23
Rab Qaum ke Sahīh Gallābān Muqarrar Karegā
1 Rab farmātā hai, “Un gallābānoṅ par afsos jo merī charāgāh kī bheṛoṅ ko tabāh karke muntashir kar rahe haiṅ.” 2 Is lie Rab jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Ai merī qaum ko charāne wāle gallābāno, maiṅ tumhārī sharīr harkatoṅ kī munāsib sazā dūṅgā, kyoṅki tum ne merī bheṛoṅ kī fikr nahīṅ kī balki unheṅ muntashir karke titar-bitar kar diyā hai.” Rab farmātā hai, “Suno, maiṅ tumhārī sharīr harkatoṅ se nipaṭ lūṅgā.
3 Maiṅ ḳhud apne rewaṛ kī bachī huī bheṛoṅ ko jamā karūṅga. Jahāṅ bhī maiṅ ne unheṅ muntashir kar diyā thā, un tamām mamālik se maiṅ unheṅ un kī apnī charāgāh meṅ wāpas lāūṅgā. Wahāṅ wuh phaleṅ-phūleṅge, aur un kī tādād baṛhtī jāegī. 4 Maiṅ aise gallābānoṅ ko un par muqarrar karūṅga jo un kī sahīh gallābānī kareṅge. Āindā na wuh ḳhauf khāeṅge, na ghabrā jāeṅge. Ek bhī gum nahīṅ ho jāegā.” Yih Rab kā farmān hai.
Rab Sahīh Bādshāh Muqarrar Karegā
5 Rab farmātā hai, “Wuh waqt āne wālā hai ki maiṅ Dāūd ke lie ek rāstbāz Koṅpal phūṭne dūṅgā, ek aisā bādshāh jo hikmat se hukūmat karegā, jo mulk meṅ insāf aur rāstī qāym rakhegā. 6 Us ke daur-e-hukūmat meṅ Yahūdāh ko chhuṭkārā milegā aur Isrāīl mahfūz zindagī guzāregā. Wuh ‘Rab Hamārī Rāstbāzī’ kahlāegā.
7 Chunāṅche wuh waqt āne wālā hai jab log qasam khāte waqt nahīṅ kaheṅge, ‘Rab kī hayāt kī qasam jo Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāyā.’ 8 Is ke bajāe wuh kaheṅge, ‘Rab kī hayāt kī qasam jo Isrāīliyoṅ ko shimālī mulk aur dīgar un tamām mamālik se nikāl lāyā jin meṅ us ne unheṅ muntashir kar diyā thā.’ Us waqt wuh dubārā apne hī mulk meṅ baseṅge.” Yih Rab kā farmān hai.
Jhūṭe Nabiyoṅ par Yaqīn Mat Karnā
9 Jhūṭe nabiyoṅ ko dekh kar merā dil ṭūṭ gayā hai, merī tamām haḍḍiyāṅ laraz rahī haiṅ. Maiṅ nashe meṅ dhut ādmī kī mānind hūṅ. Mai se maġhlūb shaḳhs kī tarah maiṅ Rab aur us ke muqaddas alfāz ke sabab se ḍagmagā rahā hūṅ.
10 Yih mulk zinākāroṅ se bharā huā hai, is lie us par Allāh kī lānat hai. Zamīn jhulas gaī hai, bayābān kī charāgāhoṅ kī hariyālī murjhā gaī hai. Nabī ġhalat rāh par dauṛ rahe haiṅ, aur jis meṅ wuh tāqatwar haiṅ wuh ṭhīk nahīṅ. 11 Rab farmātā hai, “Nabī aur imām donoṅ hī bedīn haiṅ. Maiṅ ne apne ghar meṅ bhī un kā burā kām pāyā hai. 12 Is lie jahāṅ bhī chaleṅ wuh phisal jāeṅge, wuh andhere meṅ ṭhokar khā kar gir jāeṅge. Kyoṅki maiṅ muqarrarā waqt par un par āfat lāūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.
