9
Hārūn Qurbāniyāṅ Chaṛhātā Hai
1 Maḳhsūsiyat ke sāt din ke bād Mūsā ne āṭhweṅ din Hārūn, us ke beṭoṅ aur Isrāīl ke buzurgoṅ ko bulāyā. 2 Us ne Hārūn se kahā, “Ek beaib bachhṛā aur ek beaib menḍhā chun kar Rab ko pesh kar. Bachhṛā gunāh kī qurbānī ke lie aur menḍhā bhasm hone wālī qurbānī ke lie ho. 3 Phir Isrāīliyoṅ ko kah denā ki gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā jabki bhasm hone wālī qurbānī ke lie ek beaib yaksālā bachhṛā aur ek beaib yaksālā bheṛ kā bachchā pesh karo. 4 Sāth hī salāmatī kī qurbānī ke lie ek bail aur ek menḍhā chuno. Tel ke sāth milāī huī ġhallā kī nazar bhī le kar sab kuchh Rab ko pesh karo. Kyoṅki āj hī Rab tum par zāhir hogā.”
5 Isrāīlī Mūsā kī matlūbā tamām chīzeṅ mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne le āe. Pūrī jamāt qarīb ā kar Rab ke sāmne khaṛī ho gaī. 6 Mūsā ne un se kahā, “Tumheṅ wuhī karnā hai jis kā hukm Rab ne tumheṅ diyā hai. Kyoṅki āj hī Rab kā jalāl tum par zāhir hogā.”
7 Phir us ne Hārūn se kahā, “Qurbāngāh ke pās jā kar gunāh kī qurbānī aur bhasm hone wālī qurbānī chaṛhā kar apnā aur apnī qaum kā kaffārā denā. Rab ke hukm ke mutābiq qaum ke lie bhī qurbānī pesh karnā tāki us kā kaffārā diyā jāe.”
8 Hārūn qurbāngāh ke pās āyā. Us ne bachhṛe ko zabah kiyā. Yih us ke lie gunāh kī qurbānī thā. 9 Us ke beṭe bachhṛe kā ḳhūn us ke pās le āe. Us ne apnī unglī ḳhūn meṅ ḍubo kar use qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagāyā. Bāqī ḳhūn ko us ne qurbāngāh ke pāe par unḍel diyā. 10 Phir us ne us kī charbī, gurdoṅ aur joṛkalejī ko qurbāngāh par jalā diyā. Jaise Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā waise hī Hārūn ne kiyā. 11 Bachhṛe kā gosht aur khāl us ne ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar jalā dī.
12 Is ke bād Hārūn ne bhasm hone wālī qurbānī ko zabah kiyā. Us ke beṭoṅ ne use us kā ḳhūn diyā, aur us ne use qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛak diyā. 13 Unhoṅ ne use qurbānī ke muḳhtalif ṭukṛe sar samet die, aur us ne unheṅ qurbāngāh par jalā diyā. 14 Phir us ne us kī antaṛiyāṅ aur pinḍliyāṅ dho kar bhasm hone wālī qurbānī kī bāqī chīzoṅ par rakh kar jalā dīṅ.
15 Ab Hārūn ne qaum ke lie qurbānī chaṛhāī. Us ne gunāh kī qurbānī ke lie bakrā zabah karke use pahlī qurbānī kī tarah chaṛhāyā. 16 Us ne bhasm hone wālī qurbānī bhī qawāyd ke mutābiq chaṛhāī. 17 Us ne ġhallā kī nazar pesh kī aur us meṅ se muṭṭhī-bhar qurbāngāh par jalā diyā. Yih ġhallā kī us nazar ke alāwā thī jo subah ko bhasm hone wālī qurbānī ke sāth chaṛhāī gaī thī. 18 Phir us ne salāmatī kī qurbānī ke lie bail aur menḍhe ko zabah kiyā. Yih bhī qaum ke lie thī. Us ke beṭoṅ ne use jānwaroṅ kā ḳhūn diyā, aur us ne use qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛak diyā. 19 Lekin unhoṅ ne bail aur menḍhe ko charbī, dum, antaṛiyoṅ par kī charbī aur joṛkalejī nikāl kar 20 sīne ke ṭukṛoṅ par rakh diyā. Hārūn ne charbī kā hissā qurbāngāh par jalā diyā. 21 Sīne ke ṭukṛe aur dahnī rāneṅ us ne hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāīṅ. Us ne sab kuchh Mūsā ke hukm ke mutābiq hī kiyā.
22 Tamām qurbāniyāṅ pesh karne ke bād Hārūn ne apne hāth uṭhā kar qaum ko barkat dī. Phir wuh qurbāngāh se utar kar 23 Mūsā ke sāth mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā. Jab donoṅ bāhar āe to unhoṅ ne qaum ko barkat dī. Tab Rab kā jalāl pūrī qaum par zāhir huā. 24 Rab ke huzūr se āg nikal kar qurbāngāh par utrī aur bhasm hone wālī qurbānī aur charbī ke ṭukṛe bhasm kar die. Yih dekh kar log ḳhushī ke nāre mārne lage aur muṅh ke bal gir gae.