25
Ibrāhīm kī Mazīd Aulād
1 Ibrāhīm ne ek aur shādī kī. Naī bīwī kā nām Qatūrā thā. 2 Qatūrā ke chhih beṭe paidā hue, Zimrān, Yuqsān, Midān, Midiyān, Isbāq aur Sūḳh. 3 Yuqsān ke do beṭe the, Sabā aur Dadān. Asūrī, Latūsī aur Lūmī Dadān kī aulād haiṅ. 4 Midiyān ke beṭe Aifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda'ā the. Yih sab Qatūrā kī aulād the.
5 Ibrāhīm ne apnī sārī milkiyat Is'hāq ko de dī. 6 Apnī maut se pahle us ne apnī dūsrī bīwiyoṅ ke beṭoṅ ko tohfe de kar apne beṭe se dūr mashriq kī taraf bhej diyā.
Ibrāhīm kī Wafāt
7-8 Ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut huā. Ġharz wuh bahut umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar intaqāl karke apne bāpdādā se jā milā. 9-10 Us ke beṭoṅ Is'hāq aur Ismāīl ne use Makfīlā ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī ġhār thā jise khet samet Hittī ādmī Ifron bin Suhar se ḳharīdā gayā thā. Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā donoṅ ko us meṅ dafn kiyā gayā.
11 Ibrāhīm kī wafāt ke bād Allāh ne Is'hāq ko barkat dī. Us waqt Is'hāq Bair-lahī-roī ke qarīb ābād thā.
Ismāīl kī Aulād
12 Ibrāhīm kā beṭā Ismāīl jo Sārā kī Misrī launḍī Hājirā ke hāṅ paidā huā us kā nasabnāmā yih hai. 13 Ismāīl ke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak yih haiṅ: Nabāyot, Qīdār, Adbiyel, Mibsām, 14 Mishmā, Dūmā, Massā, 15 Hadad, Taimā, Yatūr, Nafīs aur Qidmā.
16 Yih beṭe bārah qabīloṅ ke bānī ban gae. Aur jahāṅ jahāṅ wuh ābād hue un jaghoṅ kā wuhī nām paṛ gayā. 17 Ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūch karke apne bāpdādā se jā milā. 18 Us kī aulād us ilāqe meṅ ābād thī jo Hawīlā aur Shūr ke darmiyān hai aur jo Misr ke mashriq meṅ Asūr kī taraf hai. Yoṅ Ismāīl apne tamām bhāiyoṅ ke sāmne hī ābād huā.
Esau aur Yāqūb kī Paidāish
19 Yih Ibrāhīm ke beṭe Is'hāq kā bayān hai.
20 Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribqā se shādī huī. Ribqā Lāban kī bahan aur Arāmī mard Batuel kī beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.) 21 Ribqā ke bachche paidā na hue. Lekin Is'hāq ne apnī bīwī ke lie duā kī to Rab ne us kī sunī, aur Ribqā ummīd se huī. 22 Us ke peṭ meṅ bachche ek dūsre se zorāzmāī karne lage to wuh Rab se pūchhne gaī, “Agar yih merī hālat rahegī to phir maiṅ yahāṅ tak kyoṅ pahuṅch gaī hūṅ?” 23 Rab ne us se kahā, “Tere andar do qaumeṅ haiṅ. Wuh tujh se nikal kar ek dūsrī se alag alag ho jāeṅgī. Un meṅ se ek zyādā tāqatwar hogī, aur baṛā chhoṭe kī ḳhidmat karegā.”
24 Paidāish kā waqt ā gayā to juṛwāṅ beṭe paidā hue. 25 Pahlā bachchā niklā to surḳh-sā thā, aur aisā lag rahā thā ki wuh ghane bāloṅ kā koṭ hī pahne hue hai. Is lie us kā nām Esau yānī ‘Bāloṅ Wālā’ rakhā gayā. 26 Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā.
27 Laṛke jawān hue. Esau māhir shikārī ban gayā aur khule maidān meṅ ḳhush rahtā thā. Us ke muqābale meṅ Yāqūb shāystā thā aur ḍere meṅ rahnā pasand kartā thā. 28 Is'hāq Esau ko pyār kartā thā, kyoṅki wuh shikār kā gosht pasand kartā thā. Lekin Ribqā Yāqūb ko pyār kartī thī.
29 Ek din Yāqūb sālan pakā rahā thā ki Esau thakāhārā jangal se āyā. 30 Us ne kahā, “Mujhe jaldī se lāl sālan, hāṅ isī lāl sālan se kuchh khāne ko do. Maiṅ to bedam ho rahā hūṅ.” (Isī lie bād meṅ us kā nām Adom yānī Surḳh paṛ gayā.) 31 Yāqūb ne kahā, “Pahle mujhe pahlauṭhe kā haq bech do.” 32 Esau ne kahā, “Maiṅ to bhūk se mar rahā hūṅ, pahlauṭhe kā haq mere kis kām kā?” 33 Yāqūb ne kahā, “Pahle qasam khā kar mujhe yih haq bech do.” Esau ne qasam khā kar use pahlauṭhe kā haq muntaqil kar diyā.
34 Tab Yāqūb ne use kuchh roṭī aur dāl de dī, aur Esau ne khāyā aur piyā. Phir wuh uṭh kar chalā gayā. Yoṅ us ne pahlauṭhe ke haq ko haqīr jānā.