31
Yashua ko Mūsā kī Jagah Muqarrar Kiyā Jātā Hai
1 Mūsā ne jā kar tamām Isrāīliyoṅ se mazīd kahā,
2 “Ab maiṅ 120 sāl kā ho chukā hūṅ. Merā chalnā-phirnā mushkil ho gayā hai. Aur waise bhī Rab ne mujhe batāyā hai, ‘Tū Dariyā-e-Yardan ko pār nahīṅ karegā.’ 3 Rab terā Ḳhudā ḳhud tere āge āge jā kar Yardan ko pār karegā. Wuhī tere āge āge in qaumoṅ ko tabāh karegā tāki tū un ke mulk par qabzā kar sake. Dariyā ko pār karte waqt Yashua tere āge chalegā jis tarah Rab ne farmāyā hai. 4 Rab wahāṅ ke logoṅ ko bilkul usī tarah tabāh karegā jis tarah wuh Amoriyoṅ ko un ke bādshāhoṅ Sīhon aur Oj samet tabāh kar chukā hai. 5 Rab tumheṅ un par ġhālib āne degā. Us waqt tumheṅ un ke sāth waisā sulūk karnā hai jaisā maiṅ ne tumheṅ batāyā hai. 6 Mazbūt aur diler ho. Un se ḳhauf na khāo, kyoṅki Rab terā Ḳhudā tere sāth chaltā hai. Wuh tujhe kabhī nahīṅ chhoṛegā, tujhe kabhī tark nahīṅ karegā.”
7 Is ke bād Mūsā ne tamām Isrāīliyoṅ ke sāmne Yashua ko bulāyā aur us se kahā, “Mazbūt aur diler ho, kyoṅki tū is qaum ko us mulk meṅ le jāegā jis kā wādā Rab ne qasam khā kar un ke bāpdādā se kiyā thā. Lāzim hai ki tū hī use taqsīm karke har qabīle ko us kā maurūsī ilāqā de. 8 Rab ḳhud tere āge āge chalte hue tere sāth hogā. Wuh tujhe kabhī nahīṅ chhoṛegā, tujhe kabhī nahīṅ tark karegā. Ḳhauf na khānā, na ghabrānā.”
Har Sāt Sāl ke bād Sharīat kī Tilāwat
9 Mūsā ne yih pūrī sharīat likh kar Isrāīl ke tamām buzurgoṅ aur Lāwī ke qabīle ke un imāmoṅ ke sapurd kī jo safr karte waqt ahd kā sandūq uṭhā kar le chalte the. Us ne un se kahā, 10-11 “Har sāt sāl ke bād is sharīat kī tilāwat karnā, yānī bahālī ke sāl meṅ jab tamām qarz mansūḳh kie jāte haiṅ. Tilāwat us waqt karnā hai jab Isrāīlī Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd ke lie Rab apne Ḳhudā ke sāmne us jagah hāzir hoṅge jo wuh maqdis ke lie chunegā. 12 Tamām logoṅ ko mardoṅ, auratoṅ, bachchoṅ aur pardesiyoṅ samet wahāṅ jamā karnā tāki wuh sun kar sīkheṅ, Rab tumhāre Ḳhudā kā ḳhauf māneṅ aur ehtiyāt se is sharīat kī bātoṅ par amal kareṅ. 13 Lāzim hai ki un kī aulād jo is sharīat se nāwāqif hai ise sune aur sīkhe tāki umr-bhar us mulk meṅ Rab tumhāre Ḳhudā kā ḳhauf māne jis par tum Dariyā-e-Yardan ko pār karke qabzā karoge.”
Rab Mūsā ko Āḳhirī Hidāyāt Detā Hai
14 Rab ne Mūsā se kahā, “Ab terī maut qarīb hai. Yashua ko bulā kar us ke sāth mulāqāt ke ḳhaime meṅ hāzir ho jā. Wahāṅ maiṅ use us kī zimmedāriyāṅ sauṅpūṅgā.”
