4
Duniyā se Dostī
1 Yih laṛāiyāṅ aur jhagaṛe jo āp ke darmiyān haiṅ kahāṅ se āte haiṅ? Kyā in kā sarchashmā wuh burī ḳhāhishāt nahīṅ jo āp ke āzā meṅ laṛtī rahtī haiṅ? 2 Āp kisī chīz kī ḳhāhish rakhte haiṅ, lekin use hāsil nahīṅ kar sakte. Āp qatl aur hasad karte haiṅ, lekin jo kuchh āp chāhte haiṅ wuh pā nahīṅ sakte. Āp jhagaṛte aur laṛte haiṅ. To bhī āp ke pās kuchh nahīṅ hai, kyoṅki āp Allāh se māṅgte nahīṅ. 3 Aur jab āp māṅgte haiṅ to āp ko kuchh nahīṅ miltā. Wajah yih hai ki āp ġhalat nīyat se māṅgte haiṅ. Āp is se apnī ḳhudġharz ḳhāhishāt pūrī karnā chāhte haiṅ. 4 Bewafā logo! Kyā āp ko nahīṅ mālūm ki duniyā kā dost Allāh kā dushman hotā hai? Jo duniyā kā dost bananā chāhtā hai wuh Allāh kā dushman ban jātā hai. 5 Yā kyā āp samajhte haiṅ ki kalām-e-muqaddas kī yih bāt betukī-sī hai ki Allāh ġhairat se us Rūh kā ārzūmand hai jis ko us ne hamāre andar sukūnat karne diyā? 6 Lekin wuh hameṅ is se kahīṅ zyādā fazl baḳhshtā hai. Kalām-e-muqaddas yoṅ farmātā hai, “Allāh maġhrūroṅ kā muqābalā kartā lekin farotanoṅ par mehrbānī kartā hai.”
7 Ġharz, Allāh ke tābe ho jāeṅ. Iblīs kā muqābalā kareṅ to wuh bhāg jāegā. 8 Allāh ke qarīb ā jāeṅ to wuh āp ke qarīb āegā. Gunāhgāro, apne hāthoṅ ko pāk-sāf kareṅ. Dodilo, apne diloṅ ko maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ. 9 Afsos kareṅ, mātam kareṅ, ḳhūb roeṅ. Āp kī haṅsī mātam meṅ badal jāe aur āp kī ḳhushī māyūsī meṅ. 10 Apne āp ko Ḳhudāwand ke sāmne nīchā kareṅ to wuh āp ko sarfarāz karegā.
Ek Dūsre kā Munsif Mat Bananā
11 Bhāiyo, ek dūsre par tohmat mat lagānā. Jo apne bhāī par tohmat lagātā yā use mujrim ṭhahrātā hai wuh sharīat par tohmat lagātā hai aur sharīat ko mujrim ṭhahrātā hai. Aur jab āp sharīat par tohmat lagāte haiṅ to āp us ke pairokār nahīṅ rahte balki us ke munsif ban gae haiṅ. 12 Sharīat dene wālā aur munsif sirf ek hī hai aur wuh hai Allāh jo najāt dene aur halāk karne ke qābil hai. To phir āp kaun haiṅ jo apne āp ko munsif samajh kar apne paṛosī ko mujrim ṭhahrā rahe haiṅ!
Sheḳhī Mat Mārnā
13 Aur ab merī bāt suneṅ, āp jo kahte haiṅ, “Āj yā kal ham fulāṅ fulāṅ shahr meṅ jāeṅge. Wahāṅ ham ek sāl ṭhahar kar kārobār karke paise kamāeṅge.” 14 Dekheṅ, āp yih bhī nahīṅ jānte ki kal kyā hogā. Āp kī zindagī chīz hī kiyā hai! Āp bhāp hī haiṅ jo thoṛī der ke lie nazar ātī, phir ġhāyb ho jātī hai. 15 Balki āp ko yih kahnā chāhie, “Agar Ḳhudāwand kī marzī huī to ham jieṅge aur yih yā wuh kareṅge.” 16 Lekin filhāl āp sheḳhī mār kar apne ġhurūr kā izhār karte haiṅ. Is qism kī tamām sheḳhībāzī burī hai.
17 Chunāṅche jo jāntā hai ki use kyā kyā nek kām karnā hai, lekin phir bhī kuchh nahīṅ kartā wuh gunāh kartā hai.