35
Adom Registān Banegā
1 Rab mujh se hamkalām huā, 2 “Ai ādamzād, Saīr ke pahāṛī ilāqe kī taraf ruḳh karke us ke ḳhilāf nabuwwat kar! 3 Use batā,
‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Saīr ke pahāṛī ilāqe, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. Maiṅ apnā hāth tere ḳhilāf uṭhā kar tujhe wīrān-o-sunsān kar dūṅgā. 4 Maiṅ tere shahroṅ ko malbe ke ḍher banā dūṅgā, aur tū sarāsar ujaṛ jāegā. Tab tū jān legā ki maiṅ hī Rab hūṅ.
5 Tū hameshā Isrāīliyoṅ kā saḳht dushman rahā hai, aur jab un par āfat āī aur un kī sazā urūj tak pahuṅchī to tū bhī talwār le kar un par ṭūṭ paṛā. 6 Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ tujhe qatl-o-ġhārat ke hawāle karūṅga, aur qatl-o-ġhārat terā tāqqub kartī rahegī. Chūṅki tū ne qatl-o-ġhārat karne se nafrat na kī, is lie qatl-o-ġhārat tere pīchhe paṛī rahegī. 7 Maiṅ Saīr ke pahāṛī ilāqe ko wīrān-o-sunsān karke wahāṅ ke tamām āne jāne wāloṅ ko miṭā ḍālūṅgā. 8 Tere pahāṛī ilāqe ko maiṅ maqtūloṅ se bhar dūṅgā. Talwār kī zad meṅ āne wāle har taraf paṛe raheṅge. Terī pahāṛiyoṅ, wādiyoṅ aur tamām ghāṭiyoṅ meṅ lāsheṅ nazar āeṅgī. 9 Mere hukm par tū abad tak wīrān rahegā, aur tere shahr ġhairābād raheṅge. Tab tū jān legā ki maiṅ hī Rab hūṅ.
10 Tū bolā, “Isrāīl aur Yahūdāh kī donoṅ qaumeṅ apne ilāqoṅ samet merī hī haiṅ! Āo ham un par qabzā kareṅ.” Tujhe ḳhayāl tak nahīṅ āyā ki Rab wahāṅ maujūd hai. 11 Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ tujh se wuhī sulūk karūṅga jo tū ne un se kiyā jab tū ne ġhusse aur hasad ke ālam meṅ un par apnī pūrī nafrat kā izhār kiyā. Lekin unhīṅ par maiṅ apne āp ko zāhir karūṅga jab maiṅ terī adālat karūṅga. 12 Us waqt tū jān legā ki maiṅ, Rab ne wuh tamām kufr sun liyā hai jo tū ne Isrāīl ke pahāṛoṅ ke ḳhilāf bakā hai. Kyoṅki tū ne kahā, “Yih ujaṛ gae haiṅ, ab yih hamāre qabze meṅ ā gae haiṅ aur ham unheṅ khā sakte haiṅ.” 13 Tū ne sheḳhī mār mār kar mere ḳhilāf kufr bakā hai, lekin ḳhabardār! Maiṅ ne in tamām bātoṅ par tawajjuh dī hai. 14 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū ne ḳhushī manāī ki pūrā mulk wīrān-o-sunsān hai, lekin maiṅ tujhe bhī utnā hī wīrān kar dūṅgā. 15 Tū kitnā ḳhush huā jab Isrāīl kī maurūsī zamīn ujaṛ gaī! Ab maiṅ tere sāth bhī aisā hī karūṅga. Ai Saīr ke pahāṛī ilāqe, tū pūre Adom samet wīrān-o-sunsān ho jāegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’