10
But Befāydā Haiṅ
1 Ai Isrāīl ke gharāne, Rab kā paiġhām sun! 2 Rab farmātā hai, “Dīgar aqwām kī butparastī mat apnānā. Yih log ilm-e-nujūm se mustaqbil jān lene kī koshish karte karte pareshān ho jāte haiṅ, lekin tum un kī bātoṅ se pareshān na ho jāo. 3 Kyoṅki dīgar qaumoṅ ke rasm-o-riwāj fuzūl hī haiṅ. Jangal meṅ daraḳht kaṭ jātā hai, phir kārīgar use apne auzār se tashkīl detā hai. 4 Log use apnī sonā-chāṅdī se sajā kar kīloṅ se kahīṅ lagā dete haiṅ tāki hile na. 5 But un putloṅ kī mānind haiṅ jo khīre ke khet meṅ khaṛe kie jāte haiṅ tāki parindoṅ ko bhagā deṅ. Na wuh bol sakte, na chal sakte haiṅ, is lie log unheṅ uṭhā kar apne sāth le jāte haiṅ. Un se mat ḍarnā, kyoṅki na wuh nuqsān kā bāis haiṅ, na bhalāī kā.”
6 Ai Rab, tujh jaisā koī nahīṅ hai, tū azīm hai, tere nām kī azmat zordār tarīqe se zāhir huī hai. 7 Ai aqwām ke Bādshāh, kaun terā ḳhauf nahīṅ mānegā? Kyoṅki tū is lāyq hai. Aqwām ke tamām dānishmandoṅ aur un ke tamām mamālik meṅ tujh jaisā koī nahīṅ hai. 8 Sab ahmaq aur bewuqūf sābit hue haiṅ, kyoṅki un kī tarbiyat lakaṛī ke bekār butoṅ se hāsil huī hai. 9 Tarsīs se chāṅdī kī chādareṅ aur ūfāz se sonā lāyā jātā hai. Un se kārīgar aur sunār but banā dete haiṅ jise qirmizī aur arġhawānī rang ke kapṛe pahnāe jāte haiṅ. Sab kuchh māhir ustādoṅ ke hāth se banāyā jātā hai.
10 Lekin Rab hī haqīqī Ḳhudā hai. Wuhī zindā Ḳhudā aur abadī Bādshāh hai. Jab wuh nārāz ho jātā hai to zamīn larazne lagtī hai. Aqwām us kā qahr bardāsht nahīṅ kar saktīṅ.
11 Butparastoṅ ko batāo ki dewatāoṅ ne na āsmān ko banāyā aur na zamīn ko, un kā nām-o-nishān to āsmān-o-zamīn se miṭ jāegā. 12 Dekho, Allāh hī ne apnī qudrat se zamīn ko ḳhalaq kiyā, usī ne apnī hikmat se duniyā kī buniyād rakhī, aur usī ne apnī samajh ke mutābiq āsmān ko ḳhaime kī tarah tān liyā. 13 Us ke hukm par āsmān par pānī ke zaḳhīre garajne lagte haiṅ. Wuh duniyā kī intahā se bādal chaṛhnī detā, bārish ke sāth bijlī kaṛakne detā aur apne godāmoṅ se hawā nikalne detā hai.
14 Tamām insān ahmaq aur samajh se ḳhālī haiṅ. Har sunār apne butoṅ ke bāis sharmindā huā hai. Us ke but dhokā hī haiṅ, un meṅ dam nahīṅ. 15 Wuh fuzūl aur mazhakāḳhez haiṅ. Adālat ke waqt wuh nest ho jāeṅge. 16 Allāh jo Yāqūb kā maurūsī hissā hai in kī mānind nahīṅ hai. Wuh sab kā Ḳhāliq hai, aur Isrāīlī qaum us kā maurūsī hissā hai. Rabbul-afwāj hī us kā nām hai.
Āne Wālī Jilāwatanī
17 Ai muhāsarāshudā shahr, apnā sāmān sameṭ kar mulk se nikalne kī taiyāriyāṅ kar le. 18 Kyoṅki Rab farmātā hai, “Is bār maiṅ mulk ke bāshindoṅ ko bāhar phaiṅk dūṅgā. Maiṅ unheṅ tang karūṅga tāki unheṅ pakaṛā jāe.”
19 Hāy, merā beṛā ġharq ho gayā hai! Hāy, merā zaḳhm bhar nahīṅ saktā. Pahle maiṅ ne sochā ki yih aisī bīmārī hai jise mujhe bardāsht hī karnā hai. 20 Lekin ab merā ḳhaimā tabāh ho gayā hai, us ke tamām rasse ṭūṭ gae haiṅ. Mere beṭe mere pās se chale gae haiṅ, ek bhī nahīṅ rahā. Koī nahīṅ hai jo merā ḳhaimā dubārā lagāe, jo us ke parde nae sire se laṭkāe. 21 Kyoṅki qaum ke gallābān ahmaq ho gae haiṅ, unhoṅ ne Rab ko talāsh nahīṅ kiyā. Is lie wuh kāmyāb nahīṅ rahe, aur un kā pūrā rewaṛ titar-bitar ho gayā hai.
22 Suno! Ek ḳhabar pahuṅch rahī hai, shimālī mulk se shor-o-ġhauġhā sunāī de rahā hai. Yahūdāh ke shahr us kī zad meṅ ā kar barbād ho jāeṅge. Āindā gīdaṛ hī un meṅ baseṅge.
23 Ai Rab, maiṅ ne jān liyā hai ki insān kī rāh us ke apne hāth meṅ nahīṅ hotī. Apnī marzī se na wuh chaltā, na qadam uṭhātā hai. 24 Ai Rab, merī tambīh kar, lekin munāsib had tak. Taish meṅ ā kar merī tambīh na kar, warnā maiṅ bhasm ho jāūṅgā. 25 Apnā ġhazab un aqwām par nāzil kar jo tujhe nahīṅ jāntīṅ, un ummatoṅ par jo terā nām le kar tujhe nahīṅ pukārtīṅ. Kyoṅki unhoṅ ne Yāqūb ko haṛap kar liyā hai. Unhoṅ ne use mukammal taur par nigal kar us kī charāgāh ko tabāh kar diyā hai.