2
Nabūkadnazzar kā Ḳhāb
1 Apnī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Nabūkadnazzar ne ḳhāb dekhā. Ḳhāb itnā haulnāk thā ki wuh ghabrā kar jāg uṭhā. 2 Us ne hukm diyā ki tamām qismat kā hāl batāne wāle, jādūgar, afsūṅgar aur najūmī mere pās ā kar ḳhāb kā matlab batāeṅ. Jab wuh hāzir hue 3 to bādshāh bolā, “Maiṅ ne ek ḳhāb dekhā hai jo mujhe bahut pareshān kar rahā hai. Ab maiṅ us kā matlab jānanā chāhtā hūṅ.”
4 Nujūmiyoṅ ne Arāmī zabān meṅ jawāb diyā, “Bādshāh salāmat apne ḳhādimoṅ ke sāmne yih ḳhāb bayān kareṅ to ham us kī tābīr kareṅge.”
5 Lekin bādshāh bolā, “Nahīṅ, tum hī mujhe wuh kuchh batāo aur us kī tābīr karo jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā. Agar tum yih na kar sako to maiṅ hukm dūṅgā ki tumheṅ ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jāe aur tumhāre ghar kachre ke ḍher ho jāeṅ. Yih merā musammam irādā hai. 6 Lekin agar tum mujhe wuh kuchh batā kar us kī tābīr karo jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā to maiṅ tumheṅ achchhe tohfe aur inām dūṅgā, nīz tumhārī ḳhās izzat karūṅga. Ab shurū karo! Mujhe wuh kuchh batāo aur us kī tābīr karo jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā.”
7 Ek bār phir unhoṅ ne minnat kī, “Bādshāh apne ḳhādimoṅ ke sāmne apnā ḳhāb batāeṅ to ham zarūr us kī tābīr kareṅge.”
8 Bādshāh ne jawāb diyā, “Mujhe sāf patā hai ki tum kyā kar rahe ho! Tum sirf ṭāl-maṭol kar rahe ho, kyoṅki tum samajh gae ho ki merā irādā pakkā hai. 9 Agar tum mujhe ḳhāb na batāo to tum sab ko ek hī sazā dī jāegī. Kyoṅki tum sab jhūṭ aur ġhalat bāteṅ pesh karne par muttafiq ho gae ho, yih ummīd rakhte hue ki hālāt kisī waqt badal jāeṅge. Mujhe ḳhāb batāo to mujhe patā chal jāegā ki tum mujhe us kī sahīh tābīr pesh kar sakte ho.”
10 Nujūmiyoṅ ne etarāz kiyā, “Duniyā meṅ koī bhī insān wuh kuchh nahīṅ kar pātā jo bādshāh māṅgte haiṅ. Yih kabhī huā bhī nahīṅ ki kisī bādshāh ne aisī bāt kisī qismat kā hāl batāne wāle, jādūgar yā najūmī se talab kī, ḳhāh bādshāh kitnā azīm kyoṅ na thā. 11 Jis chīz kā taqāzā bādshāh karte haiṅ wuh had se zyādā mushkil hai. Sirf dewatā hī yih bāt bādshāh par zāhir kar sakte haiṅ, lekin wuh to insān ke darmiyān rahte nahīṅ.”
12 Yih sun kar bādshāh āg-bagūlā ho gayā. Baṛe ġhusse meṅ us ne hukm diyā ki Bābal ke tamām dānishmandoṅ ko sazā-e-maut dī jāe. 13 Farmān sādir huā ki dānishmandoṅ ko mār ḍālnā hai. Chunāṅche Dānyāl aur us ke dostoṅ ko bhī talāsh kiyā gayā tāki unheṅ sazā-e-maut deṅ.
14 Shāhī muhāfizoṅ kā afsar banām Aryūk abhī dānishmandoṅ ko mār ḍālne ke lie rawānā huā ki Dānyāl baṛī hikmat aur mauqāshanāsī se us se muḳhātib huā. 15 Us ne afsar se pūchhā, “Bādshāh ne itnā saḳht farmān kyoṅ jārī kiyā?” Aryūk ne Dānyāl ko sārā muāmalā bayān kiyā. 16 Dānyāl fauran bādshāh ke pās gayā aur us se darḳhāst kī, “Zarā mujhe kuchh muhlat dījie tāki maiṅ bādshāh ke ḳhāb kī tābīr kar sakūṅ.” 17 Phir wuh apne ghar wāpas gayā aur apne dostoṅ Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh ko tamām sūrat-e-hāl sunāī. 18 Wuh bolā, “Āsmān ke Ḳhudā se iltijā kareṅ ki wuh mujh par rahm kare. Minnat kareṅ ki wuh mere lie bhed khole tāki ham dīgar dānishmandoṅ ke sāth halāk na ho jāeṅ.”
