39
Yarūshalam kī Shikast
1 Yarūshalam yoṅ dushman ke hāth meṅ āyā: Yahūdāh ke bādshāh ke naweṅ sāl aur 10weṅ mahīne * Disambar tā Janwarī. meṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar apnī tamām fauj le kar Yarūshalam pahuṅchā aur shahr kā muhāsarā karne lagā. 2 Sidqiyāh ke 11weṅ sāl ke chauthe mahīne aur naweṅ din † 18 Julāī. dushman ne fasīl meṅ raḳhnā ḍāl diyā. 3 Tab Nabūkadnazzar ke tamām ālā afsar shahr meṅ ā kar us ke Darmiyānī Darwāze meṅ baiṭh gae. Un meṅ Nairgal-sarāzar jo Rab-māg thā, Samgar-nabū, Sar-sakīm jo Rab-sārīs thā aur Shāh-e-Bābal ke bāqī buzurg shāmil the.
4 Unheṅ dekh kar Yahūdāh kā bādshāh Sidqiyāh aur us ke tamām faujī bhāg gae. Rāt ke waqt wuh fasīl ke us darwāze se nikle jo Shāhī Bāġh ke sāth mulhiq do dīwāroṅ ke bīch meṅ thā. Wuh Wādī-e-Yardan kī taraf dauṛne lage, 5 lekin Bābal ke faujiyoṅ ne un kā tāqqub karke Sidqiyāh ko Yarīhū ke maidānī ilāqe meṅ pakaṛ liyā. Phir use Mulk-e-Hamāt ke shahr Riblā meṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ke pās lāyā gayā, aur wahīṅ us ne Sidqiyāh par faislā sādir kiyā. 6 Sidqiyāh ke deḳhte deḳhte Shāh-e-Bābal ne Riblā meṅ us ke beṭoṅ ko qatl kiyā. Sāth sāth us ne Yahūdāh ke tamām buzurgoṅ ko bhī maut ke ghāṭ utār diyā. 7 Phir us ne Sidqiyāh kī āṅkheṅ nikalwā kar use pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā aur Bābal ko le jāne ke lie mahfūz rakhā.
8 Bābal ke faujiyoṅ ne shāhī mahal aur dīgar logoṅ ke gharoṅ ko jalā kar Yarūshalam kī fasīl ko girā diyā. 9 Shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ne sab ko jilāwatan kar diyā jo Yarūshalam aur Yahūdāh meṅ pīchhe rah gae the. Wuh bhī un meṅ shāmil the jo jang ke daurān ġhaddārī karke Shāh-e-Bābal ke pīchhe lag gae the. 10 Lekin Nabūzarādān ne sab se nichle tabqe ke bāz logoṅ ko Mulk-e-Yahūdāh meṅ chhoṛ diyā, aise log jin ke pās kuchh nahīṅ thā. Unheṅ us ne us waqt angūr ke bāġh aur khet die.
11-12 Nabūkadnazzar Bādshāh ne shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ko hukm diyā, “Yarmiyāh ko apne pās rakheṅ. Us kā ḳhayāl rakheṅ. Use nuqsān na pahuṅchāeṅ balki jo bhī darḳhāst wuh kare use pūrā kareṅ.”
13 Chunāṅche shāhī muhāfizoṅ ke afsar Nabūzarādān ne kisī ko Yarmiyāh ke pās bhejā. Us waqt Nabūshazbān jo Rab-sārīs thā, Nairgal-sarāzar jo Rab-māg thā aur Shāh-e-Bābal ke bāqī afsar Nabūzarādān ke pās the. 14 Yarmiyāh ab tak shāhī muhāfizoṅ ke sahan meṅ giriftār thā. Unhoṅ ne hukm diyā ki use wahāṅ se nikāl kar Jidaliyāh bin Aḳhīqām bin Sāfan ke hawāle kar diyā jāe tāki wuh use us ke apne ghar pahuṅchā de. Yoṅ Yarmiyāh apne logoṅ ke darmiyān basne lagā.
Abad-malik ke lie Ḳhushḳhabrī
15 Jab Yarmiyāh abhī shāhī muhāfizoṅ ke sahan meṅ giriftār thā to Rab us se hamkalām huā,
16 “Jā kar Ethopiyā ke Abad-malik ko batā, ‘Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki dekh, maiṅ is shahr ke sāth wuh sab kuchh karne ko hūṅ jis kā elān maiṅ ne kiyā thā. Maiṅ us par mehrbānī nahīṅ karūṅga balki use nuqsān pahuṅchāūṅgā. Tū apnī āṅkhoṅ se yih dekhegā. 17 Lekin Rab farmātā hai ki tujhe maiṅ us din chhuṭkārā dūṅgā, tujhe un ke hawāle nahīṅ kiyā jāegā jin se tū ḍartā hai. 18 Maiṅ ḳhud tujhe bachāūṅgā. Chūṅki tū ne mujh par bharosā kiyā is lie tū talwār kī zad meṅ nahīṅ āegā balki terī jān chhūṭ jāegī. ‡ Lafzī tarjumā: Tū ġhanīmat ke taur par apnī jān ko bachāegā. Yih Rab kā farmān hai.’ ”