13 “Maiṅ ne dekhā ki Sāmariya ke nabī Bāl ke nām meṅ nabuwwat karke merī qaum Isrāīl ko ġhalat rāh par lāe. Yih qābil-e-ghin hai, 14 lekin jo kuchh mujhe Yarūshalam ke nabiyoṅ meṅ nazar ātā hai wuh utnā hī ghinaunā hai. Wuh zinā karte aur jhūṭ ke pairokār haiṅ. Sāth sāth wuh badkāroṅ kī hauslā-afzāī bhī karte haiṅ, aur natīje meṅ koī bhī apnī badī se bāz nahīṅ ātā. Merī nazar meṅ wuh sab Sadūm kī mānind haiṅ. Hāṅ, Yarūshalam ke bāshinde Amūrā ke barābar haiṅ.” 15 Is lie Rab in nabiyoṅ ke bāre meṅ farmātā hai, “Maiṅ unheṅ kaṛwā khānā khilāūṅgā aur zahrīlā pānī pilāūṅgā, kyoṅki Yarūshalam ke nabiyoṅ ne pūre mulk meṅ bedīnī phailāī hai.”
16 Rabbul-afwāj farmātā hai, “Nabiyoṅ kī peshgoiyoṅ par dhyān mat denā. Wuh tumheṅ fareb de rahe haiṅ. Kyoṅki wuh Rab kā kalām nahīṅ sunāte balki mahz apne dil meṅ se ubharne wālī royā pesh karte haiṅ. 17 Jo mujhe haqīr jānte haiṅ unheṅ wuh batāte rahte haiṅ, ‘Rab farmātā hai ki hālāt sahīh-salāmat raheṅge.’ Jo apne diloṅ kī zid ke mutābiq zindagī guzārte haiṅ, un sab ko wuh tasallī de kar kahte haiṅ, ‘Tum par āfat nahīṅ āegī.’ 18 Lekin un meṅ se kis ne Rab kī majlis meṅ sharīk ho kar wuh kuchh dekhā aur sunā hai jo Rab bayān kar rahā hai? Kisī ne nahīṅ! Kis ne tawajjuh de kar us kā kalām sunā hai? Kisī ne nahīṅ!
19 Dekho, Rab kī ġhazabnāk āṅdhī chalne lagī hai, us kā tezī se ghūmtā huā bagūlā bedīnoṅ ke saroṅ par manḍlā rahā hai. 20 Aur Rab kā yih ġhazab us waqt tak ṭhanḍā nahīṅ hogā jab tak us ke dil kā irādā takmīl tak na pahuṅch jāe. Āne wāle dinoṅ meṅ tumheṅ is kī pūrī samajh āegī.
21 Yih nabī dauṛ kar apnī bāteṅ sunāte rahte haiṅ agarche maiṅ ne unheṅ nahīṅ bhejā. Go maiṅ un se hamkalām nahīṅ huā to bhī yih peshgoiyāṅ karte haiṅ. 22 Agar yih merī majlis meṅ sharīk hote to merī qaum ko mere alfāz sunā kar use us ke bure chāl-chalan aur ġhalat harkatoṅ se haṭāne kī koshish karte.”
23 Rab farmātā hai, “Kyā maiṅ sirf qarīb kā Ḳhudā hūṅ? Hargiz nahīṅ! Maiṅ dūr kā Ḳhudā bhī hūṅ. 24 Kyā koī merī nazar se ġhāyb ho saktā hai? Nahīṅ, aisī jagah hai nahīṅ jahāṅ wuh mujh se chhup sake. Āsmān-o-zamīn mujh se māmūr rahte haiṅ.” Yih Rab kā farmān hai.
