagāne kī jurrat nahīṅ karte. 12 Lekin yih jhūṭe ustād beaql jānwaroṅ kī mānind haiṅ, jo fitrī taur par is lie paidā hue haiṅ ki unheṅ pakaṛā aur ḳhatm kiyā jāe. Jo kuchh wuh nahīṅ samajhte us par wuh kufr bakte haiṅ. Aur janglī jānwaroṅ kī tarah wuh bhī halāk ho jāeṅge. 13 Yoṅ jo nuqsān unhoṅ ne dūsroṅ ko pahuṅchāyā wuhī unheṅ ḳhud bhugatnā paṛegā. Un ke nazdīk lutf uṭhāne se murād yih hai ki din ke waqt khul kar aish kareṅ. Wuh dāġh aur dhabbe haiṅ jo āp kī ziyāfatoṅ meṅ sharīk ho kar apnī daġhābaziyoṅ kī rangraliyāṅ manāte haiṅ. 14 Un kī āṅkheṅ har waqt kisī badkār aurat se zinā karne kī talāsh meṅ rahtī haiṅ aur gunāh karne se kabhī nahīṅ ruktīṅ. Wuh kamzor logoṅ ko ġhalat kām karne ke lie uksāte aur lālach karne meṅ māhir haiṅ. Un par Allāh kī lānat! 15 Wuh sahīh rāh se haṭ kar āwārā phir rahe aur Bilām bin Baor ke naqsh-e-qadam par chal rahe haiṅ, kyoṅki Bilām ne paisoṅ ke lālach meṅ ġhalat kām kiyā. 16 Lekin gadhī ne use is gunāh ke sabab se ḍānṭā. Is jānwar ne jo bolne ke qābil nahīṅ thā insān kī-sī āwāz meṅ bāt kī aur nabī ko us kī dīwānagī se rok diyā.
17 Yih log sūkhe hue chashme aur āṅdhī se dhakele hue bādal haiṅ. In kī taqdīr andhere kā tārīktarīn hissā hai. 18 Yih maġhrūr bāteṅ karte haiṅ jin ke pīchhe kuchh nahīṅ hai aur ġhairaḳhlāqī jismānī shahwatoṅ se aise logoṅ ko uksāte haiṅ jo hāl hī meṅ dhoke kī zindagī guzārne wāloṅ meṅ se bach nikle haiṅ. 19 Yih unheṅ āzād karne kā wādā karte haiṅ jabki ḳhud badkārī ke ġhulām haiṅ. Kyoṅki insān usī kā ġhulām hai jo us par ġhālib ā gayā hai. 20 Aur jo hamāre Ḳhudāwand aur Najātdahindā Īsā Masīh ko jān lene se is duniyā kī ālūdagī se bach nikalte haiṅ, lekin bād meṅ ek bār phir is meṅ phaṅs kar maġhlūb ho jāte haiṅ un kā anjām pahle kī nisbat zyādā burā ho jātā hai. 21 Hāṅ, jin logoṅ ne rāstbāzī kī rāh ko jān liyā, lekin bād meṅ us muqaddas hukm se muṅh pher liyā jo un ke hawāle kiyā gayā thā, un ke lie behtar hotā ki wuh is rāh se kabhī wāqif na hote. 22 Un par yih muhāwarā sādiq ātā hai ki “Kuttā apnī qai ke pās wāpas ā jātā hai.” Aur yih bhī ki “Suarnī nahāne ke bād dubārā kīchaṛ meṅ loṭne lagtī hai.”