6
Bādshāh Mardakī kī Izzat Kartā Hai
1 Us rāt bādshāh ko nīnd na āī, is lie us ne hukm diyā ki wuh kitāb lāī jāe jis meṅ rozānā hukūmat ke aham wāqiyāt likhe jāte haiṅ. Us meṅ se paṛhā gayā 2 to is kā bhī zikr huā ki Mardakī ne kis tarah bādshāh ko donoṅ ḳhwājāsarāoṅ Bigtānā aur Tarsh ke hāth se bachāyā thā, ki jab shāhī kamroṅ ke in pahredāroṅ ne Aḳhaswerus ko qatl karne kī sāzish kī to Mardakī ne bādshāh ko ittalā dī thī. 3 Jab yih wāqiyā paṛhā gayā to bādshāh ne pūchhā, “Is ke ewaz Mardakī ko kyā ezāz diyā gayā?” Mulāzimoṅ ne jawāb diyā, “Kuchh bhī nahīṅ diyā gayā.”
4 Usī lamhe Hāmān mahal ke bairūnī sahan meṅ ā pahuṅchā thā tāki bādshāh se Mardakī ko us sūlī se laṭkāne kī ijāzat māṅge jo us ne us ke lie banwāī thī. Bādshāh ne sawāl kiyā, “Bāhar sahan meṅ kaun hai?” 5 Mulāzimoṅ ne jawāb diyā, “Hāmān hai.” Bādshāh ne hukm diyā, “Use andar āne do.”
6 Hāmān dāḳhil huā to bādshāh ne us se pūchhā, “Us ādmī ke lie kyā kiyā jāe jis kī bādshāh ḳhās izzat karnā chāhe?” Hāmān ne sochā, “Wuh merī hī bāt kar rahā hai! Kyoṅki merī nisbat kaun hai jis kī bādshāh zyādā izzat karnā chāhtā hai?” 7 Chunāṅche us ne jawāb diyā, “Jis ādmī kī bādshāh ḳhās izzat karnā chāheṅ 8 us ke lie shāhī libās chunā jāe jo bādshāh ḳhud pahan chuke hoṅ. Ek ghoṛā bhī lāyā jāe jis kā sar shāhī sajāwaṭ se sajā huā ho aur jis par bādshāh ḳhud sawār ho chuke hoṅ. 9 Yih libās aur ghoṛā bādshāh ke ālātarīn afsaroṅ meṅ se ek ke sapurd kiyā jāe. Wuhī us shaḳhs ko jis kī bādshāh ḳhās izzat karnā chāhte haiṅ kapṛe pahnāe aur use ghoṛe par biṭhā kar shahr ke chauk meṅ se guzāre. Sāth sāth wuh us ke āge āge chal kar elān kare, ‘Yihī us ke sāth kiyā jātā hai jis kī izzat bādshāh karnā chāhte haiṅ.’ ”
10 Aḳhaswerus ne Hāmān se kahā, “Phir jaldī kareṅ, Mardakī Yahūdī shāhī sahan ke darwāze ke pās baiṭhā hai. Shāhī libās aur ghoṛā mangwā kar us ke sāth aisā hī sulūk kareṅ. Jo bhī karne kā mashwarā āp ne diyā wuhī kuchh kareṅ, aur dhyān deṅ ki is meṅ kisī bhī chīz kī kamī na ho!”
11 Hāmān ko aisā hī karnā paṛā. Shāhī libās ko chun kar us ne use Mardakī ko pahnā diyā. Phir use bādshāh ke apne ghoṛe par biṭhā kar us ne use shahr ke chauk meṅ se guzārā. Sāth sāth wuh us ke āge āge chal kar elān kartā rahā, “Yihī us shaḳhs ke sāth kiyā jātā hai jis kī izzat bādshāh karnā chāhtā hai.” 12 Phir Mardakī shāhī sahan ke darwāze ke pās wāpas āyā.
Lekin Hāmān udās ho kar jaldī se apne ghar chalā gayā. Sharm ke māre us ne muṅh par kapṛā ḍāl liyā thā. 13 Us ne apnī bīwī Zarish aur apne dostoṅ ko sab kuchh sunāyā jo us ke sāth huā thā. Tab us ke mushīroṅ aur bīwī ne us se kahā, “Āp kā beṛā ġharq ho gayā hai, kyoṅki Mardakī Yahūdī hai aur āp us ke sāmne shikast khāne lage haiṅ. Āp us kā muqābalā nahīṅ kar sakeṅge.”
14 Wuh abhī us se bāt kar hī rahe the ki bādshāh ke ḳhwājāsarā pahuṅch gae aur use le kar jaldī jaldī Āstar ke pās pahuṅchāyā. Ziyāfat taiyār thī.