4
1 Maiṅ Allāh aur Masīh Īsā ke sāmne jo zindoṅ aur murdoṅ kī adālat karegā aur us kī āmad aur bādshāhī kī yād dilā kar sanjīdagī se is kī tākīd kartā hūṅ, 2 ki waqt bewaqt kalām-e-muqaddas kī munādī karne ke lie taiyār raheṅ. Baṛe sabar se īmāndāroṅ ko tālīm de kar unheṅ samjhāeṅ, malāmat kareṅ aur un kī hauslā-afzāī bhī kareṅ. 3 Kyoṅki ek waqt āegā jab log sehhatbaḳhsh tālīm bardāsht nahīṅ kareṅge balki apne pās apnī burī ḳhāhishāt se mutābiqat rakhne wāle ustādoṅ kā ḍher lagā leṅge. Yih ustād unheṅ sirf dil bahlāne wālī bāteṅ sunāeṅge, sirf wuh kuchh jo wuh sunanā chāhte haiṅ. 4 Wuh sachchāī ko sunane se bāz ā kar farzī kahāniyoṅ ke pīchhe paṛ jāeṅge. 5 Lekin āp ḳhud har hālat meṅ hosh meṅ raheṅ. Dukh ko bardāsht kareṅ, Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte raheṅ aur apnī ḳhidmat ke tamām farāyz adā kareṅ.
6 Jahāṅ tak merā tālluq hai, wuh waqt ā chukā hai ki mujhe mai kī nazar kī tarah qurbāngāh par unḍelā jāe. Mere kūch kā waqt ā gayā hai. 7 Maiṅ ne achchhī kushtī laṛī hai, maiṅ dauṛ ke iḳhtitām tak pahuṅch gayā hūṅ, maiṅ ne īmān ko mahfūz rakhā hai. 8 Aur ab ek inām taiyār paṛā hai, rāstbāzī kā wuh tāj jo Ḳhudāwand hamārā rāst munsif mujhe apnī āmad ke din degā. Aur na sirf mujhe balki un sab ko jo us kī āmad ke ārzūmand rahe haiṅ.
Kuchh Shaḳhsī Bāteṅ
9 Mere pās āne meṅ jaldī kareṅ. 10 Kyoṅki Demās ne is duniyā ko pyār karke mujhe chhoṛ diyā hai. Wuh Thissalunīke chalā gayā. Kreskens Galatiyā aur Titus dalmatiyā chale gae haiṅ. 11 Sirf Lūqā mere pās hai. Marqus ko apne sāth le ānā, kyoṅki wuh ḳhidmat ke lie mufīd sābit hogā. 12 Tuḳhikus ko maiṅ ne Ifisus bhej diyā hai. 13 Āte waqt merā wuh kūṭ apne sāth le āeṅ jo maiṅ Troās meṅ Karpus ke pās chhoṛ āyā thā. Merī kitābeṅ bhī le āeṅ, ḳhāskar charmī kāġhaz wālī.
14 Sikandar lohār ne mujhe bahut nuqsān pahuṅchāyā hai. Ḳhudāwand use us ke kām kā badlā degā. 15 Us se muhtāt raheṅ kyoṅki us ne baṛī shiddat se hamārī bātoṅ kī muḳhālafat kī.
16 Jab mujhe pahlī dafā apne difā ke lie adālat meṅ pesh kiyā gayā to sab ne mujhe tark kar diyā. Allāh un se is bāt kā hisāb na le balki ise nazarandāz kar de. 17 Lekin Ḳhudāwand mere sāth thā. Usī ne mujhe taqwiyat dī, kyoṅki us kī marzī thī ki mere wasīle se us kā pūrā paiġhām sunāyā jāe aur tamām Ġhairyahūdī use suneṅ. Yoṅ Allāh ne mujhe sherbabar ke muṅh se nikāl kar bachā liyā. 18 Aur āge bhī Ḳhudāwand mujhe har sharīr hamle se bachāegā aur apnī āsmānī bādshāhī meṅ lā kar najāt degā. Us kā jalāl azal se abad tak hotā rahe. Āmīn.
Āḳhirī Salām
19 Priskillā, Akwilā aur Unesifurus ke gharāne ko hamārā salām kahnā. 20 Irāstus Kurinthus meṅ rahā, aur mujhe Trufimus ko Mīletus meṅ chhoṛnā paṛā, kyoṅki wuh bīmār thā. 21 Jaldī kareṅ tāki sardiyoṅ ke mausam se pahle yahāṅ pahuṅcheṅ.
Yūbūlus, Pūdens, Līnus, Klaudiyā aur tamām bhāī āp ko salām kahte haiṅ.
22 Ḳhudāwand āp kī rūh ke sāth ho. Allāh kā fazl āp ke sāth hotā rahe.