19 Rāt ke waqt Dānyāl ne royā dekhī jis meṅ us ke lie bhed kholā gayā. Tab us ne āsmān ke Ḳhudā kī hamd-o-sanā kī,
20 “Allāh ke nām kī tamjīd azal se abad tak ho. Wuhī hikmat aur quwwat kā mālik hai. 21 Wuhī auqāt aur zamāne badalne detā hai. Wuhī bādshāhoṅ ko taḳht par biṭhā detā aur unheṅ taḳht par se utār detā hai. Wuhī dānishmandoṅ ko dānāī aur samajhdāroṅ ko samajh atā kartā hai. 22 Wuhī gahrī aur poshīdā bāteṅ zāhir kartā hai. Jo kuchh andhere meṅ chhupā rahtā hai us kā ilm wuh rakhtā hai, kyoṅki wuh raushnī se ghirā rahtā hai. 23 Ai mere bāpdādā ke Ḳhudā, maiṅ terī hamd-o-sanā kartā hūṅ! Tū ne mujhe hikmat aur tāqat atā kī hai. Jo bāt ham ne tujh se māṅgī wuh tū ne ham par zāhir kī, kyoṅki tū ne ham par bādshāh kā ḳhāb zāhir kiyā hai.”
24 Phir Dānyāl Aryūk ke pās gayā jise bādshāh ne Bābal ke dānishmandoṅ ko sazā-e-maut dene kī zimmedārī dī thī. Us ne us se darḳhāst kī, “Bābal ke dānishmandoṅ ko maut ke ghāṭ na utāreṅ, kyoṅki maiṅ bādshāh ke ḳhāb kī tābīr kar saktā hūṅ. Mujhe bādshāh ke huzūr pahuṅchā deṅ to maiṅ unheṅ sab kuchh batā dūṅgā.”
25 Yih sun kar Aryūk bhāg kar Dānyāl ko bādshāh ke huzūr le gayā. Wuh bolā, “Mujhe Yahūdāh ke jilāwatanoṅ meṅ se ek ādmī mil gayā jo bādshāh ko ḳhāb kā matlab batā saktā hai.” 26 Tab Nabūkadnazzar ne Dānyāl se jo Beltashazzar kahlātā thā pūchhā, “Kyā tum mujhe wuh kuchh batā sakte ho jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā? Kyā tum us kī tābīr kar sakte ho?”
27 Dānyāl ne jawāb diyā, “Jo bhed bādshāh jānanā chāhte haiṅ use kholne kī kunjī kisī bhī dānishmand, jādūgar, qismat kā hāl batāne wāle yā ġhaibdān ke pās nahīṅ hotī. 28 Lekin āsmān par ek Ḳhudā hai jo bhedoṅ kā matlab insān par zāhir kar detā hai. Usī ne Nabūkadnazzar Bādshāh ko dikhāyā ki āne wāle dinoṅ meṅ kyā kuchh pesh āegā. Sote waqt āp ne ḳhāb meṅ royā dekhī. 29 Ai bādshāh, jab āp palang par leṭe hue the to āp ke zahan meṅ āne wāle dinoṅ ke bāre meṅ ḳhayālāt ubhar āe. Tab bhedoṅ ko kholne wāle Ḳhudā ne āp par zāhir kiyā ki āne wāle dinoṅ meṅ kyā kuchh pesh āegā. 30 Is bhed kā matlab mujh par zāhir huā hai, lekin is lie nahīṅ ki mujhe dīgar tamām dānishmandoṅ se zyādā hikmat hāsil hai balki is lie ki āp ko bhed kā matlab mālūm ho jāe aur āp samajh sakeṅ ki āp ke zahan meṅ kyā kuchh ubhar āyā hai.
31 Ai bādshāh, royā meṅ āp ne apne sāmne ek baṛā aur lambā-taṛangā mujassamā dekhā jo tezī se chamak rahā thā. Shakl-o-sūrat aisī thī ki insān ke roṅgṭe khaṛe ho jāte the. 32 Sar ḳhālis sone kā thā jabki Sīnā aur bāzū chāṅdī ke, peṭ aur rān pītal kī 33 aur pinḍliyāṅ lohe kī thīṅ. Us ke pāṅwoṅ kā ādhā hissā lohā aur ādhā hissā pakī huī miṭṭī thā. 34 Āp is manzar par ġhaur hī kar rahe the ki achānak kisī pahāṛī ḍhalān se patthar kā baṛā ṭukṛā alag huā. Yih baġhair kisī insānī hāth ke huā. Patthar ne dhaṛām se mujassame ke lohe aur miṭṭī ke pāṅwoṅ par gir kar donoṅ ko chūr chūr kar diyā. 35 Natīje meṅ pūrā mujassamā pāsh pāsh ho gayā. Jitnā bhī lohā, miṭṭī, pītal, chāṅdī aur sonā thā wuh us bhūse kī mānind ban gayā jo gāhte waqt bāqī rah jātā hai. Hawā ne sab kuchh yoṅ uṛā diyā ki in chīzoṅ kā nām-o-nishān tak na rahā. Lekin jis patthar ne mujassame ko girā diyā wuh zabardast pahāṛ ban kar itnā baṛh gayā ki pūrī duniyā us se bhar gaī.
