32
Rāst Bādshāh kī Āmad
1 Ek bādshāh āne wālā hai jo insāf se hukūmat karegā. Us ke afsar bhī sadāqat se hukmrānī kareṅge. 2 Har ek āṅdhī aur tūfān se panāh degā, har ek registān meṅ nadiyoṅ kī tarah tar-o-tāzā karegā, har ek taptī dhūp meṅ baṛī chaṭān kā-sā sāyā degā.
3 Tab deḳhne wāloṅ kī āṅkheṅ andhī nahīṅ raheṅgī, aur sunane wāloṅ ke kān dhyān deṅge. 4 Jaldbāzoṅ ke dil samajhdār ho jāeṅge, aur hakloṅ kī zabān rawānī se sāf bāt karegī. 5 Us waqt na ahmaq sharīf kahlāegā, na badmāsh ko mumtāz qarār diyā jāegā. 6 Kyoṅki ahmaq hamāqat bayān kartā hai, aur us kā zahan sharīr mansūbe bāndhtā hai. Wuh bedīn harkateṅ karke Rab ke bāre meṅ kufr baktā hai. Bhūke ko wuh bhūkā chhoṛtā aur pyāse ko pānī pīne se roktā hai. 7 Badmāsh ke tarīq-e-kār sharīr haiṅ. Wuh zarūratmand ko jhūṭ se tabāh karne ke mansūbe bāndhtā rahtā hai, ḳhāh ġharīb haq par kyoṅ na ho. 8 Us ke muqābale meṅ sharīf ādmī sharīf mansūbe bāndhtā aur sharīf kām karne meṅ sābitqadam rahtā hai.
Beparwā Zindagī Ḳhatm Hone Wālī Hai
9 Ai beparwā aurato, uṭh kar merī bāt suno! Ai beṭiyo jo apne āp ko mahfūz samajhtī ho, mere alfāz par dhyān do! 10 Ek sāl aur chand ek dinoṅ ke bād tum jo apne āp ko mahfūz samajhtī ho kāṅp uṭhogī. Kyoṅki angūr kī fasal zāe ho jāegī, aur phal kī fasal pakne nahīṅ pāegī. 11 Ai beparwā aurato, laraz uṭho! Ai beṭiyo jo apne āp ko mahfūz samajhtī ho, thartharāo! Apne achchhe kapṛoṅ ko utār kar ṭāṭ ke libās pahan lo. 12 Apne sīnoṅ ko pīṭ pīṭ kar apne ḳhushgawār khetoṅ aur angūr ke phaldār bāġhoṅ par mātam karo. 13 Merī qaum kī zamīn par āh-o-zārī karo, kyoṅki us par ḳhārdār jhāṛiyāṅ chhā gaī haiṅ. Rangraliyāṅ manāne wāle shahr ke tamām ḳhushbāsh gharoṅ par ġham khāo. 14 Mahal wīrān hogā, raunaqdār shahr sunsān hogā. Qilā aur burj hameshā ke lie ġhār baneṅge jahāṅ janglī gadhe apne dil bahlāeṅge aur bheṛ-bakriyāṅ chareṅgī.
Allāh ke Rūh se Bahālī
15 Jab tak Allāh apnā Rūh ham par nāzil na kare us waqt tak hālāt aise hī raheṅge. Lekin phir registān bāġh meṅ tabdīl ho jāegā, aur bāġh ke phaldār daraḳht jangal jaise ghane ho jāeṅge. 16 Tab insāf registān meṅ basegā, aur sadāqat phalte-phūlte bāġh meṅ sukūnat karegī. 17 Insāf kā phal amn-o-amān hogā, aur sadāqat kā asar abadī sukūn aur hifāzat hogī.
18 Merī qaum pursukūn aur mahfūz ābādiyoṅ meṅ basegī, us ke ghar ārāmdeh aur puramn hoṅge. 19 Go jangal tabāh aur shahr zamīnbos kyoṅ na ho, 20 lekin tum mubārak ho jo har nadī ke pās bīj bo sakoge aur āzādī se apne gāy-bailoṅ aur gadhoṅ ko charā sakoge.