25 “In nabiyoṅ kī bāteṅ mujh tak pahuṅch gaī haiṅ. Yih merā nām le kar jhūṭ bolte haiṅ ki maiṅ ne ḳhāb dekhā hai, ḳhāb dekhā hai! 26 Yih nabī jhūṭī peshgoiyāṅ aur apne diloṅ ke waswase sunāne se kab bāz āeṅge? 27 Jo ḳhāb wuh ek dūsre ko batāte haiṅ un se wuh chāhte haiṅ ki merī qaum merā nām yoṅ bhūl jāe jis tarah un ke bāpdādā Bāl kī pūjā karne se merā nām bhūl gae the.” 28 Rab farmātā hai, “Jis nabī ne ḳhāb dekhā ho wuh beshak apnā ḳhāb bayān kare, lekin jis par merā kalām nāzil huā ho wuh wafādārī se merā kalām sunāe. Bhūse kā gandum se kyā wāstā hai?”
29 Rab farmātā hai, “Kyā merā kalām āg kī mānind nahīṅ? Kyā wuh hathauṛe kī tarah chaṭān ko ṭukṛe ṭukṛe nahīṅ kartā?” 30 Chunāṅche Rab farmātā hai, “Ab maiṅ un nabiyoṅ se nipaṭ lūṅgā jo ek dūsre ke paiġhāmāt churā kar dāwā karte haiṅ ki wuh merī taraf se haiṅ.” 31 Rab farmātā hai, “Maiṅ un se nipaṭ lūṅgā jo apne shaḳhsī ḳhayālāt sunā kar dāwā karte haiṅ, ‘Yih Rab kā farmān hai.’ ” 32 Rab farmātā hai, “Maiṅ un se nipaṭ lūṅgā jo jhūṭe ḳhāb sunā kar merī qaum ko apnī dhokebāzī aur sheḳhī kī bātoṅ se ġhalat rāh par lāte haiṅ, hālāṅki maiṅ ne unheṅ na bhejā, na kuchh kahne ko kahā thā. Un logoṅ kā is qaum ke lie koī bhī fāydā nahīṅ.” Yih Rab kā farmān hai.
Rab ke lie Tum Bojh kā Bāis Ho
33 “Ai Yarmiyāh, agar is qaum ke ām log yā imām yā nabī tujh se pūchheṅ, ‘Āj Rab ne tujh par kalām kā kyā bojh nāzil kiyā hai?’ To jawāb de, ‘Rab farmātā hai ki tum hī mujh par bojh ho! Lekin maiṅ tumheṅ utār phaiṅkūṅgā.’ 34 Aur agar koī nabī, imām yā ām shaḳhs dāwā kare, ‘Rab ne mujh par kalām kā bojh nāzil kiyā hai’ to maiṅ use us ke gharāne samet sazā dūṅgā.
35 Is ke bajāe ek dūsre se sawāl karo ki ‘Rab ne kyā jawāb diyā?’ yā ‘Rab ne kyā farmāyā?’ 36 Āindā Rab ke paiġhām ke lie lafz ‘bojh’ istemāl na karo, kyoṅki jo bhī bāt tum karo wuh tumhārā apnā bojh hogī. Kyoṅki tum zindā Ḳhudā ke alfāz ko toṛ-maroṛ kar bayān karte ho, us kalām ko jo Rabbul-afwāj hamāre Ḳhudā ne nāzil kiyā hai. 37 Chunāṅche āindā nabī se sirf itnā hī pūchho ki ‘Rab ne tujhe kyā jawāb diyā?’ yā ‘Rab ne kyā farmāyā?’ 38 Lekin agar tum ‘Rab kā bojh’ kahne par isrār karo to Rab kā jawāb suno! Chūṅki tum kahte ho ki ‘Mujh par Rab kā bojh nāzil huā hai’ go maiṅ ne yih manā kiyā thā, 39 is lie maiṅ tumheṅ apnī yād se miṭā kar Yarūshalam samet apne huzūr se dūr phaiṅk dūṅgā, go maiṅ ne ḳhud yih shahr tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko farāham kiyā thā. 40 Maiṅ tumhārī abadī ruswāī karāūṅgā, aur tumhārī sharmindagī hameshā tak yād rahegī.”