36 Yihī bādshāh kā ḳhāb thā. Ab ham bādshāh ko ḳhāb kā matlab batāte haiṅ. 37 Ai bādshāh, āp shahanshāh haiṅ. Āsmān ke Ḳhudā ne āp ko saltanat, quwwat, tāqat aur izzat se nawāzā hai. 38 Us ne insān ko janglī jānwaroṅ aur parindoṅ samet āp hī ke hawāle kar diyā hai. Jahāṅ bhī wuh baste haiṅ us ne āp ko hī un par muqarrar kiyā hai. Āp hī mazkūrā sone kā sar haiṅ. 39 Āp ke bād ek aur saltanat qāym ho jāegī, lekin us kī tāqat āp kī saltanat se kam hogī. Phir pītal kī ek tīsrī saltanat wujūd meṅ āegī jo pūrī duniyā par hukūmat karegī. 40 Āḳhir meṅ ek chauthī saltanat āegī jo lohe jaisī tāqatwar hogī. Jis tarah lohā sab kuchh toṛ kar pāsh pāsh kar detā hai usī tarah wuh dīgar sab ko toṛ kar pāsh pāsh karegī. 41 Āp ne dekhā ki mujassame ke pāṅwoṅ aur ungliyoṅ meṅ kuchh lohā aur kuchh pakī huī miṭṭī thī. Is kā matlab hai, is saltanat ke do alag hisse hoṅge. Lekin jis tarah ḳhāb meṅ miṭṭī ke sāth lohā milāyā gayā thā usī tarah chauthī saltanat meṅ lohe kī kuchh na kuchh tāqat hogī. 42 Ḳhāb meṅ pāṅwoṅ kī ungliyoṅ meṅ kuchh lohā bhī thā aur kuchh miṭṭī bhī. Is kā matlab hai, chauthī saltanat kā ek hissā tāqatwar aur dūsrā nāzuk hogā. 43 Lohe aur miṭṭī kī milāwaṭ kā matlab hai ki go log āpas meṅ shādī karne se ek dūsre ke sāth muttahid hone kī koshish kareṅge to bhī wuh ek dūsre se paiwast nahīṅ raheṅge, bilkul usī tarah jis tarah lohā miṭṭī ke sāth paiwast nahīṅ rah saktā.
44 Jab yih bādshāh hukūmat kareṅge, unhīṅ dinoṅ meṅ āsmān kā Ḳhudā ek bādshāhī qāym karegā jo na kabhī tabāh hogī, na kisī dūsrī qaum ke hāth meṅ āegī. Yih bādshāhī in dīgar tamām saltanatoṅ ko pāsh pāsh karke ḳhatm karegī, lekin ḳhud abad tak qāym rahegī. 45 Yihī ḳhāb meṅ us patthar kā matlab hai jis ne baġhair kisī insānī hāth ke pahāṛī ḍhalān se alag ho kar mujassame ke lohe, pītal, miṭṭī, chāṅdī aur sone ko pāsh pāsh kar diyā. Is tarīqe se azīm Ḳhudā ne bādshāh par zāhir kiyā hai ki mustaqbil meṅ kyā kuchh pesh āegā. Yih ḳhāb qābil-e-etamād aur us kī tābīr sahīh hai.”
46 Yih sun kar Nabūkadnazzar Bādshāh ne aundhe muṅh ho kar Dānyāl ko sijdā kiyā aur hukm diyā ki Dānyāl ko ġhallā aur baḳhūr kī qurbāniyāṅ pesh kī jāeṅ. 47 Dānyāl se us ne kahā, “Yaqīnan, tumhārā Ḳhudā ḳhudāoṅ kā Ḳhudā aur bādshāhoṅ kā Mālik hai. Wuh wāqaī bhedoṅ ko kholtā hai, warnā tum yih bhed mere lie khol na pāte.” 48 Nabūkadnazzar ne Dānyāl ko baṛā ohdā aur muta'addid beshqīmat tohfe die. Us ne use pūre sūbā Bābal kā gawarnar banā diyā. Sāth sāth Dānyāl Bābal ke tamām dānishmandoṅ par muqarrar huā. 49 Us kī guzārish par bādshāh ne Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ko sūbā Bābal kī intazāmiyā par muqarrar kiyā. Dānyāl ḳhud shāhī darbār meṅ hāzir rahtā thā.