Mūsā aur Yashua ā kar ḳhaime meṅ hāzir hue 15 to Rab ḳhaime ke darwāze par bādal ke satūn meṅ zāhir huā. 16 Us ne Mūsā se kahā, “Tū jald hī mar kar apne bāpdādā se jā milegā. Lekin yih qaum mulk meṅ dāḳhil hone par zinā karke us ke ajnabī dewatāoṅ kī pairawī karne lag jāegī. Wuh mujhe tark karke wuh ahd toṛ degī jo maiṅ ne un ke sāth bāndhā hai. 17 Phir merā ġhazab un par bhaṛkegā. Maiṅ unheṅ chhoṛ kar apnā chehrā un se chhupā lūṅgā. Tab unheṅ kachchā chabā liyā jāegā aur bahut sārī haibatnāk musībateṅ un par āeṅgī. Us waqt wuh kaheṅge, ‘Kyā yih musībateṅ is wajah se ham par nahīṅ āīṅ ki Rab hamāre sāth nahīṅ hai?’ 18 Aur aisā hī hogā. Maiṅ zarūr apnā chehrā un se chhupāe rakhūṅgā, kyoṅki dīgar mābūdoṅ ke pīchhe chalne se unhoṅ ne ek nihāyat sharīr qadam uṭhāyā hogā.
19 Ab zail kā gīt likh kar Isrāīliyoṅ ko yoṅ sikhāo ki wuh zabānī yād rahe aur mere lie un ke ḳhilāf gawāhī diyā kare. 20 Kyoṅki maiṅ unheṅ us mulk meṅ le jā rahā hūṅ jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar un ke bāpdādā se kiyā thā, us mulk meṅ jis meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Wahāṅ itnī ḳhurāk hogī ki un kī bhūk jātī rahegī aur wuh moṭe ho jāeṅge. Lekin phir wuh dīgar mābūdoṅ ke pīchhe lag jāeṅge aur un kī ḳhidmat kareṅge. Wuh mujhe radd kareṅge aur merā ahd toṛeṅge. 21 Natīje meṅ un par bahut sārī haibatnāk musībateṅ āeṅgī. Phir yih gīt jo un kī aulād ko yād rahegā un ke ḳhilāf gawāhī degā. Kyoṅki go maiṅ unheṅ us mulk meṅ le jā rahā hūṅ jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar un se kiyā thā to bhī maiṅ jāntā hūṅ ki wuh ab tak kis tarah kī soch rakhte haiṅ.”
22 Mūsā ne usī din yih gīt likh kar Isrāīliyoṅ ko sikhāyā.
23 Phir Rab ne Yashua bin Nūn se kahā, “Mazbūt aur diler ho, kyoṅki tū Isrāīliyoṅ ko us mulk meṅ le jāegā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar un se kiyā thā. Maiṅ ḳhud tere sāth hūṅgā.”
24 Jab Mūsā ne pūrī sharīat ko kitāb meṅ likh liyā 25 to wuh un Lāwiyoṅ se muḳhātib huā jo safr karte waqt ahd kā sandūq uṭhā kar le jāte the. 26 “Sharīat kī yih kitāb le kar Rab apne Ḳhudā ke ahd ke sandūq ke pās rakhnā. Wahāṅ wuh paṛī rahe aur tere ḳhilāf gawāhī detī rahe. 27 Kyoṅki maiṅ ḳhūb jāntā hūṅ ki tū kitnā sarkash aur haṭdharm hai. Merī maujūdagī meṅ bhī tum ne kitnī dafā Rab se sarkashī kī. To phir mere marne ke bād tum kyā kuchh nahīṅ karoge! 28 Ab mere sāmne apne qabīloṅ ke tamām buzurgoṅ aur nigahbānoṅ ko jamā karo tāki wuh ḳhud merī yih bāteṅ suneṅ aur āsmān aur zamīn un ke ḳhilāf gawāh hoṅ. 29 Kyoṅki mujhe mālūm hai ki merī maut ke bād tum zarūr bigaṛ jāoge aur us rāste se haṭ jāoge jis par chalne kī maiṅ ne tumheṅ tākīd kī hai. Āḳhirkār tum par musībat āegī, kyoṅki tum wuh kuchh karoge jo Rab ko burā lagtā hai, tum apne hāthoṅ ke kām se use ġhussā dilāoge.”
30 Phir Mūsā ne Isrāīl kī tamām jamāt ke sāmne yih gīt shurū se le kar āḳhir tak pesh kiyā,