21
Lāwiyoṅ ke Shahr aur Charāgāheṅ
1 Phir Lāwī ke qabīle ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāh Iliyazar Imām, Yashua bin Nūn aur Isrāīl ke bāqī qabīloṅ ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāhoṅ ke pās āe 2 jo us waqt Sailā meṅ jamā the. Lāwiyoṅ ne kahā, “Rab ne Mūsā kī mārifat hukm diyā thā ki hameṅ basne ke lie shahr aur rewaṛoṅ ko charāne ke lie charāgāheṅ dī jāeṅ.” 3 Chunāṅche Isrāīliyoṅ ne Rab kī yih bāt mān kar apne ilāqoṅ meṅ se shahr aur charāgāheṅ alag karke Lāwiyoṅ ko de dīṅ.
4 Qurā ḍālā gayā to Lāwī ke gharāne Qihāt ko us ke kunboṅ ke mutābiq pahlā hissā mil gayā. Pahle Hārūn ke kunbe ko Yahūdāh, Shamāūn aur Binyamīn ke qabīloṅ ke 13 shahr die gae. 5 Bāqī Qihātiyoṅ ko Dān, Ifrāīm aur maġhribī Manassī ke qabīloṅ ke 10 shahr mil gae.
6 Jairson ke gharāne ko Ishkār, Āshar, Naftālī aur Manassī ke qabīloṅ ke 13 shahr die gae. Yih Manassī kā wuh ilāqā thā jo Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ Mulk-e-Basan meṅ thā.
7 Mirārī ke gharāne ko us ke kunboṅ ke mutābiq Rūbin, Jad aur Zabūlūn ke qabīloṅ ke 12 shahr mil gae.
8 Yoṅ Isrāīliyoṅ ne qurā ḍāl kar Lāwiyoṅ ko mazkūrā shahr aur un ke gird-o-nawāh kī charāgāheṅ de dīṅ. Waisā hī huā jaisā Rab ne Mūsā kī mārifat hukm diyā thā.
Qihāt ke Gharāne ke Shahr
9-10 Qurā ḍālte waqt Lāwī ke gharāne Qihāt meṅ se Hārūn ke kunbe ko pahlā hissā mil gayā. Use Yahūdāh aur Shamāūn ke qabīloṅ ke yih shahr die gae: 11 Pahlā shahr Anāqiyoṅ ke bāp kā shahr Qiriyat-arbā thā jo Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ hai aur jis kā maujūdā nām Habrūn hai. Us kī charāgāheṅ bhī dī gaīṅ, 12 lekin Habrūn ke irdgird kī ābādiyāṅ aur khet Kālib bin Yafunnā kī milkiyat rahe. 13 Hārūn ke kunbe kā yih shahr panāh kā shahr bhī thā jis meṅ har wuh shaḳhs panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā thā. Is ke alāwā Hārūn ke kunbe ko Libnā, 14 Yattīr, Istimua, 15 Haulūn, Dabīr, 16 Ain, Yūttā aur Bait-shams ke shahr bhī mil gae. Use Yahūdāh aur Shamāūn ke qabīloṅ ke kul 9 shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 17-18 In ke alāwā Binyamīn ke qabīle ke chār shahr us kī milkiyat meṅ āe yānī Jibaūn, Jibā, Anatot aur Almon. 19 Ġharz Hārūn ke kunbe ko 13 shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 20 Lāwī ke qabīle ke gharāne Qihāt ke bāqī kunboṅ ko qurā ḍālte waqt Ifrāīm ke qabīle ke shahr mil gae. 21 In meṅ Ifrāīm ke pahāṛī ilāqe kā shahr Sikam shāmil thā jis meṅ har wuh shaḳhs panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā thā, phir Jazar, 22 Qibzaim aur Bait-haurūn. In chār shahroṅ kī charāgāheṅ bhī mil gaīṅ. 23-24 Dān ke qabīle ne bhī unheṅ chār shahr un kī charāgāhoṅ samet die yānī Iltaqih, Jibbatūn, Aiyālon aur Jāt-rimmon. 25 Manassī ke maġhribī hisse se unheṅ do shahr Tānak aur Jāt-rimmon un kī charāgāhoṅ samet mil gae. 26 Ġharz Qihāt ke bāqī kunboṅ ko kul 10 shahr un kī charāgāhoṅ samet mile.
Jairson ke Gharāne ke Shahr
27 Lāwī ke qabīle ke gharāne Jairson ko Manassī ke mashriqī hisse ke do shahr un kī charāgāhoṅ samet die gae: Mulk-e-Basan meṅ Jaulān jis meṅ har wuh shaḳhs panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā thā, aur Ba'istarāh. 28-29 Ishkār ke qabīle ne use chār shahr un kī charāgāhoṅ samet die: Qisiyon, Dābarat, Yarmūt aur Ain-jannīm. 30-31 Isī tarah use Āshar ke qabīle ke bhī chār shahr un kī charāgāhoṅ samet die gae: Misāl, Abdon, Ḳhilqat aur Rahob. 32 Naftālī ke qabīle ne tīn shahr un kī charāgāhoṅ samet die: Galīl kā Qādis jis meṅ har wuh shaḳhs panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā thā, phir Hammāt-dor aur Qartān. 33 Ġharz Jairson ke gharāne ko 13 shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae.
Mirārī ke Gharāne ke Shahr
34-35 Ab rah gayā Lāwī ke qabīle kā gharānā Mirārī. Use Zabūlūn ke qabīle ke chār shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae: Yuqniyām, Qartā, Dimnā aur Nahlāl. 36-37 Isī tarah use Rūbin ke qabīle ke bhī chār shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae: Basar, Yahaz, Qadīmāt aur Mifāt. 38-39 Jad ke qabīle ne use chār shahr un kī charāgāhoṅ samet die: Mulk-e-Jiliyād kā Rāmāt jis meṅ har wuh shaḳhs panāh le saktā thā jis se koī ġhairirādī taur par halāk huā thā, phir Mahanāym, Hasbon aur Yāzer. 40 Ġharz Mirārī ke gharāne ko kul 12 shahr un kī charāgāhoṅ samet mil gae.
41 Isrāīl ke muḳhtalif ilāqoṅ meṅ jo Lāwiyoṅ ke shahr un kī charāgāhoṅ samet the un kī kul tādād 48 thī. 42 Har shahr ke irdgird charāgāheṅ thīṅ.
Allāh ne Apnā Wādā Pūrā Kiyā
43 Yoṅ Rab ne Isrāīliyoṅ ko wuh pūrā mulk de diyā jis kā wādā us ne un ke bāpdādā se qasam khā kar kiyā thā. Wuh us par qabzā karke us meṅ rahne lage. 44 Aur Rab ne chāroṅ taraf amn-o-amān muhaiyā kiyā jis tarah us ne un ke bāpdādā se qasam khā kar wādā kiyā thā. Usī kī madad se Isrāīlī tamām dushmanoṅ par ġhālib āe the. 45 Jo achchhe wāde Rab ne Isrāīl se kie the un meṅ se ek bhī nāmukammal na rahā balki sab ke sab pūre ho gae.