28
Jazīrā-e-Milite Meṅ
1 Tūfān se bachne par hameṅ mālūm huā ki jazīre kā nām Milite hai. 2 Maqāmī logoṅ ne hameṅ ġhairmāmūlī mehrbānī dikhāī. Unhoṅ ne āg jalā kar hamārā istiqbāl kiyā, kyoṅki bārish shurū ho chukī thī aur ṭhanḍ thī. 3 Paulus ne bhī lakaṛī kā ḍher jamā kiyā. Lekin jyoṅ hī us ne use āg meṅ phaiṅkā ek zahrīlā sāṅp āg kī tapish se bhāg kar nikal āyā aur Paulus ke hāth se chimaṭ kar use ḍas liyā. 4 Maqāmī logoṅ ne sāṅp ko Paulus ke hāth se lage dekhā to ek dūsre se kahne lage, “Yih ādmī zarūr qātil hogā. Go yih samundar se bach gayā, lekin insāf kī dewī ise jīne nahīṅ detī.” 5 Lekin Paulus ne sāṅp ko jhaṭak kar āg meṅ phaiṅk diyā, aur sāṅp kā koī burā asar us par na huā. 6 Log is intazār meṅ rahe ki wuh sūj jāe yā achānak gir paṛe, lekin kāfī der ke bād bhī kuchh na huā. Is par unhoṅ ne apnā ḳhayāl badal kar use dewatā qarār diyā.
7 Qarīb hī jazīre ke sab se baṛe ādmī kī zamīneṅ thīṅ. Us kā nām Publiyus thā. Us ne apne ghar meṅ hamārā istiqbāl kiyā aur tīn din tak hamārī ḳhūb mehmān-nawāzī kī. 8 Us kā bāp bīmār paṛā thā, wuh buḳhār aur pechish ke marz meṅ mubtalā thā. Paulus us ke kamre meṅ gayā, us ke lie duā kī aur apne hāth us par rakh die. Is par marīz ko shifā milī. 9 Jab yih huā to jazīre ke bāqī tamām marīzoṅ ne Paulus ke pās ā kar shifā pāī. 10 Natīje meṅ unhoṅ ne kaī tarah se hamārī izzat kī. Aur jab rawānā hone kā waqt ā gayā to unhoṅ ne hameṅ wuh sab kuchh muhaiyā kiyā jo safr ke lie darkār thā.
Jazīrā-e-Milite se Rom Tak
11 Jazīre par tīn māh guzar gae. Phir ham ek jahāz par sawār hue jo sardiyoṅ ke mausam ke lie wahāṅ ṭhahar gayā thā. Yih jahāz Iskandariyā kā thā aur us ke māthe par juṛwāṅ dewatāoṅ ‘Kāsṭar’ aur ‘Polluks’ kī mūrat nasab thī. Ham wahāṅ se ruḳhsat ho kar 12 Surkūsā Shahr pahuṅche. Tīn din ke bād 13 ham wahāṅ se Regiyum Shahr gae jahāṅ ham sirf ek din ṭhahre. Phir junūb se hawā uṭhī, is lie ham agle din Putiyolī pahuṅche. 14 Is shahr meṅ hamārī mulāqāt kuchh bhāiyoṅ se huī. Unhoṅ ne hameṅ apne pās ek haftā rahne kī dāwat dī. Yoṅ ham Rom pahuṅch gae. 15 Rom ke bhāiyoṅ ne hamāre bāre meṅ sun rakhā thā, aur kuchh hamārā istiqbāl karne ke lie qasbā banām appiyus ke chauk tak āe jabki kuchh sirf ‘Tīn-sarāy’ tak ā sake. Unheṅ dekh kar Paulus ne Allāh kā shukr kiyā aur nayā hauslā pāyā.
Rom Meṅ
16 Hamāre Rom meṅ pahuṅchne par Paulus ko apne kirāe ke makān meṅ rahne kī ijāzat milī, go ek faujī us kī pahrādārī karne ke lie us ke sāth rahā.
