29
Misr ko Sazā Milegī
1 Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke dasweṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Dasweṅ mahīne kā 11wāṅ din * 7 Janwarī. thā. Rab ne farmāyā, 2 “Ai ādamzād, Misr ke bādshāh Firaun kī taraf ruḳh karke us ke aur tamām Misr ke ḳhilāf nabuwwat kar!
3 Use batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Shāh-e-Misr Firaun, maiṅ tujh se nipaṭne ko hūṅ. Beshak tū ek baṛā azhdahā hai jo Dariyā-e-Nīl kī muḳhtalif shāḳhoṅ ke bīch meṅ leṭā huā kahtā hai ki yih dariyā merā hī hai, maiṅ ne ḳhud use banāyā.
4 Lekin maiṅ tere muṅh meṅ kāṅṭe ḍāl kar tujhe dariyā se nikāl lāūṅgā. Mere kahne par terī nadiyoṅ kī tamām machhliyāṅ tere chhilkoṅ ke sāth lag kar tere sāth pakaṛī jāeṅgī. 5 Maiṅ tujhe in tamām machhliyoṅ samet registān meṅ phaiṅk chhoṛūṅgā. Tū khule maidān meṅ gir kar paṛā rahegā. Na koī tujhe ikaṭṭhā karegā, na jamā karegā balki maiṅ tujhe darindoṅ aur parindoṅ ko khilā dūṅgā. 6 Tab Misr ke tamām bāshinde jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Tū Isrāīl ke lie sarkanḍe kī kachchī chhaṛī sābit huā hai. 7 Jab unhoṅ ne tujhe pakaṛne kī koshish kī to tū ne ṭukṛe ṭukṛe ho kar un ke kandhe ko zaḳhmī kar diyā. Jab unhoṅ ne apnā pūrā wazn tujh par ḍālā to tū ṭūṭ gayā, aur un kī kamr ḍāṅwāṅḍol ho gaī. 8 Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tere ḳhilāf talwār bhejūṅgā jo mulk meṅ se insān-o-haiwān miṭā ḍālegī. 9 Mulk-e-Misr wīrān-o-sunsān ho jāegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Chūṅki tū ne dāwā kiyā, “Dariyā-e-Nīl merā hī hai, maiṅ ne ḳhud use banāyā” 10 is lie maiṅ tujh se aur terī nadiyoṅ se nipaṭ lūṅgā. Misr meṅ har taraf khanḍarāt nazar āeṅge. Shimāl meṅ Mijdāl se le kar junūbī shahr Aswān balki Ethopiyā kī sarhad tak maiṅ Misr ko wīrān-o-sunsān kar dūṅgā. 11 Na insān aur na haiwān kā pāṅw us meṅ se guzaregā. Chālīs sāl tak us meṅ koī nahīṅ basegā. 12 Irdgird ke dīgar tamām mamālik kī tarah maiṅ Misr ko bhī ujāṛūṅgā, irdgird ke dīgar tamām shahroṅ kī tarah maiṅ Misr ke shahr bhī malbe ke ḍher banā dūṅgā. Chālīs sāl tak un kī yihī hālat rahegī. Sāth sāth maiṅ Misriyoṅ ko muḳhtalif aqwām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā.
13 Lekin Rab Qādir-e-mutlaq yih bhī farmātā hai ki chālīs sāl ke bād maiṅ Misriyoṅ ko un mamālik se nikāl kar jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne unheṅ muntashir kar diyā thā. 14 Maiṅ Misr ko bahāl karke unheṅ un ke ābāī watan yānī junūbī Misr meṅ wāpas lāūṅgā. Wahāṅ wuh ek ġhairaham saltanat qāym kareṅge 15 jo bāqī mamālik kī nisbat chhoṭī hogī. Āindā wuh dīgar qaumoṅ par apnā rob nahīṅ ḍāleṅge. Maiṅ ḳhud dhyān dūṅgā ki wuh āindā itne kamzor raheṅ ki dīgar qaumoṅ par hukūmat na kar sakeṅ. 16 Āindā Isrāīl na Misr par bharosā karne aur na us se lipaṭ jāne kī āzmāish meṅ paṛegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.’ ”
Shāh-e-Bābal ko Misr Milegā
17 Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke 27weṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Pahle mahīne kā pahlā din † 26 Aprail. thā. Us ne farmāyā, 18 “Ai ādamzād, jab Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ne Sūr kā muhāsarā kiyā to us kī fauj ko saḳht mehnat karnī paṛī. Har sar ganjā huā, har kandhe kī jild chhil gaī. Lekin na use aur na us kī fauj ko mehnat kā munāsib ajr milā.
19 Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ko Misr de dūṅgā. Us kī daulat ko wuh uṭhā kar le jāegā. Apnī fauj ko paise dene ke lie wuh Misr ko lūṭ legā. 20 Chūṅki Nabūkadnazzar aur us kī fauj ne mere lie ḳhūb mehnat-mashaqqat kī is lie maiṅ ne use muāwaze ke taur par Misr de diyā hai. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
21 Jab yih kuchh pesh āegā to maiṅ Isrāīl ko naī tāqat dūṅgā. Ai Hizqiyel, us waqt maiṅ terā muṅh khol dūṅgā, aur tū dubārā un ke darmiyān bolegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”