24
Dāūd kī Mardumshumārī
1 Ek bār phir Rab ko Isrāīl par ġhussā āyā, aur us ne Dāūd ko unheṅ musībat meṅ ḍālne par uksā kar us ke zahan meṅ mardumshumārī karne kā ḳhayāl ḍāl diyā.
2 Chunāṅche Dāūd ne fauj ke kamānḍar Yoāb ko hukm diyā, “Dān se le kar Bair-sabā tak Isrāīl ke tamām qabīloṅ meṅ se guzarte hue jang karne ke qābil mardoṅ ko gin leṅ tāki mālūm ho jāe ki un kī kul tādād kyā hai.” 3 Lekin Yoāb ne etarāz kiyā, “Ai bādshāh mere āqā, kāsh Rab āp kā Ḳhudā āp ke deḳhte deḳhte faujiyoṅ kī tādād sau gunā baṛhāe. Lekin mere āqā aur bādshāh un kī mardumshumārī kyoṅ karnā chāhte haiṅ?” 4 Lekin bādshāh Yoāb aur fauj ke baṛe afsaroṅ ke etarāzāt ke bāwujūd apnī bāt par ḍaṭā rahā. Chunāṅche wuh darbār se rawānā ho kar Isrāīl ke mardoṅ kī fahrist taiyār karne lage.
5 Dariyā-e-Yardan ko ubūr karke unhoṅ ne Aroīr aur Wādī-e-Arnon ke bīch ke shahr meṅ shurū kiyā. Wahāṅ se wuh Jad aur Yāzer se ho kar 6 Jiliyād aur Hittiyoṅ ke mulk ke shahr Qādis tak pahuṅche. Phir āge baṛhte baṛhte wuh Dān aur Saidā ke gird-o-nawāh ke ilāqe 7 aur qilāband shahr Sūr aur Hiwwiyoṅ aur Kanāniyoṅ ke tamām shahroṅ tak pahuṅch gae. Āḳhirkār unhoṅ ne Yahūdāh ke junūb kī mardumshumārī Bair-sabā tak kī.
8 Yoṅ pūre mulk meṅ safr karte karte wuh 9 mahīnoṅ aur 20 dinoṅ ke bād Yarūshalam wāpas āe. 9 Yoāb ne bādshāh ko mardumshumārī kī pūrī riporṭ pesh kī. Isrāīl meṅ talwār chalāne ke qābil 8 lākh afrād the jabki Yahūdāh ke 5 lākh mard the.
10 Lekin ab Dāūd kā zamīr us ko malāmat karne lagā. Us ne Rab se duā kī, “Mujh se sangīn gunāh sarzad huā hai. Ai Rab, ab apne ḳhādim kā qusūr muāf kar. Mujh se baṛī hamāqat huī hai.”
11 Agle din jab Dāūd subah ke waqt uṭhā to us ke ġhaibbīn Jād Nabī ko Rab kī taraf se paiġhām mil gayā, 12 “Dāūd ke pās jā kar use batā denā, ‘Rab tujhe tīn sazāeṅ pesh kartā hai. In meṅ se ek chun le.’ ” 13 Jād Dāūd ke pās gayā aur use Rab kā paiġhām sunā diyā. Us ne sawāl kiyā, “Āp kis sazā ko tarjīh dete haiṅ? Apne mulk meṅ sāt sāl ke daurān kāl? Yā yih ki āp ke dushman āp ko bhagā kar tīn māh tak āp kā tāqqub karte raheṅ? Yā yih ki āp ke mulk meṅ tīn din tak wabā phail jāe? Dhyān se is ke bāre meṅ socheṅ tāki maiṅ use āp kā jawāb pahuṅchā sakūṅ jis ne mujhe bhejā hai.”
14 Dāūd ne jawāb diyā, “Hāy, maiṅ kyā kahūṅ? Maiṅ bahut pareshān hūṅ. Lekin ādmiyoṅ ke hāth meṅ paṛne kī nisbat behtar hai ki maiṅ Rab hī ke hāth meṅ paṛ jāūṅ, kyoṅki us kā rahm azīm hai.”
15 Tab Rab ne Isrāīl meṅ wabā phailne dī. Wuh usī subah shurū huī aur tīn din tak logoṅ ko maut ke ghāṭ utārtī gaī. Shimāl meṅ Dān se le kar junūb meṅ Bair-sabā tak kul 70,000 afrād halāk hue. 16 Lekin jab wabā kā farishtā chalte chalte Yarūshalam tak pahuṅch gayā aur us par hāth uṭhāne lagā to Rab ne logoṅ kī musībat ko dekh kar tars khāyā aur tabāh karne wāle farishte ko hukm diyā, “Bas kar! Ab bāz ā.” Us waqt Rab kā farishtā wahāṅ khaṛā thā jahāṅ Araunāh Yabūsī apnā anāj gāhtā thā.
17 Jab Dāūd ne farishte ko logoṅ ko mārte hue dekhā to us ne Rab se iltamās kī, “Maiṅ hī ne gunāh kiyā hai, yih merā hī qusūr hai. In bheṛoṅ se kyā ġhaltī huī hai? Barāh-e-karm in ko chhoṛ kar mujhe aur mere ḳhāndān ko sazā de.”
18 Usī din Jād Dāūd ke pās āyā aur us se kahā, “Araunāh Yabūsī kī gāhne kī jagah ke pās jā kar us par Rab kī qurbāngāh banā le.” 19 Chunāṅche Dāūd chaṛh kar gāhne kī jagah ke pās āyā jis tarah Rab ne Jād kī mārifat farmāyā thā.
20 Jab Araunāh ne bādshāh aur us ke darbāriyoṅ ko apnī taraf chaṛhtā huā dekhā to wuh nikal kar bādshāh ke sāmne aundhe muṅh jhuk gayā. 21 Us ne pūchhā, “Mere āqā aur bādshāh mere pās kyoṅ ā gae.” Dāūd ne jawāb diyā, “Maiṅ āp kī gāhne kī jagah ḳharīdnā chāhtā hūṅ tāki Rab ke lie qurbāngāh tāmīr karūṅ. Kyoṅki yih karne se wabā ruk jāegī.”
22 Araunāh ne kahā, “Mere āqā aur bādshāh, jo kuchh āp ko achchhā lage use le kar chaṛhāeṅ. Yih bail bhasm hone wālī qurbānī ke lie hāzir haiṅ. Aur anāj ko gāhne aur bailoṅ ko jotne kā sāmān qurbāngāh par rakh kar jalā deṅ. 23 Bādshāh salāmat, maiṅ ḳhushī se āp ko yih sab kuchh de detā hūṅ. Duā hai ki āp Rab apne Ḳhudā ko pasand āeṅ.”
24 Lekin bādshāh ne inkār kiyā, “Nahīṅ, maiṅ zarūr har chīz kī pūrī qīmat adā karūṅga. Maiṅ Rab apne Ḳhudā ko aisī koī bhasm hone wālī qurbānī pesh nahīṅ karūṅga jo mujhe muft meṅ mil jāe.”
Chunāṅche Dāūd ne bailoṅ samet gāhne kī jagah chāṅdī ke 50 sikkoṅ ke ewaz ḳharīd lī. 25 Us ne wahāṅ Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh tāmīr karke us par bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. Tab Rab ne mulk ke lie duā sun kar wabā ko rok diyā.