17 Tīn din guzar gae to Paulus ne Yahūdī rāhnumāoṅ ko bulāyā. Jab wuh jamā hue to us ne un se kahā, “Bhāiyo, mujhe Yarūshalam meṅ giriftār karke Romiyoṅ ke hawāle kar diyā gayā hālāṅki maiṅ ne apnī qaum yā apne bāpdādā ke rasm-o-riwāj ke ḳhilāf kuchh nahīṅ kiyā thā. 18 Romī merā jāyzā le kar mujhe rihā karnā chāhte the, kyoṅki unheṅ mujhe sazā-e-maut dene kā koī sabab na milā thā. 19 Lekin Yahūdiyoṅ ne etarāz kiyā aur yoṅ mujhe shahanshāh se apīl karne par majbūr kar diyā gayā, go merā yih irādā nahīṅ hai ki maiṅ apnī qaum par koī ilzām lagāūṅ. 20 Maiṅ ne is lie āp ko bulāyā tāki āp se milūṅ aur guftgū karūṅ. Maiṅ us shaḳhs kī ḳhātir in zanjīroṅ se jakaṛā huā hūṅ jis ke āne kī ummīd Isrāīl rakhtā hai.”
21 Yahūdiyoṅ ne use jawāb diyā, “Hameṅ Yahūdiyā se āp ke bāre meṅ koī bhī ḳhat nahīṅ milā. Aur jitne bhāī wahāṅ se āe haiṅ un meṅ se ek ne bhī āp ke bāre meṅ na to koī manfī riporṭ dī na koī burī bāt batāī. 22 Lekin ham āp se sunanā chāhte haiṅ ki āp ke ḳhayālāt kyā haiṅ, kyoṅki ham itnā jānte haiṅ ki har jagah log is firqe ke ḳhilāf bāteṅ kar rahe haiṅ.”
23 Chunāṅche unhoṅ ne milne kā ek din muqarrar kiyā. Jab Yahūdī dubārā us jagah āe jahāṅ Paulus rahtā thā to un kī tādād bahut zyādā thī. Subah se le kar shām tak us ne Allāh kī bādshāhī bayān kī aur us kī gawāhī dī. Us ne unheṅ Mūsā kī sharīat aur nabiyoṅ ke hawālājāt pesh kar karke Īsā ke bāre meṅ qāyl karne kī koshish kī. 24 Kuchh to qāyl ho gae. Lekin bāqī īmān na lāe. 25 Un meṅ nā-ittafāqī paidā huī to wuh chale gae. Jab wuh jāne lage to Paulus ne un se kahā, “Rūhul-quds ne Yasāyāh Nabī kī mārifat āp ke bāpdādā se ṭhīk kahā ki
26 Jā, is qaum ko batā, ‘Tum apne kānoṅ se sunoge
magar kuchh nahīṅ samjhoge,
tum apnī āṅkhoṅ se dekhoge
magar kuchh nahīṅ jānoge.
27 Kyoṅki is qaum kā dil behis ho gayā hai.
Wuh mushkil se apne kānoṅ se sunte haiṅ,
unhoṅ ne apnī āṅkhoṅ ko band kar rakhā hai,
aisā na ho ki wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅ,
apne kānoṅ se suneṅ,
apne dil se samjheṅ,
merī taraf rujū kareṅ
aur maiṅ unheṅ shifā dūṅ.’ ”
28 Paulus ne apnī bāt in alfāz se ḳhatm kī, “Ab jān leṅ ki Allāh kī taraf se yih najāt Ġhairyahūdiyoṅ ko bhī pesh kī gaī hai aur wuh suneṅge bhī!”
29 [Jab us ne yih kahā to Yahūdī āpas meṅ bahs-mubāhasā karte hue chale gae.]
30 Paulus pūre do sāl apne kirāe ke ghar meṅ rahā. Jo bhī us ke pās āyā us kā us ne istiqbāl karke 31 dilerī se Allāh kī bādshāhī kī munādī kī aur Ḳhudāwand Īsā Masīh kī tālīm dī. Aur kisī ne mudāḳhalat na kī.