7
Allāh Āḳhaz ko Tasallī Detā Hai
1 Jab Āḳhaz bin Yūtām bin Uzziyāh, Yahūdāh kā bādshāh thā to Shām kā bādshāh Razīn aur Isrāīl kā bādshāh Fiqah bin Ramaliyāh Yarūshalam ke sāth laṛne ke lie nikle. Lekin wuh shahr par qabzā karne meṅ nākām rahe. 2 Jab Dāūd ke shāhī gharāne ko ittalā milī ki Shām kī fauj ne Ifrāīm ke ilāqe meṅ apnī lashkargāh lagāī hai to Āḳhaz Bādshāh aur us kī qaum laraz uṭhe. Un ke dil āṅdhī ke jhoṅkoṅ se hilne wāle daraḳhtoṅ kī tarah thartharāne lage.
3 Tab Rab Yasāyāh se hamkalām huā, “Apne beṭe Shayār-yāshūb * Shayār-yāshūb se murād hai ‘Ek Bachā-khuchā Hissā Wāpas Āegā.’ ko apne sāth le kar Āḳhaz Bādshāh se milne ke lie nikal jā. Wuh us nāle ke sire ke pās rukā huā hai jo pānī ko ūpar wāle tālāb tak pahuṅchātā hai. (Yih tālāb us rāste par hai jo Dhobiyoṅ ke Ghāṭ tak le jātā hai.) 4 Use batā ki muhtāt rah kar sukūn kā dāman mat chhoṛ. Mat ḍar. Terā dil Razīn, Shām aur bin Ramaliyāh kā taish dekh kar himmat na hāre. Yih bas jalī huī lakaṛī ke do bache hue ṭukṛe haiṅ jo ab tak kuchh dhuāṅ chhoṛ rahe haiṅ. 5 Beshak Shām aur Isrāīl ke bādshāhoṅ ne tere ḳhilāf bure mansūbe bāndhe haiṅ, aur wuh kahte haiṅ, 6 ‘Āo ham Yahūdāh par hamlā kareṅ. Ham wahāṅ dahshat phailā kar us par fatah pāeṅ aur phir Tābiyel ke beṭe ko us kā bādshāh banāeṅ.’ 7 Lekin Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki un kā mansūbā nākām ho jāegā. Bāt nahīṅ banegī! 8 Kyoṅki Shām kā sar Damishq aur Damishq kā sar mahz Razīn hai. Jahāṅ tak Mulk-e-Isrāīl kā tālluq hai, 65 sāl ke andar andar wuh chaknāchūr ho jāegā, aur qaum nest-o-nābūd ho jāegī. 9 Isrāīl kā sar Sāmariya aur Sāmariya kā sar mahz Ramaliyāh kā beṭā hai.
Agar īmān meṅ qāym na raho, to ḳhud qāym nahīṅ rahoge.”
Rab Āḳhaz ko Nishān Detā Hai
10 Rab Āḳhaz Bādshāh se ek bār phir hamkalām huā, 11 “Is kī tasdīq ke lie Rab apne Ḳhudā se koī ilāhī nishān māṅg le, ḳhāh āsmān par ho yā Pātāl meṅ.”
12 Lekin Āḳhaz ne inkār kiyā, “Nahīṅ, maiṅ nishān māṅg kar Rab ko nahīṅ āzmāūṅgā.”
13 Tab Yasāyāh ne kahā, “Phir merī bāt suno, ai Dāūd ke ḳhāndān! Kyā yih kāfī nahīṅ ki tum insān ko thakā do? Kyā lāzim hai ki Allāh ko bhī thakāne par musir raho? 14 Chalo, phir Rab apnī hī taraf se tumheṅ nishān degā. Nishān yih hogā ki kuṅwārī ummīd se ho jāegī. Jab beṭā paidā hogā to us kā nām Immānuel † Immānuel se murād hai ‘Allāh Hamāre Sāth Hai.’ rakhegī. 15 Jis waqt bachchā itnā baṛā hogā ki ġhalat kām radd karne aur achchhā kām chunane kā ilm rakhegā us waqt se bālāī aur shahd khāegā. 16 Kyoṅki is se pahle ki laṛkā ġhalat kām radd karne aur achchhā kām chunane kā ilm rakhe wuh mulk wīrān-o-sunsān ho jāegā jis ke donoṅ bādshāhoṅ se tū dahshat khātā hai.
Yahūdāh Bhī Tabāh Ho Jāegā
17 Rab tujhe bhī tere ābāī ḳhāndān aur qaum samet baṛī musībat meṅ ḍālegā. Kyoṅki wuh Asūr ke bādshāh ko tumhāre ḳhilāf bhejegā. Us waqt tumheṅ aise mushkil dinoṅ kā sāmnā karnā paṛegā ki Isrāīl ke Yahūdāh se alag ho jāne se le kar āj tak nahīṅ guzare.”
18 Us din Rab sīṭī bajā kar dushman ko bulāegā. Kuchh makkhiyoṅ ke ġhol kī tarah Dariyā-e-Nīl kī dūr-darāz shāḳhoṅ se āeṅge, aur kuchh shahd kī makkhiyoṅ kī tarah Asūr se rawānā ho kar mulk par dhāwā bol deṅge. 19 Har jagah wuh ṭik jāeṅge, gahrī ghāṭiyoṅ aur chaṭānoṅ kī darāṛoṅ meṅ, tamām kāṅṭedār jhāṛiyoṅ meṅ aur har johaṛ ke pās. 20 Us din Qādir-e-mutlaq Dariyā-e-Furāt ke parlī taraf ek ustrā kirāe par le kar tum par chalāegā. Yānī Asūr ke bādshāh ke zariye wuh tumhāre sar aur ṭāṅgoṅ ko munḍwāegā. Hāṅ, wuh tumhārī dāṛhī-mūṅchh kā bhī safāyā karegā.
21 Us din jo ādmī ek jawān gāy aur do bheṛ-bakriyāṅ rakh sake wuh ḳhushqismat hogā. 22 To bhī wuh itnā dūdh deṅgī ki wuh bālāī khātā rahegā. Hāṅ, jo bhī mulk meṅ bāqī rah gayā hogā wuh bālāī aur shahd khāegā.
23 Us din jahāṅ jahāṅ hāl meṅ angūr ke hazār paude chāṅdī ke hazār sikkoṅ ke lie bikte haiṅ wahāṅ kāṅṭedār jhāṛiyāṅ aur ūṅṭkaṭāre hī ugeṅge. 24 Pūrā mulk kāṅṭedār jhāṛiyoṅ aur ūṅṭkaṭāroṅ ke sabab se itnā janglī hogā ki log tīr aur kamān le kar us meṅ shikār khelne ke lie jāeṅge. 25 Jin bulandiyoṅ par is waqt khetībāṛī kī jātī hai wahāṅ log kāṅṭedār paudoṅ aur ūṅṭkaṭāroṅ kī wajah se jā nahīṅ sakeṅge. Gāy-bail un par chareṅge, aur bheṛ-bakriyāṅ sab kuchh pāṅwoṅ tale raundeṅgī.