3
Hāmān Yahūdī Qaum ko Halāk Karnā Chāhtā Hai
1 Kuchh der ke bād bādshāh ne Hāmān bin Hammadātā Ajājī ko sarfarāz karke darbār meṅ sab se ālā ohdā diyā. 2 Jab kabhī Hāmān ā maujūd hotā to shāhī sahan ke darwāze ke tamām shāhī afsar muṅh ke bal jhuk jāte, kyoṅki bādshāh ne aisā karne kā hukm diyā thā. Lekin Mardakī aisā nahīṅ kartā thā.
3 Yih dekh kar dīgar shāhī mulāzimoṅ ne us se pūchhā, “Āp bādshāh ke hukm kī ḳhilāfwarzī kyoṅ kar rahe haiṅ?”
4 Us ne jawāb diyā, “Maiṅ to Yahūdī hūṅ.” Roz baroz dūsre use samjhāte rahe, lekin wuh na mānā. Āḳhirkār unhoṅ ne Hāmān ko ittalā dī, kyoṅki wuh deḳhnā chāhte the ki kyā wuh Mardakī kā jawāb qabūl karegā yā nahīṅ.
5 Jab Hāmān ne ḳhud dekhā ki Mardakī mere sāmne muṅh ke bal nahīṅ jhuktā to wuh āg-bagūlā ho gayā. 6 Wuh fauran Mardakī ko qatl karne ke mansūbe banāne lagā. Lekin yih us ke lie kāfī nahīṅ thā. Chūṅki use batāyā gayā thā ki Mardakī Yahūdī hai is lie wuh Fārsī saltanat meṅ rahne wāle tamām Yahūdiyoṅ ko halāk karne kā rāstā ḍhūṅḍne lagā.
7 Chunāṅche Aḳhaswerus Bādshāh kī hukūmat ke 12weṅ sāl ke pahle mahīne Nīsān * Aprail tā Maī. meṅ Hāmān kī maujūdagī meṅ qurā ḍālā gayā. Qurā ḍālne se Hāmān Yahūdiyoṅ ko qatl karne kī sab se mubārak tārīḳh mālūm karnā chāhtā thā. (Qurā ke lie ‘pūr’ kahā jātā thā.) Is tarīqe se 12weṅ mahīne Adār kā 13wāṅ din † 7 Mārch, 473 q m. niklā. 8 Tab Hāmān ne bādshāh se bāt kī, “Āp kī saltanat ke tamām sūboṅ meṅ ek qaum bikhrī huī hai jo apne āp ko dīgar qaumoṅ se alag rakhtī hai. Us ke qawānīn dūsrī tamām qaumoṅ se muḳhtalif haiṅ, aur us ke afrād bādshāh ke qawānīn ko nahīṅ mānte. Munāsib nahīṅ ki bādshāh unheṅ bardāsht kareṅ!
9 Agar bādshāh ko manzūr ho to elān kareṅ ki is qaum ko halāk kar diyā jāe. Tab maiṅ shāhī ḳhazānoṅ meṅ 3,35,000 kilogrām chāṅdī jamā karā dūṅgā.”
10 Bādshāh ne apnī unglī se wuh angūṭhī utārī jo shāhī muhr lagāne ke lie istemāl hotī thī aur use Yahūdiyoṅ ke dushman Hāmān bin Hammadātā Ajājī ko de kar 11 kahā, “Chāṅdī aur qaum āp hī kī haiṅ, us ke sāth wuh kuchh kareṅ jo āp ko achchhā lage.”
12 Pahle mahīne ke 13weṅ din ‡ 17 Aprail. Hāmān ne shāhī muharriroṅ ko bulāyā tāki wuh us kī tamām hidāyāt ke mutābiq ḳhat likh kar bādshāh ke gawarnaroṅ, sūboṅ ke dīgar hākimoṅ aur tamām qaumoṅ ke buzurgoṅ ko bhejeṅ. Yih ḳhat har qaum ke apne tarz-e-tahrīr aur apnī zabān meṅ qalamband hue. Unheṅ bādshāh kā nām le kar likhā gayā, phir shāhī angūṭhī kī muhr un par lagāī gaī. Un meṅ zail kā elān kiyā gayā.
13 “Ek hī din meṅ tamām Yahūdiyoṅ ko halāk aur pūre taur par tabāh karnā hai, ḳhāh chhoṭe hoṅ yā baṛe, bachche hoṅ yā aurateṅ. Sāth sāth un kī milkiyat bhī zabt kar lī jāe.” Is ke lie 12weṅ mahīne Adār kā 13wāṅ din § 7 Mārch. muqarrar kiyā gayā.
Yih elān tezrau qāsidoṅ ke zariye saltanat ke tamām sūboṅ meṅ pahuṅchāyā gayā 14 tāki us kī tasdīq qānūnī taur par kī jāe aur tamām qaumeṅ muqarrarā din ke lie taiyār hoṅ.
15 Bādshāh ke hukm par qāsid chal nikle. Yih elān Sosan ke qile meṅ bhī kiyā gayā. Phir bādshāh aur Hāmān khāne-pīne ke lie baiṭh gae. Lekin pūre shahr meṅ halchal mach gaī.