6
Ek Dūsre ke Bojh Uṭhānā
1 Bhāiyo, agar koī kisī gunāh meṅ phaṅs jāe to āp jo ruhānī haiṅ use narmdilī se bahāl kareṅ. Lekin apnā bhī ḳhayāl rakheṅ, aisā na ho ki āp bhī āzmāish meṅ phaṅs jāeṅ. 2 Bojh uṭhāne meṅ ek dūsre kī madad kareṅ, kyoṅki is tarah āp Masīh kī sharīat pūrī kareṅge. 3 Jo samajhtā hai ki maiṅ kuchh hūṅ agarche wuh haqīqat meṅ kuchh bhī nahīṅ hai to wuh apne āp ko fareb de rahā hai. 4 Har ek apnā zātī amal parkhe. Phir hī use apne āp par faḳhr kā mauqā hogā aur use kisī dūsre se apnā muwāzanā karne kī zarūrat na hogī. 5 Kyoṅki har ek ko apnā zātī bojh uṭhānā hotā hai.
6 Jise kalām-e-muqaddas kī tālīm dī jātī hai us kā farz hai ki wuh apne ustād ko apnī tamām achchhī chīzoṅ meṅ sharīk kare.
7 Fareb mat khānā, Allāh insān ko apnā mazāq uṛāne nahīṅ detā. Jo kuchh bhī insān botā hai usī kī fasal wuh kāṭegā. 8 Jo apnī purānī fitrat ke khet meṅ bīj boe wuh halākat kī fasal kāṭegā. Aur jo Rūhul-quds ke khet meṅ bīj boe wuh abadī zindagī kī fasal kāṭegā. 9 Chunāṅche ham nek kām karne meṅ bedil na ho jāeṅ, kyoṅki ham muqarrarā waqt par zarūr fasal kī kaṭāī kareṅge. Shart sirf yih hai ki ham hathiyār na ḍāleṅ. 10 Is lie āeṅ, jitnā waqt rah gayā hai sab ke sāth nekī kareṅ, ḳhāskar un ke sāth jo īmān meṅ hamāre bhāī aur bahneṅ haiṅ.
Āḳhirī Āgāhī aur Salām
11 Dekheṅ, maiṅ baṛe baṛe hurūf ke sāth apne hāth se āp ko likh rahā hūṅ. 12 Yih log jo duniyā ke sāmne izzat hāsil karnā chāhte haiṅ āp ko ḳhatnā karwāne par majbūr karnā chāhte haiṅ. Maqsad un kā sirf ek hī hai, ki wuh us īzārasānī se bache raheṅ jo tab paidā hotī hai jab ham Masīh kī salībī maut kī tālīm dete haiṅ. 13 Bāt yih hai ki jo apnā ḳhatnā karāte haiṅ wuh ḳhud sharīat kī pairawī nahīṅ karte. To bhī yih chāhte haiṅ ki āp apnā ḳhatnā karwāeṅ tāki āp ke jism kī hālat par wuh faḳhr kar sakeṅ. 14 Lekin Ḳhudā kare ki maiṅ sirf hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī salīb hī par faḳhr karūṅ. Kyoṅki us kī salīb se duniyā mere lie maslūb huī hai aur maiṅ duniyā ke lie. 15 Ḳhatnā karwāne yā na karwāne se koī farq nahīṅ paṛtā balki farq us waqt paṛtā hai jab Allāh kisī ko nae sire se ḳhalaq kartā hai. 16 Jo bhī is usūl par amal karte haiṅ unheṅ salāmatī aur rahm hāsil hotā rahe, unheṅ bhī aur Allāh kī qaum Isrāīl ko bhī.
17 Āindā koī mujhe taklīf na de, kyoṅki mere jism par zaḳhmoṅ ke nishān zāhir karte haiṅ ki maiṅ Īsā kā ġhulām hūṅ.
18 Bhāiyo, hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kā fazl āp kī rūh ke sāth hotā rahe. Āmīn.