23
Sūr aur Saidā kī Tabāhī
1 Sūr ke bāre meṅ Allāh kā farmān:
Ai Tarsīs ke umdā jahāzo, * ‘Tarsīs kā jahāz’ na sirf Mulk-e-Tarsīs ke jahāz ke lie balki har umdā qism ke tijāratī jahāz ke lie istemāl hotā thā. Dekhie āyat 14. wāwailā karo! Kyoṅki Sūr tabāh ho gayā hai, wahāṅ ṭikne kī jagah tak nahīṅ rahī. Jazīrā-e-Qubrus se wāpas āte waqt unheṅ ittalā dī gaī. 2 Ai sāhilī ilāqe meṅ basne wālo, āh-o-zārī karo! Ai Saidā ke tājiro, mātam karo! Tere qāsid samundar ko pār karte the, 3 wuh gahre pānī par safr karte hue Misr † Ibrānī meṅ ‘Saihūr’ mustāmal hai jo Dariyā-e-Nīl kī ek shāḳh hai. kā ġhallā tujh tak pahuṅchāte the, kyoṅki tū hī Dariyā-e-Nīl kī fasal se nafā kamātā thā. Yoṅ tū tamām qaumoṅ kā tijāratī markaz banā.
4 Lekin ab sharmsār ho, ai Saidā, kyoṅki samundar kā qilāband shahr Sūr kahtā hai, “Hāy, sab kuchh tabāh ho gayā hai. Ab aisā lagtā hai ki maiṅ ne na kabhī dard-e-zah meṅ mubtalā ho kar bachche janm die, na kabhī beṭe-beṭiyāṅ pāle.”
5 Jab yih ḳhabar Misr tak pahuṅchegī to wahāṅ ke bāshinde taṛap uṭheṅge.
6 Chunāṅche samundar ko pār karke Tarsīs tak pahuṅcho! Ai sāhilī ilāqe ke bāshindo, giryā-o-zārī karo! 7 Kyā yih wāqaī tumhārā wuh shahr hai jis kī rangraliyāṅ mashhūr thīṅ, wuh qadīm shahr jis ke pāṅw use dūr-darāz ilāqoṅ tak le gae tāki wahāṅ naī ābādiyāṅ qāym kare? 8 Kis ne Sūr ke ḳhilāf yih mansūbā bāndhā? Yih shahr to pahle bādshāhoṅ ko taḳht par biṭhāyā kartā thā, aur us ke saudāgar ra'īs the, us ke tājir duniyā ke shurafā meṅ gine jāte the. 9 Rabbul-afwāj ne yih mansūbā bāndhā tāki tamām shān-o-shaukat kā ghamanḍ past aur duniyā ke tamām ohdedār zer ho jāeṅ.
10 Ai Tarsīs Beṭī, ab se apnī zamīn kī khetībāṛī kar, un kisānoṅ kī tarah kāshtkārī kar jo Dariyā-e-Nīl ke kināre apnī fasleṅ lagāte haiṅ, kyoṅki terī bandargāh jātī rahī hai. 11 Rab ne apne hāth ko samundar ke ūpar uṭhā kar mamālik ko hilā diyā. Us ne hukm diyā hai ki Kanān ‡ Kanān se murād Lubnān yānī qadīm zamāne kā Phoenicia hai. ke qile barbād ho jāeṅ. 12 Us ne farmāyā, “Ai Saidā Beṭī, ab se terī rangraliyāṅ band raheṅgī. Ai kuṅwārī jis kī ismatdarī huī hai, uṭh aur samundar ko pār karke Qubrus meṅ panāh le. Lekin wahāṅ bhī tū ārām nahīṅ kar pāegī.”
13 Mulk-e-Bābal par nazar ḍālo. Yih qaum to nest-o-nābūd ho gaī, us kā mulk janglī jānwaroṅ kā ghar ban gayā hai. Asūriyoṅ ne burj banā kar use gher liyā aur us ke qiloṅ ko ḍhā diyā. Malbe kā ḍher hī rah gayā hai.
14 Ai Tarsīs ke umdā jahāzo, hāy hāy karo, kyoṅki tumhārā qilā tabāh ho gayā hai!
15 Tab Sūr insān kī yād se utar jāegā. Lekin 70 sāl yānī ek bādshāh kī muddatul-umr ke bād Sūr us tarah bahāl ho jāegā jis tarah gīt meṅ kasbī ke bāre meṅ gāyā jātā hai,
16 “Ai farāmosh kasbī, chal! Apnā sarod pakaṛ kar galiyoṅ meṅ phir! Sarod ko ḳhūb bajā, kaī ek gīt gā tāki log tujhe yād kareṅ.”
17 Kyoṅki 70 sāl ke bād Rab Sūr ko bahāl karegā. Kasbī dubārā paise kamāegī, duniyā ke tamām mamālik us ke gāhak baneṅge. 18 Lekin jo paise wuh kamāegī wuh Rab ke lie maḳhsūs hoṅge. Wuh zaḳhīrā karne ke lie jamā nahīṅ hoṅge balki Rab ke huzūr ṭhaharne wāloṅ ko die jāeṅge tāki jī bhar kar khā sakeṅ aur shāndār kapṛe pahan sakeṅ.